Karib 5 baj ke 35 minutes mein main apne gaon pohchi.
Sehar mein andhere ka pata hi nahi chalta tha kyuki andhere hone se pehle hi log batiyan jala dete the.
Par gaon ki bat kuch alag thi.
Maine apne phone ki torch ko jalate huye aage ke raste ko dekha jo bilkul horror movie se uthaya hua ek scene lag raha tha.
Meri dai aor pedh, Bai aor ek sukha hua kuaa. Aisa lag raha tha mano abhi us kuye se koi daraona bhoot mera nam liye mujhe pukarega.
Par mera maksad Aaj bhoot ki pukar sunna nahi tha.
Mera maksad tha Ghar Tak pohchne ka. Wahi raaste se Jana jo pehle se kafi simpta huya Nazar aa raha tha.Ek lambi sans bharte huye Maine aage kadam badhaya.
Aur jaise jaise main chalti gayi wese wese mujhe us raaste se judhi yadein wapas aane lagi.
-----------------------------------------------------------
आप पढ़ रहे हैं
Gaon Sa Kuch
ChickLitConnect with nature and your lost childhood through this storytelling.