Pagfera-2

365 85 9
                                    


Continue previous part

Ese hi din nikal jata hai aur zoya ka mood off hota hai woh ghar aati hai aur dekhti hai ki uska bhai usko rasam ke liye le jaane ke liye aya hua hai tabhi rakhi usko dekhti hai aur bulati hai

Rk=are zoya beta tum aagyi dekho tumhara bhai aya hua hai pagfere ke liye Jane ke liye

Zoya kuch nhi bolti aur sidha apne room mein chali jaati hai

Rk=are isse kya hua

Thodi der baad prithvi aati hai aur rakhi usse sab batati hai usse office wali baat bhi yaad aajati hai aur fir woh apne room mein jaati hai aur dekhti hai ki zoya window ki taraf delh rahi hai aur uski aankhon mein aansu hain woh uske paas aati hai aur uske aansu pochti hai zoya usko hug kar leti hai aur kuch nhi bolti hai prithvi uske sir pe hath ferti hai aur thodi der dono ese hi rehte hain zoya ko realise hai ki prithvi aagyi hai woh usko chodti hai aur khadi hoti hai

Pk=kya hua hai aapko  apne hi ghar nhi jana

Zm=kuch nhi hua hai

Pk=toh aap kyu nhi jana chahti hain pagfere ke liye apne ghar

Zm=ek baar bolne pe apko smajajh nhi ata hai kya jo baar baar samjhana padta hai nhi jana bas 😠

Prithvi uske paas jati haia aur uska haath pakada ke uski ankhon mein dekhte hue bolti hai

Pk=wajah chahe jo bhi bhale tum Hume na batana chahe koi baat nhi agar mann hoga toh bta dijiyega nhi toh koi baat nhi tum ko jo thik lage woh kariye lekin tum apne ghar pagfere ke liye chali jaiye warna kya ijat reh jaegi samaj mein apke family ki, ki ghar ki beti pagfere ke liye nhi aayi

Zm=aap kyu nhi samajh rahi hain hum nhi jaa paenge

Woh uske gaal pe haath rakhti hai aur bolti hai

Pk=dekho zoya hum samajh rahe hain pakka koi badi baat hi hogi jo tum apne ghar nhi jana chahti lekin tum bhi toh samjho accha suno tun humare liye hi chali jao

Zoya uski taraf dekhti hai aur fir bolti hai

Zm=thik hai hum chale jaenge lekin aap plz jaldi aaiyega Hume lene

Pk=jo hukum begam sahiba

Zoya usse hug kar leti hai aur thodi der dono ese hi rehte hain fir zoya apna saman pack karti hai aur fir woh apne bhai ke sath chali jaati hai

muskurane ki wajah tum hoजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें