Part 6

646 34 0
                                    

A.S. – SHO Amar Vidrohi.... (angrily)

To ab humare pyare-pyare , bhole bhale MPT members dar gaye aur SHO Amar Vidrohi bhi, isliye humari Haseena ji ne unhe isharon – isharon mein hi bola ki relax .... Pehle aapka gussa thanda ho jaane dijiye....

A.S. – (polietly) jab tak kisi baat ki puri sacchai nahi jaante ... tab tak uspe koi tipandi (comment) nahi deni chahiye...

A.V. – sorry sir...

A.S. – ab hum chalte hain ...

All – Jai Hind sir....

A.S. – (smiled) Jai Hind....

He was about to leave but...

H.M. – aah... ( Moch aa gayi pair mein )

(Anu Bhaiya gate ke pass the to Amar Vidrohi ne hi unhe girne se bachaya )

A.V. – arey... aaram se... aap bhi na... abhi gir jaati to...

H.M. – (to hume bhi koi shauk nahi hai girne ka ... aur ... waise bhi kisne kaha tha aapko hume bachane ke liye... hum sambhal jaate khud ... aapko koi zarurat nahi hai humari fikr karne ki ....

Anubhav came to her

A.S. – aap theek hain.... Dikhaiye hume....

H.M. – Nahi sir... hum.. hum theek hain....

A.V. – aise kaise theek hain .... Itni zor se chillayi aap .. humare to kaan ke parde hi phat gaye.... Aur ab humse hi lad rahi hain aap... koi zarurat nahi hai humari fikr karne ki .... bhalai ka zamana hi nahi hai ...

H.M. – aap kuch zyaada nahi bol rahe hain.... Aa... aapki wajah se humare pair mein moch aayi...

A.V. – ab humne kya kiya , humari wajah se kaise...

H.M. – humse baat mat kariye aap ..... selfish insaan...

A.V. – lekin humne kiya kya hai jo hume itna suna rahi hain aap....

H.M. – kya kiya hai... batayein kya kiya hai...

A.S. – (angrily) bas kariye aap dono... aa... Miss Malik , aap thodi der aaram kar lijiye ..... aapka gussa bhi Thanda ho jaayega....

H.M. – (angrily) Ji sir.... (In mind) humne to bas itna bola tha inhe ki... ab se hum sirf senior-junior hain , lekin inhone to sirf Miss Malik – Miss Malik laga rakha hai.... kya chala jaayega agar ek baar ..... ek baar Haseena ji bol dete to .... Humare kaan... nahi .. hum taras gaye hain ek baar Haseena ji sun ne ke liye ... huh...

A.S. – Hase... Miss Malik , kya hua aap...

H.M. – (sarcastically) nahi sir... kuch bhi to nahi , hum abhi aate hain ...

(aur humari Haseen Dilruba apne cabin mein chali jaati hain .... Aur baaki sab ki shakal dekhne laayak thi.. kyunki unke pair mein moch aayi thi aur wo aise chali gayin ... )

A.S. – Pushpa ji...

P.S. – hmm...

A.S. – humne abhi jo dekha wo kyat ha...

P.S. – sir... wo to hume bhi nahi pata ...

A.S. – to hume jaana chahiye ya unke aane ka intezaar karein ...

P.S. – hume kya lagta hai ki...

S.S. – sir.. abhi jaan bacha kar bhaagna hi best option hai ...

A.S. – Nahi.. is baar aap sahi hain... Dhanyawaad Santosh Sharma

To abhi tak ki jo Conversation thi sirf Pushpee , Santu ji aur Anu Bhaiya ke beech ki thi ...

A.S. – ahem... to hum chalte hain ... Jai Hind...

All – Jai Hind sir ...

Haseena's Cabin

H.M. – humne baahar aisa kyun kiya... ye naatak ... kyun unhe rokna chahte the... humne hi to mana kiya tha... ye.... Ye hume kya ho raha hai ... phirse ye sab.. nahi , hum aisa nahi kar sakte... hum phirse ye sab nahi hone denge...

Pushpee enters

P.S. – kya nahi hone dengi Madam sir aap...

H.M. – aa... Pushpa ji aap... aap kab aayin...

P.S. – bas thodi der pehle... lekin aapne hume jawaab nahi diya....

H.M. – kuch bhi to nahi... kuch nahi .. hum to bas aise hi.... (Nervously)

P.S. – ab aapka pair theek hai..

H.M. – humara pair... (confusingly)

P.S. – (teasingly) haan... aap itni kho gayi thi apne khayalon mein ki aap ye bhool ki aapke pair mein moch aayi thi baahar....

H.M. – aa...haan... wo to theek ho gayi ....

P.S. – to chalein...

H.M. – kahaan..

P.S. – Chai peene....

H.M. – haan... chaliye ... 

Reunionजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें