Sakshi is standing at one corner and she is lost in thought. Arjun come near her.ARJUN: Sakshi...
Sakshi wipe her tears and then turn towards Arjun.
ARJUN: Kya hua? Aise akeli kyun khadi ho aur tum ro rahi thi kya?
SAKSHI: Arjun kya Baba ko sach mein boora laga hoga ki maine unhe Holi wish nahi kiya itne saal?
Arjun smile and said,
ARJUN: Nahi
Sakshi see him.
ARJUN: Vo apni beti se judi baaton ka boora thodi maanenge?! Unko boora nahi laga hoga lakin ofsos zaroor hua hoga
SAKSHI: Matlab?
She asked innocently.
ARJUN: Baba ne meri hi tarah unko milne waale threat calls ignore kiye the aur phir Sikandar ne ek din sab kuch barbaad kar diya aur uss wajah se tumne holi khelna chhod diya... (After a moment of pause he hold Sakshi by shoulder and said) ab zara apne aap ko apne Baba ki jagah rakh ke dekho... kya tumhe ofsos nahi hota agar tumhari wajah se vo apna favourite festival celebrate karna chhod dete?
SAKSHI: Lakin Baba ki koi galati nahi thi Arjun... unhe kisi bhi tarah ka ofsos karne ki zaroorat nahi hai... vo bas apni duty nibha rahe the...
Arjun nods and said,
ARJUN: Galati tumhari bhi toh nahi thi naa? kya tumhe thoda sa bhi andaza tha ki aisa kuch hone waala hai? kya Maa Baba ko andaza tha ki unke ghar jaane ke baad unke saath yeh sab hoga?
SAKSHI: Lakin agar me bhi unke saath chali jaati toh...
Cutting her short,
ARJUN: Toh Sikandar tumhe bhi maar deta aur aaj tumhare Maa Baba ko insaaf nahi milta...
He said seriously cupping her face making her look into his eyes.
ARJUN: Socho agar Sikandar ne tumhe bhi maar diya hota toh jab Baba comma se uthte tab unhe kitna boora lagta ki unka parivaar ab nahi raha... kis ke liye jeete vo? Unki zindagi unke liye bojh ban jaati....
Sakshi think about all this.
ARJUN: Kal ko jab Baba uthenge toh unke aankhon ke samne unki beti hogi... jab unhe pata chalega ki unki beti ne uss Sikandar ko uski asli jagah dikha di hai toh unhe tum pe garv hoga... unka yeh naya janam safal ho jaayega...
He looked into her eyes and said,
ARJUN: Aur yeh sab sirf iss liye hoga taaki tumne zidd kar ke holi celebrate karne ke baare mein socha tha... tum kabhi galat thi hi nahi Sakshi... iss liye apne aap ko doshi mat maano...
Sakshi said nothing.
ARJUN: Dekho me tumhe force nahi karunga... Holi khelna naa khelna tumhara faisla hai lakin me bas itna chahta hoon ki tum guilty feel naa karo... uss baat ke liye khud ko saza naa do jo gunah tumne kiya hi naa ho... jo baat kabhi bhi tumhare haath me thi hi nahi... guilt ka bojh uthake jeena bohat mushqil hota hai Sakshi... me tumhe uss bojh ke saath jeete hue nahi dekhna chahta especially tab jab mujhe pata hai ki tumhari koi galati thi hi nahi...
Sakshi keep looking at him. Arjun smile slightly and walk away. Sakshi is looking at his retreating form. Small smile comes on her lips. Amrita comes there.
AMRITA: Kya hua?
Sakshi get startled on her sudden interruption.
AMRITA: Tumhare khadoos, gussel aur sadu boss ne aisa kiya keh diya hai ki tum iss tarah smile kar rahi ho?
YOU ARE READING
Khushi Ke Rangon Waali... HOLI
Short StoryShort Story based on show "Har Yug Mein Aayega Ek Arjun". Its an Arakshi story. Story of Holi Festival which brings the colour of happiness in our Arakshi's and whole ETF team's life.