Do Rastein

3 0 0
                                    

Gaon mein do rastein the. Ek jo aaj tak pura bana nahi tha aur dusra jo ban kar bhi kharab ho gaya tha. Aur na jane kyu mujhe us adhure rastein se jana hi accha lagta tha. Us rastein mein itne bade viksh hua karte the jo sehar mein muskil se dikhte the. Aur wahi viksh ke niche tum agar garmiyon mein so jao toh garmi ka pata bhi nahi chalta tha. Mama ise cooling effect kehte the. Aur mama ka beta ise patta effect bolta tha. kyuki pedh ke patte itne joro se hilte the ki pedh ke sath sath us hawa ka anand hum bhi le rahe hote the. 

Aksar ye road mein, main mere bhai ki cycle liye idhar aa jati thi. Cycle ke tire mein jan to nahi rehti thi, par apne andar usse kai jyada jan rehti thi use chalane ki. Chalate chalate jab main nadi kinare pohchti thi toh suraj dhire dhire gayab hota hua nazar aata tha. Pasine pochte huye wapas cycle ke paiye ghumate huye jab ghar pohchti thi toh mummy se lakhon dat sunti thi. 

"Yeh bina hawa ke tire mein kya cycle chala rahi hai. kharab ho jayega cycle"

Us din mujhe pata chala ki bina hawein wale cycle chalane se, cycle kharab ho jati hain. Toh fir maine cycle nahi chalaya. aur wapas us cycle ko chalaya hi nahi gaya hawa nahi hone ke karan. Dekhte hi dekhte cycle kharab ho gaya. 

Ab main sochti hun ki galat kon tha.. main, Maa ya cycle?

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Nov 05 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Gaon Sa Kuchजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें