Pov" Wa Alikum Salam, kaisa hai tum bache? "
"Allah ka shukar daa ji app sunaien "
Wo awaz sun kr jibreel ke andar tak aik garmahat pohanchi thi Jaise koi barsoon ka thaka hua musafir apne ghar mein pohanch kar mehsus krta hai
"Allah ka shukar hai bache , bas tumhara ane ka sun kar aur sakoon ho gaya hai "
"Mere..ane ka? "
"Hn mara tum or bache a rhe ho na Pakistan "
" Ye app se kisne kaha hai daa ji ?"
"برهان ګاندي راته وویل چې ولې ستا ستونزه څه ده؟"
" Mara humko kisne kehna hai burhan gadhe ne hi kaha hai humko "
Uske na ane ka sun kar daa ji aur urdu mein baat karna na mumkin ho gaya tha , pashto mein usse halka sa tandte hue boley
Ya Allah ! Mjhy sabr de kiun ye larka mjhy katil banne par tula hua hai
Usne apni kanpation ko masal te hue dil mein soucha
" Burhan ka pakistan ane ka irada hoga magar Daa ji mera aisa filhal koi iradah nahi hai "
" Mara tumko kia masla hai yahan ane mein "
" Ye app mujh se behtar jante hein "
Kuch dair ki khanoshi ke baad daa ji bohat souchte sanjeeda andaz mein bolay
" Mara dekho ab hum burah ro rha hai hum tumko bas aik bar apne pas dekhna chahta hai "
Ye emotional blackmailing wo kafi dafa sun chuka tha magar ab, usko wo waqai mein kafi zaeef lage thay
" Daa ji mein koi wada nahi kr skta magar koshish karun ga "
Usne unko jhuti tasali dena sahi nahi smjha
" Mara ye wada vuda tum apni mehbubah ke liye sambhal kar rakho humne keh dia ke tum aa rha hai tou aa rha hai "
Wo sirf sar jhatka ke hans hi saka tha akhir kisi ko itna tang krna bhi theek nahi hota wo bhi unko jinse apko sab se ziada mohabbat ho
Ab shaid waqai kafi saal ho chukay tha ussne wapis jana chaie .... han jana chahie atleast aik bar...
" Gg Jo hukum apka "
"Chalo bache phir Allah ke aman "
" Allah ke aman " unko iss tarah muskurahta dekh kar usko bohat khushi hui thi
Call band krtay hi wo sedhaa burhaan ki talash mein apne kamre se nikala tha
"Abyaz kahan hai ye kalu maadari? "
" Hahahah... bhai wo tou ghante se washroom mein hi band hai "
"Hein.. washroom mein? Wahan kia ghante bhar se apne jaheez ke kapre dhoo rha hai "
" Huh! Jahil insaan jahez larke wale lete hein dete nahi hai , culture etiquette hi nahi hein iss insaan mein"
Achanak jin ki tarah namudar hote burhaan ne bola
" Astagfirullah ! Ye kia muh pe lagae ghoom rha hai ?"
Violet color ka face mask lagae burhaan ko dekh kar jibreel ne khof ki si kaifiat mein poucha
" aye mere khuda! ye kin gareebo mein bhej dia hai mjhy jinko face mask tak ka nahi pata , face mask hai ye gareebo "
" Budhe ghoray laal lagam , kia musibat par gae thi ye lagane ki ? "
YOU ARE READING
Janaan
Romancezindagi bohat dhokey deti hai magar aksar logo ko un dhokoon ki umeed hoti hai apni zindagi se ya phir wo dhokey unke roz marah ke mamulat ko ziada asr andaz nahi krti magar....zimal or jibreel ~ zimal mene zindagi se kabhi koi shikwa nahi kia , m...