Nitya was sitting on a swing which was place in front of her garden , she always sit here whenever she feels heavy, sad or angry the flower garden in front gives her a little peace and today's weather and air was making her a little calm .
Kya hum yaha baith sakte hai " said hm while coming to nitya she looked up to find her but didn't responded and again turned her head helplessly haseena sat beside her "
Kya soch rahi hai aap " still didn't got the reply" aap Anubhav se milne kyu nahi ayi aap janti hai wo apka intezar karrahe the , kya apka kaam apke dost se bada hogaya"Nitya finally looked at her with questioning eyes "mana aap Anubhav ke parivar wale hai per abhi tak maine apko wo hak nahi diya hai ki aap mujhse Aisa sawal puche aur jo hak Anubhav pe the use aplogo ne khud kuchal diya hai ,"nitya said"
"Smiled " jante hai , jante hai ki apne hame aise sawal puchne ka hak nahi diya hai aur jo hak hamara tha use humne khud khoya hai per kya kare khudko rok nahi paye , jab ankho ke samne ek mazboot dosti ko bikharne ke kagar per dekha to khudko rok nahi paye aur wo bhi tab jab wajah hum ho " hm said shocking nitya "
Aap....aur apko Aisa kyu lagta hai ki hamare doori ki wajah aap hai " nitya asked raising her eyebrows"
Nitya ji apne hame kuch jyada hi lightly leliya aap hume kitna janti hai ye to hum nahi jante lekin hum ek bohot acche observant hai jo apne aas pass ghatne wali har cheez ko baarike se observe karte hai , aur aap logo ki dosti hai hi aisi dikhaye nahi dikhti to chupaye nahi chupti aur waise bhi vyom ji bhi hai na "hm said proudly "
Hmm...sahi suna tha haseena mallik ke bareme tirchi nazre choukanna dimag impressive " nitya complimented hm smiled " per hj apki ye tirchi , ankho ko parne wali barinkh nazre , choukanne dimag , jazbaati dil tab kaha gaya tha jab Anubhav ko teen teen goli maari thi " nitya asked her soft face turned harsh Hm's smile faded away " kya hua chouk gayi ..lekin kyu , aap hi to wo hai na Jo kisi mujrim ko bhi dusra mouka deti hai aur apni jadu ki chadi chalakar kisi ka bhi hriday parivartan karwa deti hai to Anubhav ke samay apne wo koshis kyu nahi ki .
Dekhiye uss samay baat kuch alag thi " hm tried replying but she herself knew it was right "
Oh please ms mallik wo samay kaisa tha baki samay kaisa tha ye aap mujhe na hi samjhaye to behtar hoga , main peechle 2 saal se Anubhav ko janti hu uske sath kaam karrahi hu ,uski har ek choti se choti cheez janti hu main uske bareme to konse samay mein apne kya reactions hote aur uske consequences ye apse behtar janti hu main " nitya said astonishing hm "
Per apne to sirf Anubhav ke taraf se dekha hai na ekbar hamari taraf se bhi dekhiye humari halat kya rahi thi uss waqt ye sirf hum hi jante hai , pehli baar hamare hath itne kanmpe the kisi ko marte waqt itna Jo hamare pehli shoot mein bhi nahi hua " hm said helplessly"
Per kampte kampte bhi goli bilkul sahi nishane per lagi hai na ? Accha aap kya ekdam sharpshooter hai " hm nodded in no " per Anubhav hai . Phir bhi usne uss din ek bhi goli nahi chalayi aur jo chalayi ya to wo hawa mein ya aise jo apko Chu kar hi nikle " nitya said and hm went on the memory lane " kya apne ekbar bhi insabke bareme nahi socha haseena mallik, main puchti hu kyu , theek hai uss waqt mouka aur time nahi tha koi baat nahi i understand per uske baad bhi agar ekbar bhi aap Anubhav ka sochke asliyat tak pahuchne ki koshis karti to....to aaj aisa kuch bhi na hota
Sahi kehrahi hai nitya ji bilkul sahi kehrahi hai hum...hum chahte to hum koshis karakate the asliyat tak pahuchne ki per humne koshis bhi nahi ki chaha bhi nahi "hm said hopelessly"
Main batati hu kyu, kyuki sabit hone se phele hi aap manchuki thi ki anubhav aisa karsakta hai ,haa aap mane ya na mane aap puri tarah se kabhi Anubhav ko jaan hi nahi payi aur na koshis ki apne har waqt sirf apne bareme mein socha aap khush hai , apko dukh hai aap ye aap wo aur sirf Anubhav ke hi time nahi balki karishma aur kayi baar pj me taraf se bhi , ha main ye nahi kehti ki aap selfish hau jo ki aap nahi hai apka nature selfless hai per aap apke ass pass ke logo se kuch aisi chizein expect karti hai jo apko nahi karni chaiye , aap chati hai har chiz apke hisab se ho har log apke hisab se chale per ms mallik har bar aisa nahi hota hum jaisa chahte hai waisa har bar ho ye zaroori nahi
YOU ARE READING
rishto ka anokha dor - Mission Behrupiya
FanfictionA requested story from ashmita Idea - ashmita /insta I'd - rahilxlover Cover credit - mistiii/ insta I'd - gulkixparidhi_worls Concept - mera / the_agent_guy Will contain some Bengali language and elements Bengali people can read there mother ton...