13

171 17 0
                                    

To be continued

Raavi - Haan woh aaj maa ka birthday hai na to unki yaad aa rahi thi to socha tujhe hug kar lu thodi der...
Shiva - Issi liye na? Baaki kuch problem nahi hai naa? Koi baat to nahi hai naa? Kuch ho to batana... You can share with me(protectively)
Raavi sobs
Shiva (worried) - Raavi... Raavi tu ro rahi hai? Kya hua meri taraf dekh...
Raavi sees towards Shiva
Shiva - Kya hua tu rone kyu lagi?
Raavi - Pata nahi... Rona aa raha hai...(cutely)
Shiva - Are par... Koi baat nahi tujhe jitna rona hai tu ro le...(consoling her)
Raavi - Shiva tu aisa kyu hai?
Shiva - Main kaisa hu?
Raavi - Tu itna acha kyu hai? Tu mera itna khayal kyu rakhta hai?
Shiva - Are... Pata nahi...
Then Raavi hides her face in Shiva's shoulder and cries
After a minute Shiva also starts crying
Raavi stops sobbing and sees up to see Shiva
Raavi (sobbing) - Tu kyu ro rha hai?
Shiva - Tu ro rahi hai iss liye(crying)
Raavi - Hmm?
Shiva - Hmm...
Raavi - To phir tu bhi ro le...
Shiva - Hmm...
(Shiva tumhe Raavi ko chup karana chahiye tum khud hi rone lage
Kuch ni hoga tum dono ka)
After a while both stops crying
Raavi - Shiva tu kyu ro raha tha?
Shiva - Pata nahi...
Raavi - Kya matlab pata nahi...
Shiva - Woh tujhe rota dekh mujhe bhi rona aa gaya aur waise bhi aaj mummy-papa ki anniversary bhi hai to bas isi liye main bhi tere saath emotional ho gaya thoda... Ab jaa jaldi se naah kar taiyaar hoja... Phir hame office bhi to jaana hai...
Raavi - Hm...
And she starts going
Shiva - Aur sun... Aaj ka rone ka quata khatam haa ab aur nahi rona... Hmm?
Raavi - Hmm... Aur tera bhi quata pura tu bhi nahi rona haa...
Shiva - Main to kaha rota hu... Woh to aaj rona aa gaya...
Raavi - Haan pata hai ki tu kabhi nahi rota... Aur yeh bhi pata hai ki agar tu ek baar ro le na phir uska asar tere pe 4-5 ghante tak rehta hai... Tujhe na itni jaldi koi bhi feeling nahi aati jaise ki rona, gussa, happiness ect. par agar ek baar aa jaaye na phir uska asar rehta hai... Itna to jaan gayi hu main apni jaan ko...
Hearing the word 'apni jaan' Shiva smiles
Shiva - Meri jaan uski jaan ko itna kaise jaan gayi jarur aadhi baat Neel ne batayi hogi? Yaa phir aise hi jaan gayi?
Raavi - Haa... Neel ne hi bataya hai... Tujhe kaise pata chala?
Shiva - Obvious hai... Ek Neel hi hai jis sey tujhe mujhse judi saari baatein pata chal sakti hai...
Raavi - Haa tu bhi to hai... Dekhna tere muh se sab baatein sunungi tere baare mein...
Shiva - Main khud ki tareef nahi karta...
Raavi - Khud ki tareef nahi karta par burai karta hai... Hainaa?
Shiva - Ab burai to koi bhi kar sakta hai... To main khud ki burai khud Karu yaa koi aur meri burai kare kya fark padta hai...
Raavi - Exactly... Jab aur log bhi teri burai kar sakte hai to tu khud ki burai kyu karta hai?
Shiva - Aur log tareef bhi to kar sakte hai...
Raavi - Nahi karenge... Nahi karenge teri tareef... Kyu ki tu kisi ko dikhata hi nahi ki tu kitna acha hai... Bahar media waalo ke saath to tu hamesha attitude ke saath hi baat karta hai...
Shiva - Haan kyu ki agar unke saath ache se raha to kya pata kal woh mere ghar mein hi rehne lag jaaye aur saari khabar ki live telicast chalu kar de... And why to show our personal life... Meri personal life hai yeh main kyu baharwalo ko dikhau... Kyu kahu ki main yeh, main woh, main aisa, main waisa, mera ghar aisa hai, mera ghar waisa hai... Main koi show-off karne ke liye itna bada business man nahi bana hu... Aur pata nahi kaise ban gaya main itna bada business man...
Raavi - You are right... Par media ka to yahi kaam hota hai na rumours failana... Kuch alag dikha nahi ki rumour faila diya...
Shiva - Wahi to... Phir chahe woh rumour sahi ho yaa galat... Koi bhi actor ko dekh le... Kitne rumour hote hai unke baare mein... Kisi ladki ke saath ache se baat kar li aur acha bond hoga to rumour failayenge ki inn dono ke beech mein koi to rishta hai...
Raavi - Main abhi aayi...
Shiva - Main hall... Nahi nahi... Main yahi pe baitha hu...
Raavi - Kyu hall mein nahi jaana abhi toh keh rahe the...
Shiva - Haan Maine socha yahi pe baith ke bhi phone hi use karna aur hall mein baith ke bhi to yahi pe use karta hu na.. Aaram se apne bed pe baith kar...
Raavi - Acha...
Then she goes to bath and Shiva sits on bed using his phone
After sometime Raavi comes out and sees Shiva crying so she went near him Shiva's eyes were closed and was listening music
Raavi (softly) - Shiva... Shiva...
But Shiva didn't listened her because of earphones so Raavi shaked Shiva
Shiva (coming out of his trance with jerk and wiping his tears) - Haan...haan bol kya hua?
Raavi - Shiva tu ro raha tha?
Shiva - Nahi main kaha ro raha tha...
Raavi - Shiva tu jooth mat bol... Maine dekha tu abhi ro raha tha...
Shiva - Main nahi ro raha tha... Main kyu rounga... Tu chal taiyaar ho jaa... Phir breakfast kar ke office chale jayenge...(smiling)
Raavi - Shiva juth mat bol... Kyu ro raha tha?
Shiva - Woh kuch nahi song sun raha tha to rona aa gaya... Jab Chhota tha to maa gaaya (sing) karti thi mere liye... To bas sun raha tha...
Raavi - Hmm... Ab tu bhi taiyaar ho jaa...
Shiva - Mera kya... Main to taiyaar hi hu...
Raavi - Oh mujhe laga apko bhi make-up kar ke taiyaar hona hoga...
Shiva - Ho gaya... Ab jaa aur jaldi se taiyaar ho... Dus din lagayegi taiyaar hone mein bhi...
Raavi - Haan to... Itni khubsurat lagti hu taiyaar hone mein time lo lagega na... Aur dekh... (While showing her long hairs) Itne bade Baal hai mere... Ulajh jaate hai... Baalo ko set karne mein bhi time lagta hai... Aise nahi ki haatho ko aise aise(while doing actions that boys do while setting their hair with hands) kar liya aur Baal set ho gaye... Time lagta hai tujhe kya pata...
Shiva - Oho... Ab to tu yeh time mere saath baatein karne le laga rahi hai naa woh tere Baal set karne mein laga.. Jaa...
Raavi - Haa to tere se baat bhi nahi karni... Khamakha time waste karta hai...
Shiva - Acha baat nahi karni... Ab dekh tu...
Raavi - Are are... Tu to bura maan gaya... Ab tere se baat kiye bina kaise reh sakti hu main... Main to mazak kar rahi thi...
Shiva - Pata hai... Main bhi mazak kar raha tha...
Then Raavi got irritated and  went near mirror and started getting ready she had removed her mangalsutra earlier because it got stuck with her hair while combing her hairs so she usually removes her mangalsutra while combing her hairs
And then after getting ready she was about to wear mangalsutra but she sneezed and mangalsutra fell from her hand and before she could catch it someone catched it...
It was no other than Shiva
(Waise bhi unke room mein kon aayega)
Shiva catched her mangalsutra
Raavi - Oh... Laa mujhe main pehn leti hu...
Shiva - Naa...
Raavi - Kya Shiva... Kya naa? De naa... Mujhe pehn na hai late ho jayega... Laa de...
Shiva (seeing her mangalsutra) - Ek baat bata ek ladki ko sabse pehle mangalsutra kon pehnata hai?
Raavi - Kya Shiva kaisi baatein kar raha hai... Of course uska pati... Jab ladki ki shaadi hoti hai tab pehli baar uska pati hi to usey mangalsutra pehnata hai...
Shiva - Acha tere pati ne bhi pehnaya hoga na teri shaadi pe?
Raavi - Kya Shiva... Ab hamari shaadi kaha hui thi vidhi-vidhaan ke saath jo tu mangalsutra pehnayega... Hamari to court marriage hui thi na...
Shiva - Haa to iska matlab yeh nahi ki main tujhe mangalsutra nahi pehna sakta? Kya ek ladka ek ladki ko ek hi baar shaadi pe hi mangalsutra pehna sakta hai? Uske baad nahi pehna sakta?
Raavi - Of course pehna sakta hai baad mein bhi... Aisa kaha likha hai ki ek hi baar pehna sakte hai...
Shiva - To phir.... Vaise yeh vidhi aur vidhaan tere koi relative hai kya?
Raavi - Kya... Kon vidhi? Kon vidhaan?
Shiva - Tune abhi kaha na ki hamari shaadi thodi vidhi-vidhaan ke saath Hui thi iss liye... Maine socha puch lu... (Shiva knew that she is talking about rituals but he thought to irritate her... As Shiva Pandya never forget to irritate anyone)
Raavi - Shiva... Vidhi-vidhaan matlab rituals... Main koi insaan ki baat nahi kar rahi thi...
Shiva - Acha... Ab chal tujhe yeh tera mangalsutra pehna deta hu... Aakhir mujhe bhi to pata chale ki kaisi feeling aati hai...
Raavi - Hmm....
And then Shiva makes her wear the mangalsutra
 

SHAADI: COMPROMISE OR LOVEWhere stories live. Discover now