|| Chapter 5 :- Naira wants to meet Tushar ||

340 26 6
                                    

•° The next day °•

Aruna is working in the kitchen and Naira is just sitting on a chair lost in thoughts.

" Naira jara bahar jaake dhaniya le aana na " Aruna said but Naira had no attention to her words.

" Naira! " Aruna called again and Naira came in her senses.

Naira : a... huh? Kya... hua maasi?

Aruna : kabse bula rahi hu? Dhyan kaha hai? Chai bhi thandi hogyi... Dusri banake du?

Naira : (nods in no)

Aruna : thike... Jaldi se jaa aur dhaniya leke aa... Khatam hogaya hai... Mere room mein bed par purse rakhi hai... Usmese lelena paise... Jaa ab uth jaldi...

Naira gets up, takes the money and steps out of the house. She takes the coriander and while returning home... She sees a phone booth by the road. She immediately runs to it amd calls Tushar. But Tushar didn't pick up her calls. She tried mamy times but in vain. She angrily put the phone back in place and left.
On the way, she saw a girl standing at the bus stop. She asked for her phone and called Tushar again.

🍁🍁🍁

•° Singhania house °•

Akshara and Naitik were having breakfast.

Naitik : Akshara...

Akshara : ji... Boliye

Naitik : jiji ko phone kijiye aur puchiye unse Naira ke haalchal ke baare mein... Aur ye bhi puchiye ki aajki tayari hogayi acchese? Ladke wale aarhe hai... Koi kami nahi rehni chahiye... Phone kijiye unhe...

Akshara : ji

Akshara calls Aruna.

Aruna : hello... Bol Akshara... Kya hua?

Akshara : kuch nahi jiji... Bas Naira ke baare mein puchna tha... Aur aajki saari tayari hogyi?

Aruna : haa... Matlab khana bana rahi hu... Hojayega time pe... Tension mat lo...

Naitik : (angry) jiji se kahiye ki koi kami nahi rehni chahiye...

Akshara : jiji...

Aruna : suna maine... Naitik ji ko toh aadat hi hai... Rai ka pahad banane ki... Mai kar rahi hu saari tayari... Chinta aur gussa karne ki koi baat nahi hai kehdo unhe...

Akshara : ha... Aur Naira... Thik hai na?

Aruna : thodi nervous hai... But everything will be ok... Abhi maine use dhaniya lene bheja hai bahar... Aati hi hogi...

Akshara : accha... Vo aane ke baad usse baat karvadena...

Aruna : thike...

Naitik : ek min... Vo aane ke baad matlab? Kahi bahar gayi hai Naira?

Akshara : ha vo dhaniya laane gayi hai...

Naitik : kya????

Naitik snatches the phone from Akshara.

Naitik : jiji... Maine Naira ko vaha isliye bheja hai taaki aap uspar nazar rakh sako... Bahar kyu bheja use? Agar vahise bhag gayi toh? Hogaya na satyanash?

Aruna : aap kya keh rahe hai ye? Aisa kuch nahi hoga... Vo yahi paas mein hi gayi hai...

Naitik : ye guarantee aapse nahi chahiye mujhe... Abhi ke abhi jaaiye aur Naira ko dhund laaiye aur phir hume phone kijiye...

𝓡𝓮𝓱𝓷𝓪 𝓣𝓾 𝓟𝓪𝓵 𝓟𝓪𝓵 𝓓𝓲𝓵 𝓚𝓮 𝓟𝓪𝓪𝓼... ❤ ~Kaira FF Where stories live. Discover now