36

1.1K 61 4
                                    

Author's POV

"Mukhyamantri Y/n kya unhone apna rukh gao ki taraf modd lia hai? Haa. Koi nhi janta mukhyamantri ji kab aur kaha pahuch jayengi, MLA aur ministers mein bechaini ka mahool bana hai."

Y/n chopper se niche aati hai, Veer uski madat kerta hai, sabhi gao ke ek bade se tree ke niche bethe thhe, ek budha admi khada hoke bolta hai,"Kheto ki halat bhut kharab hai Beta, yaha koi humari pareshani sunne ko taiyar hi nhi hai."

"Aaj duniya har cheez mein tarakki,  ker rahi hai, kheti kerne mein bhi, lekin yaha ke log na kuch naya sekhne ki koshish kerte hai naa nayi technology ko janne ki, agar aesi hi mansikta se jite rahe toh iss tarakki kerti Hui duniya mein hum apna astitva kho denge." Y/n bolti hai aur sab gao wale sharam se niche dekhte hai,"Mein yaha ki panchayat mein vyavasaye vibhag kholungi taki aap sab Tak aajtak ki sabhi nayi taknike pahuch paye."

"Agar hum bimar padd jaye toh sandhya se samay aspataal jana bhut muskil padd jata hai sarkar na toh yaha doctors hai aur na dawaiyan" Ek aur budhha admi bolta hai.

"Primary health centre yaha se kitni duri per hai?" Y/n ek officer se puchti hai.

"Yaha se 7 km dur hai ma'am." Officer bolta hai aur Y/n usko waha ke doctor ko call kerne bolti hai, officer call kerta hai.

"Hello sir." Doctor bade hi carefree tone mein bolta hai Y/n uss officer se phone leker bolti hai.

"Mukhyamantri ji Gau mein ayi hai, jaldi se sabha mein pahuch jao." Y/n call kat ker officer se bolti hai,"Officers ka koi Darr nhi isko, tumhara rishtedar hai kya? Ya sabhi doctors se aese hi pesh aate ho?" Wo officer niche dekhta hai,"humare jane ke baad isko nikal dena." Wo managerial officer se bolti hai.

Wo sab ek ghante wait kerte hai, Veer Y/n ko chair pe bhethta hai, thodi der baad ek doctor dodte hue unke samne ata hai,"Namaste ma'am, doctor Vikas Mehra."

"Government alloted doctors ko apni sema mein rehna cahiye tum waha kya ker rahe thhe?" Wo puchti hai.

"Actually ma'am waha mere bache padhte hai." Doctor batata hai.

"Aur inn logo ka kya?" Doctor gau walo ki taraf dekhta hai,"waha shayad tumhari kamai achi ho rahi hai. Toh kal se yaha Anne ki koi jarurat nhi. You are dismissed."

Y/n khadi hoke car ki taraf jate hue palatti hai aur Gau walo ko bolti hai," hospital ke liye Naya doctor chuna jayega, aur apko sandhya ke samay bhi koi takleef nhi hogi."

Agge ke kai din normal beet rahe thhe, Y/n state ke sath sath apna bhi dhyan ache se rakhti thi, kai village aur schools ki checking kerti thi. Jaha bhi wo jati log uska bade Adar se swagat kerte, Veer apni Y/n ko aese dekh bhut proud feel kerta tha, y/n ko aur zada proud feel hota jab village ke bache bhi pattar pattar English mein baat kerte thhe.

Cabinet meeting mein Y/n ne sabke samne apni nayi scheme rakh sabko hila diya tha,"pichle kai dino se state ke bhut se areas ki halat mein dekh chuki hu, aur mujhe unki pareshaniyo ke baare mein pata chala. Ek baat saaf hai har Gau ki apni pareshani hai, kahi per mosquitoes ki problem hai kahi per library ki kahi per sadko ki aur ek gau ne toh madam speaker antim sanskar ke liye zameen mangi hai kahi Pani ki samshya kahi talab ko dobara shuru kerne ki mang. Ek baat toh Tay hai ki inn sabko yaha bethke solve nhi kia jaa sakta, 23,000 Gau ki 2,30,000 samshyao ko hum yaha bethker solve nhi ker sakte. Financial experts ke sath discussion kerke mene iska simple solution nikala hai. ............Local governance"
Sabhi members aapas mein baat kerte hai,"swayam paripaalan, state ka budget 2 lakh 25 crore se bhi zada ka hai, agar hum har saale har Gau ko 5 crore ke hisab se bhi dede toh wo log apni apni samshyaye khud hi hal ker denge, kisi ka intezar bhi nhi kerna padega."

"Toh kya abb Sara Paisa unko dede? Agar wo log apni samshyao ka hal khud nikal lenge toh hum log kya ghas charenge? Yaha Hume bus unki samshyao per baat kerni hai mat bhulo ki wo log janta hai hum neta hai, ye kya samay aa gaya hai, election ke time bhi paise baato aur abb bhi? Hosh mein ayiye mukhyamantri ji, janta ki samshya hume suljhani hai unhe nhi."  MLA bolta hai

"Janta aur netaon ke bech duri aa gayi hai sir, unki awaz toh aptak pahuchti bhi nhi hai." y/n usko bolti hai.

"Ma'am ye thik nhi hai agar 5 crore har Gau ko denge toh baki rajyo ka kya hoga?" Education minister bolta hai.

"Agar har Gau ko 5 crore denge toh 1 lakh 15 hazar crore ka kharcha hoga, budget ka adha Paisa bachega jisse administration asan hoga." Y/n bolti hai.

"Acha toh kya tum rajya ka sanvidhan aur kanoon badal dalogi aajtak kisi ne aesi himmat nhi ki hai, hum sab kya bewakoof hai?" Shripati Rao bolta hai.

"Agar hum sab sahi hote toh iss tarkeeb ki jarurat hi na padti sir. Pichle 70 saalon mein na Gau badle hai na unki zindagi, unn bhole bhale logo ka istemal sirf vote ke liye kia jata hai aur fir unhe bhula dia jata hai" y/n bolti hai.

"Ye lo bhai pehla aesa neta hai jo logo ke paise unko wapas ker raha hai aur apni jimmedariyo se bhag raha hai, nice work ma'am." Opposite party se ek admi bolta hai .

"Mere pita ji kehte thhe ki ek neta ka lakshya hota hai samaj ko tarakki per le jana and I strongly believe in that ." Y/n bolti hai.

"Speaker ma'am sarkar ka ye faisla pagalpan hai mein iska virodh kerta hu aur abhi isi waqt meeting se walkout kerta hu." Shripati Rao bolta hai aur uske piche sabhi opposition party Wale bhi chale jate hai idhar ruling party ke saare members bhi uth ker jane lagte hai, har koi Y/n ki bezzati ker raha tha.

"Agle hafte mein iss yojna ko budget mein add kerungi aur sabki sehmati ke sath ye yojna laghu hogi. Madam speaker. I promise that" Y/n khade hoker bolti hai sabhi log usko dekhte rehte aur fir Veer aur security ke sath wo bahar chali jati hai.

News channel

"Maharashtra ki rajneeti aaj ek nayi yojna arambh Hui hai mukhyamantri ji ne krantikari faisla lia hai aur har saal har Gau ko 5 crore rupee Dene ki soch prastut ki hai."

Yaha sab Gau wale iss faisle se khush thhe sab apni apni jarurato ki list banane lag gaye lekin iss mahan kaam ke baad Y/n ne apne sar kitna bada khatra lia hai abb wo toh wo bhi nhi janti thi. Jaha sab khusiyan mana rahe thhe ruling party ke inner circle mein hatkamp mach Chuka tha.

____________________________

I fell and injured my leg guys🥺 it's just I have to finish this in next 4 chapters so I am taking long to decide I hope you guys can have patience

Rowdy Policewala Where stories live. Discover now