Unveiling the Truth

489 34 1
                                    

Present

Naira : Kartik Chachi Chachu aur Maa, khush kyu nahi the.

Kartik: batata hu, Dadu ke is fasle se woh khush isliye nahi the kyuki unhe laga ki fir unke bacchoo ka kya hoga.

Naira: Matlab, abhi luv kush ki age 5 year ki hai, iska matlab tab woh nahi the, aur Swarna Ma ke toh koi baby nahi hai fir woh yeh sunkar shocked kyu ho gayi.

Kartik: ha lekin us waqt unki beti Mansi, aur mein hi the, dada ji purane kayal ke the isliye unhone sari property mere naam kar di,

Naira: aur Swarna Maa,

Kartik: unka ek beta hai par unhone Mahan banane chakar mein use sab se chupa kar rakha tha,

Naira: toh fir ab woh kaha hai,

Kartik: woh yahi hai India mein, Bahut jald milwauga me tumhe usse.

Rohan : fir aage kya hua kartik.

Kartik: sab dadaji ke fasile se na khush the par kissi ne bhi yeh jataya nahi sab dada ji se darte the,

Ek din achanak se dada ji ki maut ho gayi.

Naira: kasie.

Flashback,

Dadu mujhe aarshivad dijiye aaj meri bahut important meeting hai mein delhi ja raha hu,

Dada ji : gbu, beta mujhe pata hai yeh contract tumhe hi milega.

Then kartik left for delhi, after finishing his meeting he firstly call his dadu, but hear unexpected news that his dadu is no more.

Present

Naira: par achanak se ese kaise unki death ho gayi.

Kartik: mein jab Delhi se wapas aaya toh mujhe bataya ki dadaji apni medicine leke so gaye aur fir jage hi nahi. Aur sab ne bataya ki ghar par koi nahi tha dadi satsang me gayi thi, chachu, chachi ko leke unke mayke gaye the aur Ma apne bhai se milne gayi thi, uske baad kisi ne bhi is baat ka jikar nahi kiya. Fir ese hi din betate gaye, aur woh din aaya jisne sab kuch badal kar rakh diya.

Flashback

Kartik ke accident wala din.

Aaj kartik bahut khush tha, ho bhi kyu na jis ladki se woh pyaar karta hai usne ha jo bol di thi ki woh bhi usse bahut pyaar karti hai,

Kartik khushi khushi Goenka villa ja raha tha par use kya pata tha ki uski khushi udasi me badalne wali hai,

Kartik: dadi dadi,

Dadi: kittu.. kya hua aaj bahut khush lag rahe ho.

Kartik: ha dadi aaj me bahut bahut khush hu,

Dadi: acha, aaj hum bhi bahut khush hai,

Kartik: toh fir aap hi phle bata dijiye ki aap kyu khush hai.

Dadi: aaj humne tumhara Rishta teh kar diya hai, humare business partners ki beti tanisha ke sath.

Kartik: (shocked) kya.

Manish: ha aur hum sab bahut khush hai.

Kartik: mein yeh shaadi nahi kar sakta mein kisi aur se pyaar karta hu,

Manish: mein kuch sunana nahi chachta, tumhari shaadi wahi hogi jaha humne teh ki hai,

Kartik: bilkul nahi mein yeh shaadi hargis nahi karuga, mein jisse pyaar karta hu mein ussi se shaadi karuga.

Dadi: kittu, tanisha bahut achi ladki hai,

Manish: aur tumhari shaadi se hamara bahut fayda hoga.

Kartik: oh toh yaha bhi apne apna hi profit dekha, aur ek baar bhi apne bete ke baare me nahi socha, aap itne selfish hoge mene kabhi nahi socha tha,

Manish:( angrily) kartik..

Kartik: ruk kyu gaye mariye na, aur aap kar bhi kya sakte hai Mr Goenka.

Manish: dekha Maa kaise kissi parayi ladki ke liye yeh mujh se kaise baat kar raha hai,

Dadi: kittu, man ja na beta,

Kartik: bilkul nahi,

Manish: toh fir nikal jao is ghar se, aaj se tumhara aur mera Rishta katam.

Swarna: Manish ji yeh aap kya bol rahe mein kaise rahugi apne bete ke bager, kartik mat jao na beta mein Manish ji ko samjati hu.

Kartik: nahi Ma, leave my hand, yaha koi mujhe aur mere pyaar ko samjhne wala nahi hai.

Then kartik left the house,

Present,

Naira:fir kya hua kartik.

Kartik: us raat bahut baarish ho rahi thi mene gusse me ghar chod diya, aur apni car me Beth kar farmhouse ke liye nikal gaya, par achanak se mere samne ek aur gaddi aa gayi mene breaks lagane ki koshish ki par breaks fail the, aur age se truck aur gaddi dono hi aa rahe the fir mene apni car turn ki aur car crash ho gayi. Fir ek car se koi utar kar aaya aur call par bola Swarna mam aapka kaam ho gaya, itna hi suna mene aur mein behosh ho gaya.

Naira: matlab tumhara accident Maa ne karwaya par woh toh bahut achi hai par yeh sab.

Kartik: woh srif ache dikhne ka natak karti hai, asal me woh mujhse nafrat karti hai.

Naira: par kyu, Maa toh apne bachoo se bahut pyaar karti hai.

Kartik: ha, par woh meri asli Maa nahi hai, meri Maa toh jab me chota tha tab hi maar gayi thi.

Naira: par tumhne mad hone ka natak kyu kar rahe ho, hum unhe police ke hawale bhi toh kar sakte hai.

Kartik: bina sabut ke koi nahi manega unhone apni images bahut achi banai hui hai aur mad hone ka natak unhe range hotho pakadna hai, is khel me woh akeli nahi hai. Aur bhi koi unke sath hai uska bhi pata lagana hai.

Naira: kaise pata lagega ki kon hai woh, ek minute tumhe bataya ki chachu chachi shocked the dada ji faisle se kahi woh.

Kartik: nahi, woh is plan ka hissa nahi hai,

Naira: tum itne yakin se kaise keh sakte ho.

Kartik: woh bhi tumhe bahut jald pata lag jayega.

Naira: agar chachu chachi nahi toh fir kon ho sakta hai.

Kartik: ab woh chup nahi bethege mujhe fir se maarne ki sochege aur pakde jayege. Aur is baar sab mere plan ke mutabik hoga.

Rohan: par doll tumhe kaise pata laga ki Kartik acting kar raha hai, pagal nahi hai.

Naira: kartik ke operation ke baad, kartik coma me chala gaya tha, uske ek month baad,

Flashback.

Naira aaj meri bahut important surgery hai, surgery shubha tak chalegi tum ghar jao Rohan said.

Naira: nahi bhai mein apke sath yahi rahugi, aap jaiye aur jakar surgery kijiye.

Rohan: tum nahi manogi ok, fir jaisa tumhe thik lage.

Naira sit outside ot and waiting for Rohan just than he saw a man in black hoodies goes into the last room which is of kartik.

Naira slowly slowly went behind the man and shocked to see the person.

Kyon ki itna pyaar.....Where stories live. Discover now