Chapter 4

33 7 0
                                    

Asfand bhaagte hue upar charha. Doosri chhat pe Adil gusse mei kharra tha.
"Kya hua Adil? Itni raat ko tum yahan? Sab khair toh hai?"
Asfand ne masoom bante hue poocha.
"Bia tere wahan hai kya?"
Adil ne sakht lehje mei poocha.
"Nahi, woh yahan kyun hogi? Hua kya hai??"
"Abba uss ki shaadi kara raha tha. Aur woh beghairat!"
Adil ne gusse mei chhat ke ek kone pe thooka. Uss ki iss harkat pe Asfand ne apne haath muthiyon mei kas ke band kar liye aur gehri saansei lene laga.
"Ab yahan kharra kya hai? Chal mere saath uss kameeni ko dhoondne!"
"Han tum jaao. Main maa ko bata ke aata hu!"
Asfand ne apni awaaz ko normal rakhte hue kaha.
Woh neeche utra hee tha ke seerhiyon ke darwaze pe taik lagaye Aliya kharri thi. Haath seene pe bandhe woh uss ko naam aankhon se dekh rahi thi. Asfand uss ke kareeb gaya aur uss ke dono baazuon se uss ko thaama.
"Tum jaanti ho na aapa, woh jaan hai meri!?"
Apni aankhon se Asfand ne uss kamre ki taraf ishaara kiya jiss mei Anabia maujood thi. Aliya ne apna sarr hami mei hilaya.
"Uss ki hifazat karna! Main jald aa jaaounga."
Yeh keh ke woh jaane hee laga tha ke Aliya ne apne bhai ka haath pakar ke uss ko ruka. Apne haath uss ke gaal pe rakha, aur mohabbat se boli.
"Apna khayal rakho Asfi! Apni mohabbat ki khaatir!"
Asfand ke chehre pe halki si muskurahat aayi. Aliya ke haath pe apna haath rakh ke, uss ne kuch lamhe apni behen ko mohabbat se dekha. Phir sarr jhatak ke baahir ki jaanib barh gaya. Peeche kharri Aliya ne dil hee dil mei apne bhai ki hifazat ki dua maangi thi.
..................
Aliya kamre mei daakhil hui jab uss ki nazar bistar pe baithi Anabia pe parri. Apna dupatta apne seene pe phelaye, sarr bistar ke peeche wali deewar se tikaye, woh aankhei band kiye baithi thi. Darwaza band hone ki awaaz pe uss ne apni aankhei kholin aur Aliya ko dekh ke seedhe ho ke baith gayi. Aliya jaa ke uss ke saamne bistar pe baith gyi.
"Aapa! Tum sach mei nahi chahti ke main aur woh ek saath khush rahei?"
Chand lamho ki khamoshi ko torrte hue Anabia ne sawaal kiya.
"Main toh chahti hu ke tum dono ek doosre ke saath khush raho Bia! Magar yeh log nahi rehne denge."
Aliya ne pehla jumla mohabbat se aur doosra afsos se kaha.
"Lekin kyun aapa?"
Anabia me masoomiyat se poocha.
"Kyun ke inn se nahi bardaasht hota ke aurat apni pasand ki shaadi kar sake."
Ek gehri saans leke unhone mazeed baat mukammal ki.
"Maine bhi toh ki thi bhaag ke shaadi. Par nateeja kya hua? Tumhara abba aur veer ne maar diya mere Zohaib ko."
Aliya ki aankh se ek aansu nikal ke uss ke gaal pe girra.
"Aap iss baat ka badla le rahi hain mujh se?"
Anabia ne namm ankhon se poocha.
"Nahi pagli!"
Aliya uss ke kareeb khiski aur usske gall ko apni ungliyon se sehlaya.
"Tum dono mujhe aisay pyaaray ho jaise ek maa ko apne bache hote hain. Main sirf darrti hu Bia! Ke kahin jo mere aur Zohaib ke saath hua, kahin waisa hee kuch tumhare aur Asfi ke saath na ho jaaye."
Anabia bheegi aankhon se Aliya ka chehra takkti rahi.
"Yeh log tum dono ko saath rehne nahi denge. Shaadi bhi kar loge toh yeh maar daalenge tumhe! Yaad nahi mera kitna tamasha banaya tha tumhare veer ne? Ke aaj bhi gaaou walon ke saamne sarr jhuka ke chalna parrta hai."
Aliya ne apne aansu saaf kiye aur Anabia ki taraf sakhti se dekha.
"Tum dono ek doosre se door rahoge toh kam as kam zinda toh rahoge!"
"Aisay zinda reh ke bhi kya faaida? Jiss ke liye saansei chalti hon, jab wohi paas na ho. Jiss ke liye dil dharakta ho, jab wohi saath na ho. Aisay jeene se toh maut khushi khushi manzoor hai!"
Aliya ko uss waqt apne saamne baithi Anabia mei apna aqs nazar aaya. Kabhi woh bhi aisi hee hua karti thi. Kisi ki mohabbat mei itni pagal.
................
Apne reviews zaroor diyega aur vote karna mat bhooliyega!!
Aap ki
Zarshi ✨

Vasl e YaarWhere stories live. Discover now