Chapter 8

1.7K 89 9
                                    

Mega Episode:

He looked at her the way all girls wanted to be looked at.
~Great Gatsby

Meerab k janay k Baad bhi na janay woh kitni der khaali terrace ko takta Raha tha. Jese abhi tk uski maujoodgi mehsoos kr rha tha. He was all lost when the message tone got him out of his trance.
Murtasim takes his phone out. Haider messaged him about updates on Ansari's case. He messaged him to meet tomorrow and put his phone back in his pocket. He then looked at his lighter that has MnM engraved in it. Meerab and Murtasim. Yeh dono Naam hamesha ek hi honay the. Shayad Kismat yahi thi magar Meerab, agar woh khush nhi hai Tou dunya ki har Khushi uske liye bekaar thi. Aaj ki Raat Vasl ki Raat thi. Kitne khuwaab dekhe the usne iss Raat k liye Magar haqeeqat khuwaabon jitni khoobsurat nhi thi. Meerab uski ho k bhi uski nhi thi. Shauhar hone k bawajood woh Meerab pe koi Haq nhi rkhta tha. Kya Sab Yun hona zaroori tha. Uska andar aaj bhi jal rha tha magar aaj aag ki tapish Kuch aur thi.
Khair hai Murtasim Jahan itna intezar Kiya hai Kuch waqt aur sahi. He mumbled.
Usse yaqeen tha k ek din Meerab ko bhi ehsaas Hoga uske jazbaat ka.
Sar jhatakta woh ab apne kamray mein janay Laga. Neend Tou aani nhi thi dushman e Jaan k baghair magar phir bhi routine hi sahi.
Next Morning:
Maryam woke up to see Meerab was standing near the dressing table drying her hairs with a towel but she was looking at the pictures hung on top of the mirror. It was Meerab's birthday party picture where she and Murtasim Bhai were posing together. She got up from her place and went towards meerab and hugged her from behind. Meerab startled at her place. Jaise koi chori pakri gyi ho.
Maryam: Dekhle dekhlen aap k hi Hain ab. Maryam ki Tou adat thi Mazak ki magar Meerab ki chehre ki rangat badli thi. Uska chehra ek dum surkh anaari hua tha. She turned around to hide her face.
Meerab: Tm jldi uth gyi aaj.
Maryam: Meerab yr mein Mazak kr rhi thi. Aap awkward kyun feel kr rhi hain. She knows k usse acha nhi Laga tha yeh.
Meerab: Maryam mjhse iss kism ka Mazak Ainda mat krna. Khair choro ab uth gyi ho Tou phir fresh ho jao. Aaj nashta hum dono mil k banayen gy.
Maryam: Meerab Aap ki tabyat theek nhi hai. Please you need to rest.
Meerab: Jo hona tha woh hogya ab saari Umar iska afsos Tou nhi kr skti naa mein. Aur mjhe koi rest nhi krna. Tm bhi yeh shakal mat banao.
Maryam was shocked at her behavior. Kal Jo kch hua woh janti thi k Meerab un Sab se Kitna affect hui hongi. Koi bhi larki hoti magar Meerab ab bhi khud ko normal zahir kr rhi thi. Ab itna bhi Kya mature hona k Banda apne emotions hi zahir na kre. Meerab se behas krna fuzool tha woh unhen bachpan se janti thi aur Murtasim k janay k Baad se Meerab mazeed mature hogyi thi. Usne kbhi Meerab ko aam larkiyon ki tarah roothe ya nakhray krty nhi dekha tha. Hamesha se obedient aur people pleaser type thi. Maa Begum kehti thi k Jo bachay bin Maa k baray hote Hain chahay unhen Kitna hi Pyar kyun na mile unke andar ek void reh jata hai aur Meerab ki sanjeedgi ussi ka asar thi.
Meerab: Kahan kho gyi ho tm. Jao fresh ho jao phir Sath chaltay Hain.
Maryam: Huh!!!! Nhi Kahin nhh woh bs mein ja hi Rahi thi fresh hone.
Meerab: Okay.
At the breakfast table:
Meerab Aur Maryam nashta bana k khud bhi table pe aa gye the jb k feena aur Mari nashta serve kr rhe the. Maa Begum Aur Anwar chacha bhi wahi bethey the. Meerab poori koshish kr rhi thi k Sab Kuch normal Rahe. Woh ab mazeed Kisi ko pareeshan nhi krna chahti thi.
Meerab: Arey aap log kch kha kyun nhi Rahe.
Anwar: Haan Bhabhi Begum Len aap. Akhir ko hamari Betiyon ne itne Pyar se banaya hai.
Maa Begum: Chalo acha hai issi bahanay Maryam bhi kch seekh legi meerab se.
Maryam: Maa aap ko khush krna na mumkin hai.
Maryam k comment pe sabhi muskura diye. Tbhi wahan Anila Phopho aa gyi.
Anila: Arey aap Sab hamare baghair hi Shuru hogye.
Maa Begum: Haan woh hum Sab Zara jldi nashta krne k aadi Hain.
Anila: Feena jao garam nashta le k aao. Waqas aur haya bhi aatey hongy neechay.
Tbhi Haya aur Waqas Phopha bhi aa gye.
Anila Phopho: Tou Bhabhi Begum ab aap ne Kya Socha iss maslay k baaray mein. Mera mtlab hai Kal Nikkah Tou krdia magar larka larki k chehre se Tou lagta hi nhh k koi Khushi hai. Kal khandaan Walay bhi yehi bol rhe the.
Meerab ko niwala galay mein atakta mehsoos hua tha. Usne Pani ka glass labon se lagaya. Jitna chahti thi k yeh baat bhool jaye utna koi aa k zakhm khured deta tha.
Maa Begum: Masha Allah se mere bachay boht khush Hain apne baron k faislay pe. Aur Rahi baat Baki events ki Tou insha Allah yeh Shaadi mein baray dhoom dhaam se krungi bs Zara Murtasim ki pagh poshi ki rasm ho jaye pehle.
Waqas: Bhabhi Begum Murtasim nhi aaya nashtay pe.
Isse pehle Anila mazeed zehr ugalti Waqas Phopha ne baat badalte hue pucha.
Maa Begum: Haan aata hi Hoga.
Haya: Mein Bula leti hoon usko. She gets up from her place.
Maa Begum: Rehne do. Uski biwi yahi maujood hai. Meerab beta jao Dekho Murtasim kaha reh gya hai. Uska man pasand nashta banaya hai tmne thanda ho jaye ga Tou bura manaye ga woh k btaya nhi. Maa Begum keh Tou Meerab ko Rahi thi magar ishara Anila Phopho ki taraf tha.
Murtasim Bhai ko halwa poori kb se pasand aanay lagi. Woh Tou greasy food bilkul nhi khatay the. Mariyam ne Socha.
Maa Begum: Meerab beta Kya soch rhi ho. Shauhar hai tmhaara woh. Jao shabash utha k aao usse.
Meerab Marti Kya na karti k mutradif uth Khari hui. Woh janti thi k Maa Begum ne Jo bhi kaha Sirf Anila Phopho ki wajah se kaha tha phir bhi Murtasim k kamray mein Yun bin bulaye Jana ajeeb tha. Magar woh Tou bin bulaye uski zindagi mein aa gyi thi kamra Kya cheez tha. Usne khud aziyati se Socha.
Murtasim k kamray mein dakhil hui tou dekha kamra Khali tha aur bathroom se Pani girne ki awaaz bhi nhi aa rhi thi. Usne awaaz di magar koi jawab nhi Mila. Woh aagy barh k lawn ki taraf Khulnay Walay darwazay k pass gyi magar wahan bhi koi na tha. Tbhi achanak usse apne peechay se awaaz aayi.
Murtasim: Meerab!! Tm Yahan.
Meerab ne palat k dekha. Woh shayad abhi abhi running se aaya tha. Gym attire mein malboos uska wajood paseenay se tar tha. Do latay bhi Samnay se chehre pe giri hui thi. Apne iss rough and sweaty huliye mein bhi woh uska Dil dharkha gya tha.
Murtasim: Meerab!!
Meerab jese hosh mein aayi thi.
Meerab: Woh Maa Begum neechay nashtay pe Bula rhi thi.
Murtasim: Acha tm Chalo mein shower le k aata hoon. Woh palat k washroom janay Laga jb Meerab ne roka.
Meerab: Murtasim!!
Murtasim palta tha.
Murtasim: Haan bolo.
Meerab: Woh nahsta.... Meine...
Meerab ko smjh nhi aa rhi thi k usse kaise btaye k Maa Begum ne Anila Phopho k Samnay Jhoot bola tha.
Murtasim: Kya baat hai. Tm itni pareshan kyun lag rhi ho? Woh uske kareeb aaya.
Meerab uske barhte kadam dekh k ek dum gabhrayi thi.
Woh chahay Rukhsati delay krde magar Murtasim k huqooq se inkar nhi kr skti thi. Aur yeh soch hi Kafi thi uska Dil dharka dene k liye.
Murtasim ne uski badalti rangat Dekhi phir gehra Saans le k do qadam peechay hua.
Murtasim: Tm neechay jao mein bs thori der mein aata hoon. Saying he left.
Meerab took out a breath she didn't know she was holding. Yeh Sab itna mushkil kyun tha. Woh paas aata tha Tou Dil ajeeb tarah dharakta tha. Yeh jantay hue bhi k yeh sab samjhota hai Dil uski har meherbaani pe kyun be ikhtiyar honay Laga tha.
Meerab quickly leaves the room and joins everybody again.
Murtasim enters the dining area. Maa Begum and Anila Phopho were having their tea and Haya was using her phone while Meerab and Mariyam were helping Feena to clean the table. Even though they have helpers around Maa Begum always taught the girls to work on their own bs ek Haya hi dheet thi.
Murtasim greets everybody Salam and takes his place.
Murtasim: Arey wahh aaj halwa poori bani hai. Itna miss krta tha mein isse Australia mein thank you so much Maa.
He said while removing the covers of utensils.
Meerab who was now picking up the cups from the table looked up at him.
Huhh!!! Isse Kya hua hai. Yeh Tou kbhi itna heavy nashta nhi krta? Aur ab aise Khush ho rha jaise man o salwa ho.
Maa Begum muskurayi.
Maa Begum: Bhaee shukriya krna hai Tou apni biwi ka kro. Aaj ka nashta ussi ne banaya hai.
Murtasim smiles looking at Meerab.
Murtasim: Thank you Meerab. He said while taking bites of food now.
Meerab Kya hi jawab deti uski Tou hairat hi khatam nhh ho rhi thi.
Maryam apne Bhai ki acting dekhte hue ba mushkil apni muskurahat roke hue thi.
Five minutes ago:
Murtasim shower le k bahir Nikla hi tha k his phone beeps.
Usne phone utha k dekha Tou Maryam ka WhatsApp aaya tha.
Mariyam: Bhai Maa Begum ne Anila Phopho k Samnay keh dia hai k Meerab ne aap ki pasandida halwa poori banayi hai so ab aagy ki script soch k aana. 😉
Murtasim ko smjh nhi aayi k yeh Kya tha magar phir achanak hi Meerab k tootay jumlay iske dimagh mein goonjhay. Oh Tou bechari yeh kehna Chah rhi thi. Zaroor Anila Phopho ne hi koi baat ki hogi. Tou ab mjhe yeh bhi krna Hoga. He said taking a deep breath. Mariyam ko pta nhi tha magar Meerab k haath ka bana nashta usse wese bhi boht mehboob tha. Kya hua agar gym mein mazeed 2 ghantay guzarne parengy. Woh muskrata hue neechay aa gya.
Present:
Haya: Murtasim par tm Tou itna greasy nashta kbhi nhi krty the naa.
Haya se jaise meerab ki Jeet bardasht nhi hui thi.
Murtasim: Insaan ki aadatein badalti bhi Hain Haya.
Meerab ab andar ja chuki thi. Mariyam bhi ab apne room mein Chali gyi thi.
Thori der Baad Meerab tayyar ho k neechay aayi thi. Haath mein white coat liye woh hospital janay k liye ready thi. Maa Begum Anwar Khan aur Anila Phopho hall mein bethe the so woh bhi wahin Chali gyi.
Meerab: Baba mein ja rhi hoon hospital.
Anwar Khan: Acha mein Bakhtu se kehta hoon tmhen chor aaye.
Meerab ne unse subha hi unse hospital wapis join krne ki request ki thi aur yeh soch k routine mein wapis aanay se woh jldi move on krle gi Anwar Khan ne ijazat de di thi.
Anila Phopho: Arey abhi se Kahan chal di tm. Ab Tou yeh Ghar tmhaara susraal hai Tou zimmedari bhi seekho kch. Aaj Kal ki larkiyon ko Kahan parwa hai Ghar daari ki. Issi liye Tou bhaee meine Haya ko itna nhi prhaya. FA kr k Ghar betha diya.
Meerab: Phopho ek emergency case hai tbhi Jana pr rha hai.
Maa Begum: Meerab tm jao tmhen der ho rhi hogi.
Woh sar hilaate chal pari.
At porch:
Haya: Murtasim Kahan ja rhy ho. Mjhe bhi Saath Jana hai. Itne din hogye hum Kahin drive pe nhi gye. Ab bs tm mjhe long drive pe le k jaogy.
Murtasim was about to sit in his car when Haya appeared out of nowhere.
Murtasim: Haya Mein office ja rha hoon aur tm Yahan vacations pe aayi Baki Sab ko kaam hai. Haan agar Jana chaho Tou Bakhtu k Sath ja skti ho.
Haya was saying something but Murtasim s attention went to her who was walking towards the porch. Keeping her head covered with dupatta and wearing white coat she was all set to leave for her work. He was so happy to see her getting back to her life again.
Haya: Murtasim!!! Tm sun bhi rahy ho. She saw him lost and following his gaze she saw Meerab there. Har dafa woh beech mein aa jati thi.
Meerab looks around as if she was searching for someone.
Murtasim: Kisse dhoondh rhi ho.
Meerab: Woh Bakhtu Kahan hain? Mjhe hospital Jana tha.
Murtasim: It's okay aao mein chor deta hoon. Bakhtu shayad Kahin kaam se gye hain.
Haya: Par tm Tou mjhe le k ja rhy the naa drive pe. Meerab don't mind but please tm driver k Sath Chali jao hamara plan hai pehle se.
Meerab nods slowly and walks ahead. Murtasim glares at Haya but abhi usse behass krna fuzool tha. Woh Meerab k peechay gya.
Murtasim: Meerab Ruko yr. Chalo mein drop krdeta hoon.
He stops her holding her arm. Meerab slowly removes his hands. Tabhi wahan Bakhtu aa gye.
Bakhtu: Meerab Bibi woh gaari bahir tayyar hai. Chalen?
Unko shayad Anwar Khan ne bola tha.
Meerab: Aap chalen mein aati hoon.
Bakhtu nods and leaves.
Meerab then looks at Murtasim whose face was now expressionless.
Meerab: Murtasim Tmhen Meri wajah se apne plans kharab krne ki zaroorat nhi hai. Mere pass car hai and mein khud ja skti ho mjhe tmhaare mazeed Kisi ehsaan ki zaroorat nhi hai. Tm jao haya must be waiting for you.
Saying she left while he was still amused by her weird behavior. Woh itni rude Tou nhi thi.
He was lost thinking about her when he saw Haya approaching him.
Murtasim: Haya this was the last time jab mein ne tmhaari koi bakwas bardasht ki hai. Meerab Meri Biwi hai aur Ainda agar tmne koi misunderstanding create krne ki koshish ki ya Meerab hurt hui Tou mein waqai bhool jaonga k tmhaara iss Ghar se Kya rishta hai.
Before she could say something Murtasim warned her and went back to his car.
At hospital:
Meerab and Sarah were seated in the common room. Meerab lied at home about the hospital emergency as she just needs an escape from everything. She just told Sarah about everything who couldn't attend her Nikkah due to her work commitments.
Sarah: Meerab tmhen tou khush hona chahiye. Tmhaari duayen qubool hogyi Hain. Murtasim wahi shaqs hai jisse tm mohabbat krti ho. Allah ne tmhen tmhaari Raza aata ki hai aur tm na shukri kr rhi ho?
Meerab: Issi baat ka Tou afsos hai Sarah. Meri duaon ne usse mere Haq mein de diya magar iski qeemat Mera baap ne chukai hai Sab k Samnay sharminda ho k. Maa Begum and Baba Jaan jis tarah Kal logon k sawal sun rhy the mjhe apne aap se nafrat hone lagi hai. Kash mein usse na mangti. Kash yeh Dua qubool na hoti. Meri Khamosh mohabbat mere Ghar walon k liye azaab ban gyi Hai.
Sarah: Meerab. Isme tmhaari koi galti nhi hai. Tmhen woh Mila hai Jo tmhaara naseeb tha. Murtasim ko hamesha se tmhaara hi hona tha. Kuch waqt do dekhna unhen bhi tmse mohabbat ho jayegi.
Meerab: Bheek mein mili hui mohabbat.
Sarah: Meerab tm kb se itna negative sochnay lagi yr.
Meerab: Pta nhi. Woh Samnay nhi hota Tou reh reh k apni mohabbat yaad aati hai par usse dekhte hi apna aap faqeer lgta hai Jo usse mohabbat ki bheek maang rha hai. Murtasim never wants me and now he is married to me for the sake of family. Mjhe smjh nhi aati Kya krun.
Sarah: Meerab Sab se pehle Tou apna yeh all good Wala attitude Band kro. Tm Sab ko khush nhi rkh sakti hamesha koi bhi nhi kr skta. What's more important is tm khud Tou khush hona seekho.
Sarah Meerab ko bachpan se janti thi aur uska yeh people pleaser Wala attitude usse boht bura lagta tha magar ab tou hadd hogyi hai.
Meerab: Mein Kisi ko hurt nhi krna chahti yr.
Woh jese ab bebas hogyi thi.
Sarah came towards her and hugged her.
Sarah: Tm Kisi ko hurt nhi kr rhi Meerab. Please be kind on yourself. And apni cheezon pe Haq jatana seekho wrna koi aur le jaye ga. Jo bhi hai Murtasim ab tmhaara shauhar hai so ab please iss guilt se bahir aao.
Before Meerab could reply intercom rings.
Sarah: Tm betho yahin pe. Mera call Time start hogya hai. And please ab mat dukhi hona. Kuch waqt do Sab theek ho Jayega. Okay???
Meerab nods.
Two weeks later:
Murtasim was sitting in his office cabin recalling the past few days. Meerab and his relationship was still the same as day 1. Jb tk Anila Phopho thi tb tk woh phir bhi Sab k Samnay usse kch baat krleti thi baat Kya krti thi haan ya na mein jawab de deti thi par ab Toh usse dekhna bhi mahaal hogya tha Murtasim k liye. Har Kisi k Sath woh normal thi magar usse dekhte hi chup ho jati thi.
Kya mein usse itna na pasand hoon k woh mjhe ek chance tk nhi dena chahti. He whispered. Murtasim ko smjh nhi aa rha tha kya kre aur direct woh Meerab se baat krne ki himmat nhi rkhta tha. Darta tha k agar Meerab ne judai maangi Tou ab ki Baar woh khud ko nhi sambhaal payega.
He gets out of his thoughts when his phone beeps.
Maryam: Bhai aap ghar kb tk aayengy. Mjhe kch baat krni thi aap se.
Murtasim: Bs thori der tk aata hoon. Meerab aa gyi? Hasbe adat pucha tha.
Maryam: Nahi unki night shift hai so der se aayengi.
Murtasim: Okay.
Maryam ko reply kr k usne phone wapis table pe rkh dia tha. Weekend pe usse gaon Jana tha aur uski khuwaish thi Meerab bhi Sath jaye ab magar yeh mumkin na tha. Last week hi uski Pagh poshi hui thi aur ab woh har weekend Gaon jata tha Sardari ki Panchayat k liye Magar bina Khaani k Sardaari bhi adhuri thi aur Sardar bhi.
Murtasim Ghar aaya Tou Maryam lawn mein hi Khari thi.
Murtasim: Khairiyat hai? Kyun bulaya tha tmne mjhe.
Maryam: Aap kamray mein chalay mjhe aap se serious baat krni hai.
Murtasim ko smjh nhi aayi k akhir hua Kya hai. Woh uske peechay chal dia.
Ab woh dono Bhai behn Murtasim k office room mein bethy the.
Murtasim: Maryam ab bol bhi chuko. Tm mjhe pareshan kr rhi ho. Kahin tmhaara aur naurez ka jhagra Tou nhi hogya. Sab theek hai naa.
Maryam: Mere aur naurez k beech tou Sab theek hai. Aap k aur Meerab k beech Kya chal rha hai woh btayen.
Murtasim: Kya mtlab. Usne nigha churayi thi.
Mariyam: Bhai aap dono k Nikkah ko do haftay guzar chuke Hain aur ab tk aap dono ne do lafz nhi bolay ek dusray se. Aisi hoti Hain shaadiyan?
Murtasim: Maryam!!! Tm Sab janti ho. Meerab abhi iss rishtey k liye mentally ready nhi hai aur mein bs usse waqt de rha hoon.
Maryam: Acha aur Kitna waqt de rhy hain. Bhai Sab Kuch waqt k dhaaray pe nhi chortay. Meerab ko iss waqt Sab se zyada zaroorat aap ki hai aur aap khud iss rishtey se bhaagte phir rhy hain.
Murtasim: Mein Kisi se nhi bhaag rha Maryam.
Maryam: Acha Tou phir btayen inn dino Kitna waqt aap ne Ghar pe guzara hai.
Murtasim: Yr tm Galat smjh rhi ho. Bs Gaon k kaam aur business Saath manage krna mushkil hai tbhi itna busy hoon. Tm pareshan mat ho.
Murtasim Maryam ko nhi bta saka Meerab usse dekh k udaas hoti thi tbhi woh uske Samnay nhi aata tha. Ab farar tha ya Pyar Jo bhi tha bs yahi tha.
Maryam: Aap Yahan excuses de rhy hain aur Meerab wahan. Kya aap dono ko Baki Sab bachay lgte Hain.
Murtasim: Meerab ne kch kaha hai tmse.
Maryam: Yehi Tou masla hai woh Kuch kehti nhi Hain. Koi Haq nhi mangti koi dukh zahir nhi krti. Meerab Hamesha se patient Rahi hain magar ab unka sabr Mera sabr azma Raha hai. Uper se aap ajeeb Hain. Koi apni biwi ko Yun ignore krta hai bhala.
Murtasim Mariyam ko dekh k muskuraya. Usse 8 Saal choti behn uski love guru bani bethi thi.
Maryam: Hasna band kren mjhe gussa aaya hua hai. Aap dono se Kam az Kam itni immaturity ki umeed nhi thi mjhe. Communication is the key magar aap dono Tou ajeeb Hain. Koi baat hi nhi krta.
Murtasim: Acha acha nhi hansta. Tm gussa na kro. Sab theek ho Jayega. Usne Mariyam se zyada khud ko tassali di thi.
Maryam: Theek Hoga nhi krna parega. Meine iska Hal Socha hua hai.
Murtasim: Acha Jee Kya Hal hai??
Uske puchne pe Maryam ne raazdari se uske kaan mein Kuch kaha jisse suntay hi woh takreeban cheekh para tha.
Murtasim: No way!!! Mein aisa Kuch nhi krne Wala. Meerab Mjhe jaan se maar degi.
Maryam: Uffo Bhai aap itna darte kyun Hain meerab se Kuch nhi kahengi woh.
Murtasim: Agar tmhen yehi lgta hai Tou Dr. Psycho aap abhi Meerab ko janti nhi Hain.
Maryam psychology prh rhi thi tbhi Murtasim usko aksar cherne k liye Dr. Psycho bolta tha.
Maryam: Bhai. Please trust me aisa Kuch nhi Hoga. Bs ab aap dono apna yeh ignorance game band kren aur ab mjhe apne favorite couple mein koi problem nhi chahiye.
Murtasim: Problem Tou tb hogi na jb mein zinda bachun ga. Bhabhi ki mohabbat mein shayad tmhen Bhai ki Zindagi pyari nhi hai.
Maryam makes faces on his overacting but deep down she's happy to get her dramatic and witty brother back. Wrna woh jab se Australia se aaye the Kuch zyada hi serious hogye the.
Mariyam: Stick to the plan and phir dekhiye ga aap ki behn k ideas ka kamaal.
Saying she left the room while Murtasim was now in deep thoughts. He too wants to break the ice but somehow he fears that Meerab shouldn't be hurt in this whole process. Mariyam lekin theek keh rhi hai Meerab se baat krne ka bs yahi tareeka hai. He finally makes up his mind.
Ab Kal ya Tou zindagi ki Naveed milegi ya maut ka paighaam. Murtasim Khan, be ready for it.

A/N:
It's a mega episode to compensate for my absence during the last few days. Aap ko Kya lgta hai Mariyam ne Kya advice di hogi Murtasim ko? Let me know in the comment below.
The next episode is my favorite so be excited for that but kyun k abhi mega episode di hai so uske liye Thora sa intezaar. Hope so weekend pe mil jaye. Depends on your reaction. Till then lots of love to you all.
🫶

Zilhaal e Miskeen Where stories live. Discover now