Toh ab y/n aa gayi hai apne naye ghar mein , usske parents ne pehle mana kiya tha but baad mein woh maan jaatein hain
Naye ghar mein y/n bhi cheezein thik se rakhne mein busy thi ke tab hi usse doorbell bajne ke awaz aati hai, aur jaise hi woh darwaza kholti hai usse dikhta hai
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Yawn karta hua jungkook Aisa karke jungkook bhi sharma jaata hai aur y/n bhi apni hasi rokne ki koshish karti hai, javin bolta hai
Javin- Kya mujhe thoda doodh mil sakta hai woh kya hai na ki main kal subha hi yahan aaya hoon
Y/n- I'm so sorry par actually hum bhi kal raat ko hi yahan aayen hain
Phir javin thoda gussa ho jaata hai apni qismat ke upar kyun ki usske dad ne usse aisi punishment dedi hai aur ab jab ussne coffee peene ka socha toh doodh hi nahi mila
Javin- koi baat nahi jab time hi kharab chal raha ho toh kar bhi kya saktein hain
Aur woh aisa keh ke jaane lagta hai par tab hi y/n usse puchti hai
Y/n- Ager aap coffee ke liye doodh maang rahe ho toh mere ghar aake coffee pee sakte ho
Javin-Par tumne abhi toh kaha ke tumhare ghar mein doodh khatam ho gaya hai
Y/n- Woh hum bina doodh ke coffee peetein hain , humne do logon ke hisaab coffee bana li hai aap chaho toh aake coffee pee sakte ho
Kyun ki javin ko subha coffee peene ki aadat hai toh ussne mana bhi nahi kiya
Time skip at night
Y/n ghar ka saara kaam kar liya hai aur ab woh sone ki tayyiari Kar rahi hai
1 ghante se y/n sone ki koshish kar rahi hai but because of loud noise jo doosre ghar se aa rahi hai Jahan javin rehta hai aur iss ki wajha se y/n so nahi paa rahi hai , aur lastly y/n soch leti hai ke woh iss loud ke wajha se javin se complain karegi , aur y/n jaati hai javin ke ghar ke darwaze ke samne pehle usse knock karne mein thoda darr lag raha tha par ussne himmat juta ke knock kar hi diya
First knock
No response
Second knock
No response
But jab woh tisri baar knock karti hai darwaza khulta hai but samne ka view dekhkar y/n shock + darr jaati javin ne darwaza toh khola but woh bohot gusse mein tha plus ussne koi t-shirt bhi nahi pehni hui thi aur javin y/n se rudely puchta hai
Javin- Kya hai itni raat ko kya kaam hai
Usski aisi awaz sunkar y/n flinch karti hai aur bolti hai
Y/n- Wwoh aap kke ghar se badi aawazein aa rrahi thi toh
Javin- Toh kya haan toh kya mera ghar meri Marzi main jo karoon tumhe usse kya
Aur aisa keh ke y/n ko bolne ka mauka nahi deta hai aur usske face ke samne darwaza baandh kar deta hai
Time skip at morning
Subha ke 11 baj gaye hain but y/n abhi tak nahi uthi hai because woh raat bhar ro rahi thi because she miss her parents allot
Doorbell bajne ki awaz se usski neend khulti hai aur woh neend ki halat mein hi jaake darwaza kholti hai , toh usse ek baccha dikhta hai chocolate ka box aur ek letter ke saath
Woh baccha - Didi yeh sab kisi ne aapke liye diya hai
Woh pehle uss bacche se woh letter leti hai letter mein likha rehta hai