Chapter 10

86 5 0
                                    

Javin- Tum ab iss ghar mein nahi reh sakti

Javin ki yeh baat sunke y/n shock ho jaati hai aur jiya jo bahar se shock hai par andar se khush kyun ki usska plan qamiyab hogaya

Y/n- Yeh yeh aap kya keh rahe hain javin ji

Javin- Jo mujhe bohot aage keh dena chahiye tha

Y/n javin ka face cupped karke kehti hai

Y/n- Aap humein aapse dur karenge , aapko pata hai na aap humari jaan hai aap khud bhi toh kehtein hai ke hum aapki jaan hain toh phir aisa ky-

Javin- Kyun ki ab humare beech kuch bacha hi nahi hai

Aisa kehke javin room mein chala jaata hai

Aur y/n rote hue floor pe baith jaati hai

Time skip

Y/n apna saman pack kar rahi hoti hai kyun ki woh sirf javin ka hi nahi apna bhi ghar chhod degi

Phir y/n javin ke room mein aati hai

Y/n- Javin ji

Y/n ki awaz sunke javin peeche mudta hai ,y/n javin ke paas jaati hai

Y/n- hume aapse koi zyada kaam nahi hai , hum bas aapko yeh ring dene aayen thein

Y/n javin ko woh ring dene aayi thi jo ring javin ne ussko di thi

Y/n- Yeh liji-

Javin- I don't want this ring, bas tum yahan se chali jao

Javin gusse mein kehta hai aur woh ring ko phenk deta hai

Time skip

Y/n apne mummy papa ke ghar aati hai

Doorbell bajne ki awaz sunke muskaan jaake darwaza kholti hai

Muskaan- Arre di aap itni raat ko aao andar aao

Y/n aake behosh ho jaati hai

Phir woh log y/n ko room mein le jaatein hain aur apne family doctor ko bulate hain

Doctor- Dekhiye aisi halat mein inka stress lena bilkul sahi nahi hai

Doctor y/n ke mummy papa bolte hain

Sonali- Aisi halat matlab

Doctor- Aap ko nahi pata ke aap ki beti pregnant hai

Yeh sunke y/n ki family shock ho jaati hai aur doctor chale jaate hain

Phir woh room mein jaatein hain y/n ko dekhne

Sonali- Yeh main kya sun rahi hoon beta

Y/n- Kya suna hai aapne

Muskaan ki mummy- Yeh hi ki tune kisi ke saath muh kala kiya

Y/n- Aap ka kehne ka matlab kya hai maami ji

Phir chirag un logon ko bahar jaane kehta hai

Chirag- Yeh sab kya hai beta

Sonali- Kya yeh javin ka baccha hai

Y/n nod karti hai

Sonali- Ussne tujhe force kiya tha kya

Y/n na mein sar hilati hai

Chirag- tumhe javin ko bhi saath lana chahi-

Y/n javin ka naam sunke aapne aansoo control nahi kar sakti hai aur sonali ko hug karke rone lagti hai aur kehti hai

Aur woh log samajh jaate hain ki kya hua hai

Sonali- Bas beta bas ab rona bandh kar

Chirag- Beta kya tum ab abortion karwana chahti ho

Y/n rona bandh karti hai aur kehti hai

Y/n- Nahi papa humari galati ki saza hum ek masoom jaan ko nahi de saktein

Chirag- Thik hai

Sonali- Ab tu aaram kar thik hai , ager kuch chahiye toh mujhe bulana

Being a supportive parents woh log y/n ko zyada kuch nahi kehte

On other side

Yahan javin sone ki koshish kar raha hai par jaise hi woh ankhein bandh karta hai usske ankhon ke saamne y/n ka chehra nazar aata hai

Usse phir darwaze pe knock ki awaz aati hai aur woh jaake darwaza kholta hai aur dekhta hai jiya usske liye khana leke aayi hai

Javin- Dekho jiya mera abhi khane ka bilkul bhi nahi hai tum jao yahan se

Par jiya usski baatein nahi sunti aur andar aa jaati hai

Jiya- Kisi aur ke liye tum khud ko kyun takleef doge hmm

Phir javin apne emotions ko control nahi kar paata hai aur rone lagta hai aur jiya usse aake hug karti hai

Jiya- Tumne usse khoya hai toh kya hua you have me javin main hoon tumhare saath , tumhe pata nahi hai par main ab bhi tumse utna hi pyaar karti hoon jitna pehle karti thi

Javin ko usski baaton par yakeen ho jaata hai , par usse yeh nahi pata ke jiya ko usse nahi usske paison se pyaar hai

Time skip
.
.
.
.
.
.
.
5 months later

Muskaan ki mummy- Dekh y/n aaj muskaan ko ladke wale dekhne aa rahe hain , toh tu room se bahar mat nikalna

Y/n- Par kyun maami ji

Muskaan ki bhabhi mahi- Kyun ki hum nahi chahtein tumhare chalte muskaan ka rishta toot jaaye

Y/n- Par hum aisa kya karenge jisse usska rishta toot jaayega

Muskaan ki 2 bhabhi payal- Tum jo itna bada baby bump leke ghoom rahi ho jab woh log puchenge ki tumhare bacche ka baap kahan hai toh kya kahogi tum, tum bin bihayi maa ban gayi aur tumhare boyfriend ne tumhe chhod diya

Y/n- Dekhiye payal bhabhi aap ko jo kehna hai hume kahiye par please unke baare mein kuch mat kehna aap.

To be continue .

I'm sorry maine chapter 10 ke jagah 9 likh diya

Neighbors To LoversWhere stories live. Discover now