Prologue

136 10 0
                                    

Woh 15 saala larki, kamre ke darwaze pe kharri ro rahi thi.
"Maa mujhe shaadi nahi karni! Mujhe bacha lo."
Uss ka chehra aansu se bheega hua tha.
"Yeh kapre pehen aur baahir aa. Main intezaar kar rahi hu."
Uss ki maa ne sakhti se keh kar uss ke haath mei ek laal suit pakra diya. Apne peeche darwaza band kar ke, uss ki maa darwaze pe sarr tikka ke kharri ho gayi.
Darwaze ke doosri taraf Anabia apne haath mei maujood uss laal suit ko bheegi aankhon se dekh rahi thi.
'Yehi suit tha jo mere nana ne meri maa ko pehnwaya tha. Uss din woh bhi meri tarah royi hogi.'
Yeh khayal dimaagh mei aaya tha jab uss ne apne dayein taraf deewar pe ek tasveer dekhi. Uss tasveer mei Anabia, uss ka bhai Adil, aur uss ki khala ke bache the, Asfandiyar aur Aliya.
Uss tasveer ke kareeb jaa ke uss ne Asfandiyar ke chehre pe ungli pherri.
"Mujhe maaf kar do. Main tum se kiya waada na nibha saki."
.........................
Join in the story of two souls, jinn ki mohabbat ke dushman unn ke apne the. To find out more about their journey, stay tuned ✨
Love,
Zarshi

Vasl e YaarWhere stories live. Discover now