Kirti kachoriyan banake laati hai.
Kirti: "Sab log aa jaiye kachoriyan ban kar taiyar hai!"
Kirti ki awaaz sunke sab aate hai. Sab log nahake kapde badal chuke the.
Tanya: "Meri khasta kachori!"
Kirti: "Aree aree beta, aaram se." *laughs*
Tanya apna sar hilati hai kyunki uska muh toh kachori se bhara hua tha.
Ladkiyan aur baaki sab kachoriyan khana shuru karte hain.
Nishant: "Aree waah aaj toh har variety ki kachori banayi hai. Maza aa gaya."
Kirti: "Ji, bacchon ki yahi farmaish thi. Vaise Y/n kahan hai?"
Chhaya: "Vo abhi bhi so rahi hai. Shayad bhang ka asar zyada ho gaya hai."
Tabhi wahan Y/n aati hai.
Y/N: "Haye! Yeh vahi jaani pehchani si khushboo hai! Pudhine aur anardane ki chutney sath mein matar ki kachoriyan. Waah waah waah!"
Aryan: "Aapke kamre tak toh nahi pohonchi hogi yeh khushboo phir aap achanak yahan kaise aa gayi?"
Kirti: "Aryan, yeh kaisa sawal hua? Y/n... beta, tu theek hai na? Tera nasha utar gaya?"
Y/N: "Nasha? Kaisa nasha? Kya keh rahe hai aap log? Main toh so rahi thi aur uthne ke baad bhookh lagi toh yahan aa gayi."
Kirti: "Uhm, vo... matlab.."
Chhaya: "Holi ka nasha. Haina, mumma? Subah se holi khel rahi hai."
Kirti: "Haan, vahi toh."
Y/N: "Accha? *confused* Mujhe shaq hua ki holi hai toh mumma ne zaroor kachoriyan banayi hongi aur dekho mera shaq sahi nikla!" *folds arms proudly*
Aryan: "Kya baat hai didi!"
Kirti: "Lagta hai Y/n ne apni jaan pehchan bana li hai kachoriyon se."
Y/N: *smiles* "Chaliye hatiye mujhe meri kachori khane dijiye isse pehle ki vo khargosh aa jaye aur saari kachoriyan saaf kar jaye."
YOU ARE READING
Khoobsurat Galati
RomanceJungkook, a South Korean businessman visits India for his work. There he meets a girl named Y/n who was crazy yet bold enough to make him fall for her. Will the two fall in love? Afterall, business is about making relationships, right? This ff is in...