✿
GEET: SONG
Zindagi aasaan nahin, jitna ke aap samajhte hai,
Har pehloo hai nayaa, jisse hum jaa oolajhte hai.Chalte- Chalte rukna, behte – behte thamna, Kis ghadhi ho jayega, waqt ka badalna. Zindagi yeh Zindagi hai paheli aaj bhi, Sooljhaa naa paaye koi ke, gumraah har aadmi.
Zakhmein puraane nahin, jise khoob samajhte hai,
Haaaa !!!! Har pehloo hai nayaa, jisse hum jaa oolajhte hai.Behke- Behke nazaare, behki- behki chaahat, Behke- Behke eeshaare, behki- behki aadat. Behek naa jaaye yeh dil, zindagi hai mushkil, Aag ka darya kaheen, kaheen soolaghta saahil.
Hai nashaa itna ke, sochh bhi nahi sakte hai,
Har pehloo hai nayaa, jisse hum jaa oolajhte hai.
ღ

आप पढ़ रहे हैं
Dil E Nishat : Ghazal 🎶 Geet 🎼 Sher O Shayari 🎵 (Hindi & Urdu)
Poésie❦ Ashiqui ka ek pal hee naseeb ho, dooorr tu sahi, teri yaadein kareeb ho ❦ ❦ In love, a moment's fate is all I plea, Distant though you may be, Your memories, forever close to me ❦ PRESENTING 'Dil E Nishat' the 'Heart of Joy' ❦ Ghazal (poems) Geet...