Mere pyare ......
Kya naam likhu aapka?
Aapka asli naam likhu ya aapke aehtraam mein Alqaab likhu?
Aaj pehli baar aapko khat likhne ka socha lekin kya likhu samajh hi nhi aa raha bas haal-e-dil bayaan karna chahti hu. Aapko bakhabar karna chahti hu un cheezo se jo aap mere sath kar rahe hain. Heraani ki baat ye hai ki aapko to pta bhi nhi hai aap mere sath kya kar rhe hain... Aapne mujhe apna aadi bana diya hai, main kisi bhi mushkil mein hu, kisi bhi dard mein hu, ya mujhe zindagi ke kisi bhi mood par madad ki zarurat mehsoos hoti hai to bas aapko awaaz de deti hu is yaqeen ke sath ki aap mna nahi karenge aur sach bhi hai aap kabhi mna nhi karte. Kese batau main aapko ki aap ke bina ab namukammal mehsoos hone laga hai. Jab tak aapko na batau ki pura din kya hua mujhe raat mein neend nhi aati. Kabhi roone ka dil karta hai to aapke kandhe ki zarurat mensoos hoti hai, kabhi khush hoti hu to aapke sath hasne ka dil chahta hai... Aapne mujhe maqruz kar diya hai. Aapne to mujhe is layaq bhi nhi chhoda ki agar zindagi mein kabhi aap mujhse kuch mange to main mana kar saku. Kese mana kar paungi main aap ko? Lekin baat ye hai ki aap badle mein kuch mangenge bhi nhi, kyuki main akeli nhi hu jiski aap is tarha madad karte hain, aapki aadat hai dil jeetna, naa jaane kitne dil jeet chuke hain. Main us bheed ka hissa hu jo ek hi chand ki diwani hai, lekin chand ko kaha kisi se mohabbat hoti hai? Wo to sirf dusro ki raato ko rooshan kar ke khud andhere mein rehta hai... Bilkul Aapki tarha.Ye baate shayad aapse kabhi nhi keh paungi... Kyuki zindagi mein wo mooqa nhi ayega.
Aapi qarzdaar
Madiha...<><><><>
Vocabulary:
Maqruz = Ahsaanmand/qarzdaar/Indebted
Aehtraam = Izzat/Respect
Alqaab = Salutations
Bakhabar = Inform
Namukammal = Adhura/Incomplete
Rooshan = bright<><><><>
Okya...
So, you can consider this a sneak-peek for my new story Not a Fairy Tale.
Your author
Naaz Jamal 🖤🖤
आप पढ़ रहे हैं
Tiny Tales
RandomA collection of tiny (very short) stories with no specific purpose other than... I like to write them. Cover by @shifaaa_1527