Yen Chirag Bujh Rahen Hain,Mere Saath Jalte Jalte...🪔

477 30 73
                                    

"Main Sab Theek Kar Dunga, Priya...Bass Tum Mujhe Chodkar Mat Jaana...''

Yen shabd abhi bhi mere kaano mein goonj rahen hain...uss din hospital mein jo bhi hua,har shabd jo mere munh se nikala...kaash ,main usse wapas le sakti aur apne har shabd per unki bebasi....kaash woh sab maine kabhi na kaha hota aur uske baad unke saath ek ghar mein rahte hue,unhe...unki khoobsurat aankhon,unki dil chune wali baaton,unke har andaaz ko dekhkar andekha karna...bahut mushkil tha..phir jab mujhe yakeen ho gaya tha ki ye daastaan adhoori hi rahegi..tab unhone humari kahani ko naye sire se likhne ka jimma utha liya,roz jald se jald ghar aajaana.. apni Jaan ko waqt dena,haalanki jab bhi galti se nazren...accha theek hai,jab main chupakar unhe dekhne ki koshish karti toh har baar..har baar unki neeli neeli ,hari hari aankhen mujhe hi dekh rahi hoti thin...uff,kitni baar Maa ne unhe ye sab karte dekha...aur Maa baar baar mujhe unke paas jaane ko kahti aur wo bhi har koshish karte , Maa ke saamne mujhse baatein karne ki...qki Maa ke saamne unhe ignore toh nahi kar sakti thi.. kaash,wo jaante ki unhe nazarandaaz karna itna aasan nahin,aur mere liye toh bilkul bhi nahin...na jaane mujhe kya ho gaya tha,unke khayal tak mujhe chedte se gujrate,aisa kya ho gaya tha Priya.....? Unhe mere door jaane se farq kyun pad raha tha..?Apna dhayan rakhna chod sa diya ,aur kabhi Sahab 'Mr self-obsessed' hua karte then..ek din Maa ne mere man ki baat unse poonch hi li... Vajan kam ho gaya,dark circles,khana ,apni pasand ka khana toh jaise bhula hi diya... apne gande jokes,weird fashion..accha, theek hai itne boore bhi nahin hote unke jokes aur unper har kapda,har rang janchta hai ,maan liya bass...per sab kuch badlne laga ,kyun..?Na ab ghar aate hi khane ki farmaish hoti,na Tarun ke naam ka jaap..ab bass Priya, Priya... Dil dukhta jab main unki pukar ansuni kar deti aur agar jaati bhi toh Maa ke kahne per...jo jawab dena hota ,likh kar deti..kaam karti aur nikal jaati..unki aankhon mein maayusi...aah,mujhe bilkul nahin bhaanti... per bade dukh se bachane ke liye ye takleef sahni hi thi,qki hum dono milkar bhi kabhi mil nahin sakte then...per uss raat,uss raat kuch aisi baat hui ki..ki meri duniya hi badal gayi,kuch nahin se mujhe sabkuch mil gaya... Unhone kaha ki woh chahne lage hain mm..mujhe...ye kaise ho sakta tha,per ye sach hai...meri zindagi ka sabse pyara sach...

Hum dono ne iss kam waqt mein kai utaar chadhav dekhen...kai mushkil faisle jaise unki family ko saza dilwana.. Kriti ko humare rishte ki sacchai smjhana..huh,ye bahut mushkil kaam tha,qki jo bhi ho Kriti ki insecurities bhi hum jaisi hi toh thi..jab hum kisi cheez ko zaroori smjhate hain,toh use paane ki koshish mein galat kaam bhi kar jaate hain, Kriti ne galti zaroori ki per woh criminal nahin hai,usne kisi ki jaan lene ki koshish nahin ki,woh gharwalon ki saazish se anjaan thi...toh Maa,Shardul Bhaiya aur haan mere kahne se unhone Kriti ko maaf kar diya,per phir kabhi usse koi contact na rakhne ka bhi faisla kiya,saying ki ''ab mujhe bass meri Maa aur meri biwi per concentrate karna hai''..hunh,Jahan chaar log ikkatthe ho jaaye,toh bas unki herogiri shuru ho jaati hai,bina kisi warning ke...sharm nahin aati unhe, arey sab vanhi khade the,Maa,meri family,Shardul bhaiya..per nahin,inhe toh Prem pujari banne ka shauk jo chadha hai inn dino...theek hai ki ab humari lives badal gayi hain per,itne badlav ..thoda waqt toh chahiye na,sab kuch ek jhatke mein kaise badlun..?Kamre mein ,meri taveerein aise laga din hain,ki sau kos door se hi pata chal jaaye ki,yahan Priya rahti hai,aur Mr Bunny...mere cutie, Mr Bunny ko kone mein nahin,balki almaari mein band kar diya,jab maine sawal kiya toh ,mere Mr Bunny ko phenkne ki dhamki dene lage....kaun karta hai aise,aur ye toh itne sweet hai,phir bhi itne devilish harkate...tang aakar, Ritika ko Mr Bunny return karna pada,aur jo tease kiya hai usne,hadd hai.. arey,ab protection ki zarurat nahin hai mujhe,toh bodyguard ka kya karun..logic right?Per nahin,inn sabko toh main target mil gayi hoon,uper se Sir/Ram ne dimag kharab kiya hua hai..din bhar peeche peeche, Priya ye ,Priya wo...jab clinic pe rahun toh har 10 minutes mein ya toh call aata hai,aur agar kaam ke chalte recieve na karun toh, receptionist, assistant sabko line se phone karte hain..ek baar toh khud hi aa gaye,kya lagta hai inhe,main clinic inse gappe haankne jaati hoon?Poora din pareshaan karte hain,apni baaton,apni harkaton se per phir bhi...ye sab bada accha lagta hai...

Vaada Ye Hai Ki Hum Nahin Aayenge Baar BaarWhere stories live. Discover now