PART #24

920 122 23
                                        

Maa: aray Anu tu itni jaldi uth gaya aaj, humain toh laga tha k aaj tu Sara din aaram kar k apni sari thakan nikalay ga.

AS: nahi maa hum nay buhat aaram kar liya hai.

Maa: chal aa k baith ja haseena nay garam garam parathy banaey hain. Tu bhi kha lay. Phir usay thanee bhi Jana hai. Haseena Anu k liay bhi parathay bana day

AS: maa ap kyun unhain humari wajah say pareshan kar rhi hain?

HM: is mei pareshani ki kiyà baat hai ( serving him paratha) humain aadat hai, waisay bhi hum maa or khud k liey toh banatay hi hain ek do ap k liay bhi bana dyn gay.

Maa: chal beta tu bhi baith ja warna tujhe dyar ho jaey gi thana janay mei.

HM: ji ... And sitting next to Anubhav and start eating breakfast...

After having breakfast, she collect all dirty dishes and done it, after she excuse herself and move to her room for get ready for her job.

AS: maa humain poochna toh nahi chaheay magar Ms mallik thanee kyun ja rhi hain? Koi cheez inki kho gae hai kiyà? Jis ki report likhwanay ja rhi hain?

Maa: ha kho toh gae hai iski sab say qeemti cheez par woh thane mei nahi milnay wali.. woh thanee apni job k liey ja rhi hai..

AS: maa thanee mei Kaun si job? Woh toh care taker hain na?

Maa: nahi....

HM: maa hum nikal rhy hain apna khayal rakheay ga or ha dophar ka khana bhi bana diya hai hum nay or apki medicines hum wapisi par laytay aaen gay.. bye maa bye sir...

He is surprised to see her in police uniform having three stars on her shoulder, first time her observes her attire/ appearance keenly not her facial features.

Maa: ja tu bhi apna khayal rakhna or Kashi ka bhi

HM: yeh bhi koi kehnay ki baat hai..

AS ( he said bye to her unwantedly).

And he waits for her to leave so that he can ask his mother more about her.

AS: maa yeh vardi mei?

Maa: ha mahila police thanee ki SHO hai humari Haseena. Kashi isi k under kam karti hai.

AS: oh acha toh yeh hain woh Jin k Jadu ki chari (stick) k baray mei humain ravi bata rha tha. Jazbati haseena..

Maa: ha Sahi suna hai tum nay is k baray mei, yeh Kashi k senior k Sath Sath uski buhat achi dost bhi hai, apni Ammi k bad yeh akeli ho gae thi or humain bhi Sahara chaheay tha toh hum nay isay apnay Sath rakh liya, hum dono ek dosray ka dukh dard bant laytay hain,yeh humara buhat khayal rakhti hai bilkul ek achi beti ki tarha.

AS: SHO Haseena Mallik... Naam suna suna lag rha hai...

Maa: kuch yad aa rha hai?

AS: nahi maa hum koshish toh kar rhy hain magar humain humaray beetay huay 4 saalon ka koi bhi lamha yad kyun nahi aa rha.. maa ap janti hain kuch is baray mei?

Maa: ha hum bus itna jantay hain k tu jab bhi ghar aata tha hum tujh say shadi karnay ka kehtay thy or tu do char din mei tang aa k wapis chala Jata tha.

AS: maa aur kuch?

Maa: matlab...

AS: kuch nahi maa...
(Pov): lagta hai maa hum say kuch chupa rhi hai.

Maa: Anu hum keh rhy hain k tu yahen ghar par hai toh thanee tu bhi chala ja, Kashi or baqi sab say mil bhi layna or tera time pass bhi ho jaey ga

AS: maa hum kiyà Karen gay thanee ja k.

DHAI AKSHAR PREM KAY:Where stories live. Discover now