Pov
Ankh ke khulte hi apni sansein humwaar krti pasine mein sharabur larki ne kuch pal ke liye apne ird gird ka jaizah lia or har baar ki tarah apne app ko usi kamre ma paya jahan usne apne hosh sambhale thay
wohi darmiyani size ka kamra uper chalta celling fan bed se neechay girta dupatta usne hath se apne baal kano ke peechay kiye or uthi baalon ka jura banate kamre se bahir ai
or har bar ki tarah table pe phly se hi tiyar nashta or kitchen se bahir ata shqs apne makhsus andar ma laboon pe muskurahat liye haathon mein doo chai ke cups thamey usi ki taraf a rha
tha wo aik shqs uske liye har rishta tha sab tha uska usne wo meethi si mukurahat dekhte hue socha
iss mukurahat ke liye wo kisi bhi chez ko chor skti thi ye souch kr hi garmi ki wajah se tang a kr uthne wali larki ne sab bhula dia us mukurahat ne uske dil tak mein sakoon dal dia tha
" assalam o alikum bhai " usne chai ka aik cup ziyad ke hathon se lete hue kaha
" walaikum assalam! mera beta uth gaya" uska jawab dete hue ziyad ne kaha or uske sath table par baith gaya.
Ziyad usman, umer ma zimal se 14 saal bhara tha or zimal ke paida hone ke 3 saal baad hi dono ke amma abba aik accident mein iss fani dunya se chal baseey thay tab se ziyad ki dunya bas wohi choti si jaan thi uski jaan zimal.
"Bhai aj bhi apne phly se hi nashta kr lia hoga yaqeenan " usne muh banate hue ziyad se poucha
" arey beta pata tou hai apko ma jaldi uth jata ho or ghar ke sarey kaam krne hoti hein app dair Jo uthte ho "
" bhai dair se?" Zimal ne be yaqini ma poucha
"G dair se" ziyad ne apni hansi dubate hue jawab dia
" bhai khuda ko mane abhi 7:30 ho rhe hein iss wqt tak tou mera college bhi nae lgta usko lagne mein bhi abhi adha ghnta baqi hai "ussne ussi be yaqini se jawab dia "
" bache mujhe ghar ke chote bhare kaam krne hote hein ma tou 4:10 pe hi uth jata hun " usne usi shafqat se jawab dia "
" Acha chalo jaldi karo shabash college ke liye kahin late na ho jana mjhy bhi office jana hai "
" nahi bhai mene konsa koi proper tiyar hona hota hai bas uniform dalna muh pe pani marna or baloon ko hair clip lagana or bas ma ready" usne fakhar se apni routine ziyad ko batai
jisko wo zubani bhi bata skta tha usse zimal ko dekh dekh kr apni tarbiyat pe naaz hota tha
saaf goo sahi ko sahi galat ko galat kehne wali na batamezi krne wali na hi be wajah kisi ki na jaiz batein sunne wali khandan wale chaie Jo bhi kahein usse apni sadaah si beti pe bohat naaz tha
bhen tou wo ziyad ki bas 3 saal rhi thi 17 saal ki umer ma wo baap bana tha or usse apni 3 saal ki beti ki parwarish krni thi .
Masjid wazir Khan lahore ke pass rehne waley ziyad or zimal bohat pur asaish zindagi tou nahi magar izzat or pur waqar zindagi guzarne wale doo nafus thay.
Ziyad aik chota sa government employ tha uski salary itni nahi thi ke zimal ko puri dunya le de magar jis waqat usne ye job ki thi tab usko bas doo waqat ki roti chaie thi apna or apni bhen ka pait palne ke liye 12 class pass ko aisi job milna bhi aik naimat tha
jisse wo aik ghar chala skey ab tou uski kuch achi taraqi bhi ho chuki thi magar iss wqt e maal mein paisa tou jitna ho utna kam lagta hai .
College ka ye last year tha zimal college atey hi sedha class mein gai usko pata tha haya uska intezar kr rhi hogi
Haya na sirf uski dost blky uski humsai bhi thi wo unke peechay waley ghar mein rent par rehte thay zimal 7 saal ki thi jab haya ki family wahan pe rent per aye thay
YOU ARE READING
Janaan
Romancezindagi bohat dhokey deti hai magar aksar logo ko un dhokoon ki umeed hoti hai apni zindagi se ya phir wo dhokey unke roz marah ke mamulat ko ziada asr andaz nahi krti magar....zimal or jibreel ~ zimal mene zindagi se kabhi koi shikwa nahi kia , m...