Meri Yaad Aati Hai?

1.1K 52 36
                                    

Ek mood pr yu hi achanak mulaqat hui to Usne mujhse pucha, "kya kabhi meri yaad aati hai?''

Main kehna to chahti thi...
Haan aati hai, ya shayad ye kehna behtar hoga ki yaad kabhi jaati hi nhi hai... Kabhi kabhi akele mein aasu bhi aa jate hain lekin tum kabhi nhi aate... Har badalte moosam ke sath meri yaade bhi badalti rehti hain, Garmiyon mein ab ice cream thandi nhi lagti balki wo to mujhe andar se jala deti hai, sardiyon ki shamo mein wo coffee ab utni achhi nhi lagti jese kabhi tumhare sath lagti thi, aur barishein... Wo to sitamgar hain... barishon mein ab wo baat kaha jo tumhare sath thi, ab ye mehez aasmaan se girti pani ki bunde hain magar afsoon inme wo taqat kaha ki mere dil ki banjar zameen ko dobara khush-bash kar sake? Tum to beech safar mein hath chhuda kar kahi chale gye aur jate jaate mujhe apne sath le gye ab main khud ko tanhayi ke is registan mein kaha dhundhu? Jab bhi khud ko talashna chaha har baar khud mein sirf tumhe hi paya... Ab bhi puchhte ho kya tumhari yaad aati hai?

Kehna to aur bhi bohot kuch chahti thi lekin kis haq se kehti? Ab to lafzo ne bhi zuban ka sath chhod diya, shayad ye hunar bhi tumse hi seekha hai.

"Bataya nhi tumne? Meri yaad aati hai?" usne dobara puchha lekin main kuch keh hi nhi payi... Ye wo hi aakhein thi jinme kabhi dub jaati thi lekin aaj pehli baar ghutan ka ehsaas hua. Unse halke se apna hath meri taraf badaya. Kya kru? Thaam lu is hath ko aur nikal jau bahar is ghutan ke ehsaas se?

"Main jaanta hu" aaj bhi meri yaado ke sahare bethi hui ho, chalo sab bhula kar ek naya safar shuru karte hain..." Uska hath abhi bhi mere samne tha, maine bohot socha... jitna ek pal mein socha jaa sakta tha sab soch liya...
Main chahti to us ka hath thaam leti aur ek naye safar ka agaaz kar deti lekin sawal ye tha ki wo safar kitna lamba chalega? Agar ek naya safar shuru kar diya aur uski mangiz dobara mujhse pehle aa gyi to...?
Use sirf ek hamsafar ki zarurat hai... Hamsafar... Safar ka sathi... Lekin mujhe sirf ek safar ka sathi nhi chahiye balki ek aesa sathi chahiye jo meri khubsurat manzil ho, Jis tak pohoch kar main mukammal ho jaun... Lekin mere din ne kaha ye shakhs wo manzil nhi hai jiski mujhe aas hai.

Usne meri taraf ek qadam badaya aur mera hath thaamne ke liye apna hath badaya lekin main muskura di aur halke se sir na me hila diya...

"Nahi aati tumhari yaad..."
Aur bina waqt barbad kare maine apna raasta badal diya. Main chahti to uska hath thaam leti, lekin mene behtar ye samjha ki us ke safar mein hamsafar ban'ne se behtar hai akele hi dar dar ki thokare khaa kar jeena seekh jau. Kya pta apne safar ki manzil tak pohochte pohochte main khud ko paa lu.

<><><><>

First time ever I'm publishing a tiny tale ...
I've written many in my diary but today I thought to give a try to this...

Let me know your feedback.

Thank you

Naaz Jamal

Tiny Talesजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें