Humko Mili Hain Aaj Yen ,Ghadiyan Naseeb Se..🪔

575 40 74
                                    


"Tumhen na,sweets khaani chahiye taaki tumhari jubaan thodi sweet ho jaaye..."

...These words sounded more bitter from a sweet person like Ram to Priya and she couldn't help but uttered absentmindly...

"Woh bhi yahi kahta tha"

And Ram saw the pain not only in her eyes and voice but in her entire being.Her shoulders felt dejected by the burden of the' true face' of her once 'true lover' and she slumped down onto the bed.

But she did realise one thing today,that though the incident of heartbreak came back to her but she didn't feel the pain this time neither her eyes got teary. Strange...but before she could delve deeper into this thought,she sensed Ram's presence by her side,like always.

Ram (not really knowing what to say)- Ummm...I am sorry,Pri.. Priya.Mujhe..Mera matlab vaisa nahin tha..

Priya (chuckled sadly, confusing Ram with her reaction)- Maafi..aap maafi maang rahen hain,ek ajnabi jinka koi irada nahin tha mujhe boora feel karwane ka ,per..(facing Ram)per wo log,Jo exactly jaante hain ki kis baat se humara Dil dukhta hai,aur phir bhi vo vahi sab kahte aur karte hain ,Bina kisi Sharm ke...aur maafi toh door ,balki aapko uss waqt,uss pyar ,uss tavjoo ke liye sharminda karte hain,Jo aapne unke liye invest Kiya tha...kahte Hain ki 'grow up'...aap rote ho toh,kahte Hain 'ye drama band karo, it's not a big deal',aap minnatein karte hain toh kahte hain,' psycho ki tarah mujhe stalk karti hai ye ladki' aur kya kuch nahin...aapko aapke dil ki acchai ke liye saza di jaati hai aur itne per bhi bass nahin,Jahan dekho aapko taane diye jaate hain,"nakli shaadi,teen mahine baad kya karogi,patni hokar bhi pati toh kisi aur se pyar karta hai'...ye log jab zindagi se chale jaane ka faisla kar chuke hote hain,toh chale kyun nahin jaate humen apne haal per chodkar..kyun, Mr.Kapoor?

Ram(felt her concerns to be very similar)- Pri...

Priya ( weeping frantically)- Nahin ,aap bataiye please...aapko toh waqt ki ,logo ki parakh hai,toh btaiye..

Ram (placing his hand on her shoulder)- Priya...Maine tumhe smjhaya tha na,let those memories go.Agar tum aise logo ko apni zindagi se jaane nahin dogi toh vo tumhe takleef dete rahenge..ek din aayega ,jab wo tumper koi taakat nahi rakhenge,and you will feel alive.Sach...waqt badalta rahta hai,kisi na kisi ki pareeksha leta rahta hai..Jo boore waqt mein dharya se aur acche waqt mein sanyam se kaam leta hai,woh insaan zindagi ko jee paata hai...

Priya (muzzling a hiccup due to crying)- Per ye intezaar..waqt ke badlne ka intezaar kitna mushkil hota hai, uska kya karen..?

Ram (inhaling deeply)- Priya...ye ek phase hai,tum bas itna yaad rakho ki ye dukh temporary hai,ye tumhari reality nahin hai..na hi tunhara future..apne aapko ye baat yaad dilate rahna hoga...(brushing his fingers through her hair strands)...accha , apni aankhe band karon..(Priya looked at him blankly),trust me Priya,apni aankhen dheere se band karo..(Priya did what she was told to)..Ab bas main Jo kah Raha hoon ,uss per dhayan lagao...ek hare bhare ped(tree) ko imagine Karo,dekho kitna sunder lag raha hai,panchi uske saath saath hawa ke jhule jhul rahen hain,sab bas bada hi sunder hai..phir dekho ke uss ped ke patte jhadne lage Hain,unn panchiyon ne naya thikana dhoondh liya hai,kuch accha nahin lag raha hai, phir bhi ped khada hai,chahe uske hare bhare patton(leaves)ne, panchiyon ne uska saath chod diya ,per usne apni jadon(roots) ko nahin choda aur phir ek din..phir se kople phoonti,naye patte aaye, panchiyon ne phir uss ped ka rukh kiya...aur ped ne unhe phirse apna liya,ped ne koi gila shikwa nahin kiya..kyunki ped ye jaanta hai ki,ye niyati hai,jaise Panchi apne baare mein sochte Hain,vaise log,vaise hi Yuvraj ne apne hisab se,apni behtri jis baat mein smjhi ,uss raah ko chun liya....ab apni aankhen kholo ...(her calmed demeanor,eased Ram's discomfort too)..Priya,dekho zindagi mein kai baar aise mauke aate hain,jisme hume paise ya material world aur rishton,apno ke beech chunana hota hai..kuch log material pleasure ko chunte hain toh kuch log dil ki sunte hain,per baat ye hai ki vahan dono options hote hain,yaani hum dono mein se kuch bhi chun sakte hain,right?..Tumhare liye Yuvraj galat hai,per uske liye nahin..aur dono faislo ki keemat chukani hi padti hai,Yuvraj ne paise ko chuna toh aaj na wo mera employee raha aur na hi Aleka use poochti hai,per log badlte hain Priya...tumne dil ki suni toh tumhe bhi apne hisse ki learnings mili ,taki future mein tum aware ho sako..apne dil ki hifazat kar sako,aur socho Zara agar tum zabardasti se Yuvraj se shaadi kar bhi leti ,toh kya wo tumhe izzat deta...(Ram wiped her tears),tum ye nahin soch rahi ki tum usse bach gayi,apne dil se pucho Priya,ki kya agar kal vo tumhare paas aaye toh tum use apna logi?... (Priya denied immediately, making Ram chuckle at her cuteness)....toh phir shukr ki jagah jung kyun kar rahi ho bhagwan se,khud se...aas paas dekho,dhyan se suno .. dekho shayad phir se hare patte tahniyon per saj gaye Hain,shayad panchi chahak rahen hain...ye kaam toh keval tumhe hi karna hoga..Priya

Priya (absentmindly)- Per usne kuch galat toh nahin kaha,main akeli hi rah jaaungi...pahle rishta tutne ke taane aur aage shaadi tutne ke taane diye jaayenge yahan se jaane ke baad...

Ram (equally dazed)- Badi jaldi hai
yahan se jaane ki tumhe?Mujhse peecha chudana chahti ho..?

Priya (looking into his eyes)- Jaise aap ye nahin chahte Hain..?

Ram (with a stern face)- Tumhe kyun lagta hai ki main aisa chahta hoon? Koi vajah do..

Priya - Mujhe aisa kyun nahin lagna chahiye? Koi vajah dijiye..

Ram (coming closer to her )- Kya vajah nahin di Maine..? Maine kaha na dhyaan se dekho,suno..kya humari zindagi mein pyaar ke rang nahin dikh rahe ,kya humari dhadkano ki chahak sunai nahin de rahi,humare rishte ke iss ped per kya zindagi ki muskaan nahin dekh paa rahi tum..?Kya nahin dekh paa Rahi ki patjhad gaya aur saath hi sab galatfahmiyon ko bhi le gaya...Kya ab humare beech kisi ko dekhti ho..?kya sach mein tumhe dikhai nahin de raha ki Kriti ab yahan nahin aati,kya ye smjh nahin aata ki 'Ram the workaholic Kapoor ' apna office tumhare working hours se match karne laga hai,kyunki ab uska man tumhare alwa kanhi nahin lagta,..kyun nahin dekhti ki ab mujhe meri Maa ki fiqr nahin satati,kyunki mujhe pta hai ki meri "Jailor biwi'' ki qaid mein hain wo..ab main bahar se order ki bajay, tumhare taano se pet bharta hoon..mere 'perfectly set' baalon se jayada mujhe tumhare ''just shampooed '' hair pasand hai..ki jis snoring ko sunkar main darr gaya tha,use sune bina ab mujhe gahri meethi neend nahin aati...main nahin maanta ki tum ye nahin jaanti ki main tumhare absence mein bhi Maa,shardul se tumhari baatein karta hoon aur dono meri saari shikayaton ko ignore kar dete hain,per iss 'dhokebaazi ' ko bhi main hass kar sahta hoon..ki ab saare Tarun bass 'bhabhi ji,bhabhi ji' karke mere 'dushman ' ka gungaan karte hain,aur phir bhi ghar mein kadam rakhte hi main puchta hoon ki 'tumhari bhabhi Kahan hain'....Kah do Priya ki tum nahin jaanti ki jab tum apne ghar jaati ho,toh tumhare pahunchne se pahle hi main ,tumhari mummy ko dinner ka menu bta deta hoon,taaki iss bahane tumhe usi raat ghar le aaun ,aur jab tum vahan rukne ka kahkar ,mujhe jaane ka kahti ho ,toh mera man karta hai ki tumhare clinic jaake,wo anesthesia laake ,tumhe behosh karke,apne saath ghar wapas le aaun... Kya tum nahin dekh sakti ki jab tum mere saath na ruk kar Kriti ko vahan rukne ko kahti ho,toh man karta hai tumhare uss handbag mein chup jaaun,jisme tumne pata nahin kya kya rakha hua hai..aur jab jab tum contract ki baat karti ho,toh man karta hai ki tumhe bta doon ki wo contract,maine Ritika se lekar jala diya hai toh.....(and Ram finally gulped his saliva down, dreading her reaction over the last bit of information)...

Priya (gasped at him)-Mr.Kapoor...

Ram (nervously)- Yeah, that's me..per baad mein aana , theek hai..

Priya (catching his hand before he flees)- Aap..had kar di hai aapne...matlab ye kis tarah ka love confession tha,Haan ...?Har dusri line mein biwi ki beijjati...aur uper se saare khandan ke saath milkar,mujhe bevkoof bna rahen then aap...main chodungi nahin aapko..and she tried to slap him on his chest but Ram grabbed her hands and engulfed her into his tight embrace...

Ram(smiling amusingly)- Bass meri shreni,shaant...aur ye kya dhamki hai ki tum mujhe chodogi nahin...arey ,chodkar dikhao tum mujhe...dekhta hoon itne handsome husband ko chodkar kahan jaaogi tum...meri Mumtaaz Mahal...

And that's it,the last straw...Priya couldn't understand anything,as Ram kissed her cheeks and hid himself into her hair, inhaling her scent deeply...and all Priya could do was ,to hug him back and enjoy the 'sweet nothings ' her husband was bestowing upon her....

मुझे राह में कितने समंदर मिले हैं,
पर सब जमीं के अंदर मिले हैं...🌹

Mujhe raah mein kitne samndur mile Hain,
Per sab zameen ke ander mile Hain...🌹

Thanks a lot for your sweet response on the earlier chapter.I have another story on RamPriya, kindly go through that as well and please vote..it really matters and share your valuable feedback 🙏

Vaada Ye Hai Ki Hum Nahin Aayenge Baar BaarWhere stories live. Discover now