Grisham ritu yani garmi ka mausam, apne sath kai sare chize le kar aata hain. Unhi mein se ek sabsi acchi chiz, jo mujhe bahut pyaari hai. Woh mujhe bade viksh mein lataki hui dikhai de rahi thi. Meri nazaar usi par tiki hui thi ki meri ma ne mujhe tokte huye pucha,
"garmi ki chutti mein nani ghar jana chahogi?"Apna Dhyan us aam se hatate huye maine ma ko bola,"Nani ghar ke alawa koi aur jagah bhi hain kya?"
Ma ne bina samay gawaye jawab diya,"Haan dadi ghar".
Maine ma ko dekha. par ab dekh kar bhi koi fayda nahi tha. Pata toh tha hi ki meri garmi ki chuttiyan kaha bitne wali thi.
Mere mama bola karte the,
"Jab Sam ka samay lamba lagne lage to samjh jao garmi ke din aa gaye aur tumare jenki wapas lotne ke bhi".Waise toh woh yeh mazak se bolte the par ma ise sachai mein badal deti thi aur mein humesa ki tarah garmi ki chutti mein jenki mein mili jati thi.
Kuch dino bad, mein jenki ke liye rawana ho gai. Iss garmi chutti mein, main akele jenki ja rahi thi. Kyuki didi toh humare sath rehti nahi thi. Aur Ma aur baba humare dusre gaon jane wale the.
Waise mujhe akele jane mein koi hichkichahat bhi nhi thi. Mujhe jenki jana accha lagta tha. Gaon ki khushbu, khet ki hariyali, nadiyon mein behta Pani aur mausi ki hath ki mithai ka main pura sal intezaar karti thi. Aur is saal mujhe andar hi andar mehsus ho Raha tha ki sayad mere liye kuch naya ho sakta tha jenki mein.
Yahi sochte sochte Maine Jenki jane ki bus pakdhi aur chal padhi apni nayi manzil ki aor.~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
आप पढ़ रहे हैं
Gaon Sa Kuch
ChickLitConnect with nature and your lost childhood through this storytelling.