Hello choco-pies!!!
Come on let's get settled and enjoy reading 😜
--------------------------------------------------------------------
11:45 a.m.
Malhotra Mansion, Mumbai.In Manik's Room-
Today, as usual no Malhotra's were home but except the grand- father son duo; i.e except Harshwardhan and Manik Malhotra. Both were bored of their daily routine or let's just say Manik's cool dadu dearest decided, no, actually he forced Manik to take an off from office and to spend some time with him. To which Manik eventually had to agree.
So, now both the men were sitting in Manik's Room, playing video games while having some chips and coke. Both were playing when dadu squealed happily and started doing Bhangra.
Daadu [happily]- Hurray! Mein jeet gaya, mein jeet gaya, maine issh khotey ne hara diya, yeah😁🤪🕺🏻
(Hurray! I won, I won, I eventually defeated this donkey, yeah😁🤪🕺🏻)
Manik [whining]- Daadu no, you cheated and so you won. If you had not closed my eyes, I would have definitely defeated you. 😭
Daadu [fake anger]- Oye, khote cheater kisko bola?
(Oye, donkey whom you called cheater?)Manik [Glaring]- Aapko. (You.)
Then they both glared at each other and suddenly started laughing on their childishness.
After a while, dadu calmed down and comfortably settled on the bed, keeping his head on headrest. Seeing this Manik immediately laid down in his daadu's lap. Slowly daadu started caressing his hairs and said-
Daadu- Manik
Manik- Hmm
Daadu [softly]- Manik main tujhe Teri maa aur daadi ki tarha shaadi karle issh topic ke liye force nahi kar raha lekin tujhe kuch batana zaroor chahuga.
Manik [whining]- Daadu please
Daadu [calmly]- Shh, pehle sunto what I am going to say atleast let me complete myself.
Manik [sighing]- Fine.
Daadu- Tere mom-dad ki tarha toh hum nahi the ki pyaar kiya aur shaadi karli. Hamare zamane main sab alag tha pyaar ko value sirf shaadi ke baad hoti thi. Aajkal ke baache pehle milte hai, sochte samajhte hai phir shaadi ke liye haan karte hai. Lekin hamare waqt main aisa nahi tha.
Maine toh Gayathri ko sabse pehle, mandap mein uski maang bhartey waqt dekha tha. Uski aankhon mein aansu the tab aur chehra murjhaya sa tha. Tab zindagi main pehli baar aisa laga ki meri wajah se ek ajnabi ladki ko takleef ho rahi hai, uska ghar chodna pad Raha hai. Baccha tha main, duniya ke liye bhale hi woh meri patni ho aur main uska pati lekin phir bhi hum the toh ajnabi, do aise ajnabi Jo ek khubsurat shaadi ki dorr se bandhe the.
Aisa hamare zamane main bahaut se logo ke saath hota tha. Do log aise hi shaadi ke bandhan mein bandha jate the aur chahte na chahte huye bhi apni zindagi guzar dete hai. Kuch log meri aur Gayathri ki tarah pyaar se issh rishte ko nibhate toh kuch isse ek bhoj samaj ke zindagi guzar detey. Pyaar toh inn dono category waale logo ko hota tha bas pehle waali category mein pyaar apne pati se ya patni se hota toh dusri category waalo ko pyaar toh hota hoga bas unka pyaar koi aur hota hoga.
Aksar log kehte hai ki pati-patni ke rishta ko majboot ek baccha banata hai. Lekin woh rishta hi kya jo kisi teesre ke hone se chale. Koi bhi rishta do logo ka hota hai aur usmein kabhi koi teesra nahi aana chahiye, chahe woh baccha ho, maa-baap ho, dost ho, gharwale ya rishtedar ho, koi bhi matlab koi bhi teesra nahi aana chahiye.
Meri maa bhi mera aur Gayathri ka rishta jodne ki, usmein kuch progress laane ki koshish karti. Lekin hamari shaadi ke 3 mahine baad bhi hum kisi ajnabi se kam nahi the. Phir maa ne ye sab karna band kar diya aur phir hum dono hamare rishte ke uss hi mod par aakar khade ho gaye jaha se iss sabki shuruwat hui thi, bas farak itna tha ek iss bar ham ek kadam aage the kyunki hum atleast ek dusre ka naam toh jante the. Issh baar hum jaane pehchaane ajnabi the aur phir tab se hum dono ne issh riste ko aage badha ne ki koshish ki.
Ye joh love marriages hoti hai na bahaut lovely hoti hai kyunki hum ek aise insaan se shaadi karte hai jisse hum pyaar karte joh hum se pyaar karta hai aur toh aur pehle se hi ek dusre ko jaante pehchaan the hai, samjhte hai aur trust kartey hai. Lekin arrange marriages na different hoti hai. Iss mein na hum sabse pehle ajnabi hotey hai, phir jaane pehchaane, phir hum dost bante hai aur dheere dheere yahi dosti ke kadam pyaar ki taraf badhte hai aur issh beech hum unn pe trust karne lagte hai.
Love marriage mein uss ek hi insaan se Kai baar pyaar hone ke baad marriage hoti hai aur ussi pyaar ko nibhana hota hai zindagi bhar. Lekin arrange marriages main pehle shaadi hoti hai aur phir pyaar aur usmein bhi sirf ek baar nahi balki har roj har dafa uss ek hi insaan ke pyaar mein girna hota hai aur uss pyaar ko nibhana hota hai.
Tere maa baap ne bhi Kai baar ek dusre ke pyaar mein gire aur shaadi ki. Lekin maine aur teri daadi ne har roj nayi tarha se ek dusre ke pyaar main gire aur usse nibhaya. Shaadi aur pyaar main rusna manana bhi utna hi zaroori hai jitna hasna hasana.
Tujhe love marriage try karna tha lekin bahaut dhundhne par bhi tujhe teri 'THE ONE MADE FOR YOU' toh mili nahi toh kyun na abb arrange marriage ke baare main soch ke dekha kya pata shaadi ke liye ladki dhundhne main tujhe teri 'THE ONE MADE FOR YOU' mil jaaye.
Anyway you will have two options-
1) Fall in love and do love marriage
OR
2) Get married while slowly falling in love with your BRIDEEither way atleast give it a try.
Saying this he patted my head and left me with my deep thoughts. After some time I fell in deep slumber with only one thought running in my mind- 'Should I give it a try?'
--------------------------------------------------------------------
Enjoy!
Bye have good times.
Good night 🌃
YOU ARE READING
Manan: Mariage Arrangé
FanficFrench- Mariage Arrangé English- Arrange Marriage An arrange marriage story of our very own lovely MANAN The Malhotra's world famous personalities over whole wide world. They have everything, you just have to name it. 'THE PERFECT FAMILY' The Kapadi...