Epilogue

292 18 17
                                    

Karan and Preeta were romancing on terrace.

K~achha lag raha hai na itne waqt baad moonlight mein romance kar ke?

Pr~(chuckled) haan, bara maza aa raha hai.

K~jahan mujhe laga tha ke tum kabhi normal nahi ho pao gi, jahan mujhe laga tha ke humare ghar phir kisi bhi bachay ki khilkaari dobara nahi sun'ne ko milay gi, wahan aaj tum bilkul theek ho, aur humare ghar aaj phir ek bachi ki jhilkaari sun'ne ko mil rahi hai.

Pr~wo toh hai, but I am happier. Hum dono ko Bhagwan ne Ruhi ki shakal mein Pihu lautaai hai, bara karam hai ye, koi chhoti baat nahi. Aaj nanhay nanhay kadmo’n ki aawazein sun kar mera dil bhar aata hai, wo jab pyaar se mumma mumma karti hai na toh dil karta hai bas wo lamha waheen tham jaaye. Wo jab hug karti hai, kiss karti hai, bohat achha lagta hai. I am happier ke wo bhi mere saath saath depression se bahar aa gayi aur normal hai.

K~hmm, aur jab main hug karta hoon, kiss karta hoon tab kaisa lagta hai?

Pr~heavenly feeling aati hai, (she kissed his cheek and hugged him) batao tumhe kaisa feel hota hai

K~same jaisa tumhe feel hota hai

Pr~aray? (he hugged her back) thoda shabdo’n ka sahara lo, kuchh batao na

K~aisa lagta hai hum dono ke ilawa jaise koi exist he na karta ho, jaise poori dunia ka pyaar ikhatta ho gaya ho, jaise swarg ho toh bas yaheen ho

She smiled releasing the hug.

Pr~sorry Karan, maine tumhe bohat pareshaan kiya na? Doll ko Pihu Pihu kar ke, bacho’n ki tarah ro kar? (she looked down) jab tumhe meri sab se ziada zaroorat thi, main tumhare saath nahi thi, m sorry. Tumhe rone ke liye mera kandha chahiye tha lekin tum akele thay us waqt, m really sorry Karan.

K~bas Preeta, mat yaad karo un palo’n ko. Saath toh main bhi nahi tha jab tum Sonakshi se akeli larri, akele tumhe Pihu ko bachana para, wo accident jab hua, jab Pihu ko le kar gaye main bhi toh saath nahi tha na? Sorry

They hugged each other emotionally.

PreeRan Ff~Pihu (Completed) Where stories live. Discover now