"yeh larki bhi pata nahi kab isay aqal aaey gi, Sara din bus bahir rehti hai, na maa ki fikar hai na hi ghar ki, ya Allah yeh kaisa aulad di hai ap nay humain, beti hai par betay say Kam nahi hai, Sara Sara din larkon ki tarha ghar say bahir rehti hai, cheezain pooray room mei bikhri rehti hai, raat dyar ghar aati hai , romantic novels k jagha yeh patriotic books, or yeh posters. Saray shoq larkon walay palay hai is nay, kitni bar Kaha hai shadi ki umar ho gae hai thora ban sanwar liya kar, Kaun isay pasand karay ga, par nahi humari toh sunni nahi hai is nay, pata nahi Kaun hoga Jo is Kay mayar par poora utray ga"
" Kiyà Ammi kyun subha subha chilla rhi hain ap? Or kis say batein Kar rhi hain? Koi toh nahi hai yahan?"
"Dewaron say batein Kar rhy hain hum, kyun k insanon say batein karnay k liay ghar par Kisi insan ka hona lazmi hota hai, par tujhe toh na apni Ammi k liay time hai na hi khud k liey, bus thana , case, thana case or kuch samay mila toh yeh kitabain, hum keh rhy hain tujh say ek din teri vardi or in kitabon or in posters ko aag laga dayna hai hum nay"
"Ammi shant ho jaen, apko pata hai hum apko kyun avoid kar rhy hain aaj Kal? Kyun k jab bhi ghar aao ap shadi shadi shadi is k ilawa koi aur topic nahi hota ap k pass, hum tang aa gay hain in sab say" haseena said.
Ammi: toh ab teri umar nikli ja rhi hai kab karay gi tu shadi?
HM: Ammi ap nay aaj tak jitnay bhi larkay dekhay hain humaray liey. Koi bhi waisa nahi hai jaisa hum chahtay hain. Humari bus do char simple si demands hain ap bus waisa larka humaray liey dhond dyn hum larkay ko dekhay bina hi shadi k liay ha keh dyn gay wada hai ap say"
Ammi: par aaisa koi milay ga Kahan?
HM: Ammi agar humari qismat mei hoga toh zaroor mil jaey ga. Apko bhi Abu milay thy na..
Ammi's eyes becomes moist, she wipes her tears " humain dar hai haseena k teri qismat bhi humari tarha na ho"
HM: phir say Abu ko yad karnay lagi ap. Yad nahi hai Abu nay kiyà Kaha tha k humain jab bhi yad karo bus muskura k yad Karna.
Ammi: ha unki kahi hui har ek baat yad hai humain, hum bhala unhain kaisay bhool saktay hain...
HM: hum bhi ek Bahadur officer ki Bahadur beti hain Ammi. Or sirf ek Bahadur officer ki hi biwi banain gay.
Ammi: hummm dhondtay hain tere liay tere jaisa phir hum.. sun tu khud kisi ko pasand kyun nahi Kar layti. Humara Kam bhi aasan ho jaey ga.
HM: Ammi humaray pass in sab kamon k liey waqt nahi hai, agar hum in sab chakron mei paray toh humaray desh ka kiyà hoga. Waisay bhi ek police wali ko Pyar Karna zaib nahi dayta.
Ammi: ha hum khoob samjhtay hain tujhe.
HM: Ammi waisay bhi agar ap humaray liey kisi ko chunain gi toh woh bura thori na hoga. Heera hoga.
*****************
Karishma Singh enters in Singh's house and throw herself on sofa..
KS: maa Kahan hain ap ?
Maa: kiyà hua aaj tu jaldi aa gae ghar.
KS: maa hum buhat thak gay hain aaj. Pata hai aaj thanee mei Jo case aaya tha, humain toh samjh nahi aa rha tha k us case ki guthi kaisay suljhain , shukar hai Ms thi wahan. Humain bhalay hi un k jajbat pasand nahi hai magar un k ideas Kamal k hotay hain. Yun har case ka solution chutkiyun mei nikal dayti hain.
Maa: acha hai na koi toh budhi maan hai tere thanee mei, warna tu aqal say Kam or hathon pairon say zayda Kam layti hain, jabhi toh roz thak jati hai.
KS: ap humari maa hain ya dushman.
Maa: hum tum dono bhai behan toh humain dushman toh samjho gay.
KS: waisay maa woh aa kab rhy hain wapis? Ya yeh saal bhi unka border par dushmanon k Sath guzray ga.