Sachin: Purvi kiya hua, tum kyun itna pareshan ho rahi ho.
Purvi: pareshan na hun toh aur kiya karun. Kavin ko gaye itni der ho gaye hai woh abhi tak nahi aaye hai. Mujhe unki fikar ho rahi hai. Yeh bhagwan kavin ke raksha karna.
Sachin: Purvi waise tum aur sir toh humesha lartay rehta ho. Phir aachanak se tumhe sir ki itni fikar kaise?
Purvi: fikar toh mujhe unki humesha se rahi hai. Ek toh kavin k pass phone bhi nahi hai k main unn se phone kar k poch lun.
Sachin: Haan sir apne phone yahan chor k gaye hain yeh raha. Arey yeh itni miss call kis ke hain sir k phone par. Sir ka yeh number toh kisi k pass nahi hai. Caller ID check kar ke dekhte hun. (He checked the caller ID saved with the name of priyee) yeh sir ko call kyun kar rahi thi kahen usay pata toh nahi chal gaya k sir zinda hain aur woh phir se sir ki jaan laynay ki koshish kare gaye.
Purvi: Tum kuch zayda hi soch rahe ho sachin ji. Woh aise kuch nahi kare gayi, tum ek kaam karo tum police force le kar mantri ji ka ghar jao.
Amar: waha purvi tum informal kab se hone lagi.
Purvi: Matlab
Amar: Tumne mujhe abhi sachin ji kaha, yani main tumhe purvi ji keh sakta hun ab?
Purvi: sorry woh mujhe dhyan nahi raha. Aur haan please mujhe tum purvi ji mat kaha karo Mr sachin.
Amar: Waise sir bhi tumhe purvi ji kehte hai kabhi kabhi. Unhone toh tumne kabhi mana nahi kiya? Aur tum bhi unn ko kavin bolti ho?
Purvi: That's our personal matter Mr sachin. So don't interface. Aur rahi baat unhain kavin bolne ki toh woh tumhare senior hai mere nahi, toh main unn se kisi bhi tarah ka professional relation nahi rakhna chahti. Aur purvi ji unn ke mun se suna itna bura nahi lagta. Jitna k koi aur mujhe kehta hai.
Sachin: Kahne tum ko sir se pyaar toh nahi ho gaya hai.
Purvi: Mr sachin be in your limit. Pyaar zindagi mein sirf ek hi bar hota hai aur main apna hissay ka pyaar kar chuke hun. Kisi ne mujhe apne ishq ke rang mein aise rang diya k chah kar bhi ab koi kisi aur k pyaar rang mujhe par nahi chehrah sakta. Tumse maine jitna kaha hai uss par dhyan do tum, toh zyada behtar ho gaya.
Sachin: Theek hai purvi main samjh gaya. Bus mujhe laga tha k main ek acha dost ban gaya hun. Koi baat nahi, I can wait.
**********************
Soriya: Toh tum yahan tak aa hi gaye ho. Par yahan se zinda bach k nahi jaa sakte ho.
Kavin: zinda toh tum nahi bacho gaye soriya. Kyun ki tumhara samnay maut khari hai tumhari.
Soriya: Tum jaante nahi ho meri taqqat ko.
Kavin: jaante hun tumhari bhi aur tumhari sari saktiyun ko bhi, jab hi toh tumhari sab k sab saktiyun ko venash kar k yahan tak aaye hun. Itna bhi bewafoof nahi hun main.
Soriya: kaun ho tum?
Kavin: Kaha na tumhari maut hun main? Pehchan nahi mujhe? Koi baat nahi mere saath chalo phir main tumhe aaram se apna bare mein bata dun gaya.
Soriya: Bohut bari galati kar rahe ho tum. Tum jaante nahi ho mujhe mere ek phone call par puri k puri police force yahan aa jaye gaye.
Kavin: main toh dar gaya. Chalo bul lo pure k pure police force ko yahan, main intezar kar raha hun use se bhi mulaqat ho jaye gayi mere.
Soriya: lagta hai naya ho iss sehar mein?
Kavin: Nahi main naya toh nahi hun, par afsoos yeh sehar mujhe nahi janta. Waise pure police vibhag mein meri bhi bohut achi jan pehchan hai. Commission sir, DIG, SSP, IG, SP, DCP, ACP sab mere mitra hai.
YOU ARE READING
Rang Tere Ishq Ka
Non-FictionStory related to current track of CID, continuity of mission behrupiya.