shivRit destiny part -2

50 7 4
                                    

So after having conversation with Priyanka nimrit asked shiv to meet in an cafe.
Shiv was not having any idea about the reason behind meeting

In cafe

Shiv- kya yaar namya itni der kyu tu pure 10 minutes late hai

Nim- toh kya hua traffic tha raste mein

Shiv- aree mere meetings hote hai mein time waste nahi kar sakta

Nim- theek hai tu apni meetings hi kar mai jaa rahi hu

Shiv- aree angry sherni kyu chid rahi hai yeh toh majak hai

Nim- shiv mujhe tujhse ek jaruri baat karni hai

Shiv- ek kaam karte hai idhar nahi car mein long drive pe jaate jaate baat kar lenge

Nim- kuch bhi Shiva mujhe important baat karni hai tujhse.

Shiv- yaar chal na yaha bohot log hai

Nim- ok

They went on a long drive and stopped their car near a Lake it was almost time of sunset
They sat near a tree looking at sunset

Shiv- kitna beautiful sunset hai na

Nim- haa par sirf kuch time ke liye hai
I think life mai har beautiful thing temporary hoti hai jaise humara relationship
Humesha shuru hone se pehle hi khatam ho jata hai

Shiv- oye tu angry sherni hai itni emotional bate mat kar
Kya bol rahi hai tu

Nim- shiv kal mujhe Priyanka mili aur usne apne problem batai related to ruhi.
Kya mere tumhare life mein aane se sach mein ruhi aur tumhare bond par effect hoga ?

Shiv- bilkul nahi. Namya dekh ruhi na meri beti hai na hi responsibility humara ek fun wala bond hai jo humesha rahega.
Ruhi mere liye bohot special hai kyuki uski vajah se hi mai khush tha in 5 salo mein

Nim- yeh toh theek hai but ruhi yeh sab nahi samajh payegi

Shiv- usne apne papa ki death accept ki hai toh yeh cheez bhi accept kar hi legi. Ruhi ne mujhe apne papa ki jagah nahi di kabhi bhi. Usne Ankit ko kabhi dekha nahi but still she loves him more than me.

Nim- theek hai, ek aur problem hai.

Shiv- kya?

Nim- Kunal ne aaj tumhe Milne bulaya hai raat ko.

Shiv- kyu ?

Nim- pata nahi, maybe usse tumse kuch baat karni hai

Shiv- theek hai dekhte hai.

Shiv notices a bracelet in nimrit's hand it was the same bracelet that he had gifted her

Shiv- yeh abhi tak hai tere paas

Nim- haa mai isse roj pehenti thi
Tune toh  phek diya hoga  mera gift?

Shiv- ee pagal hai kya sambhal kar rakha hai.

Nim- shiv I am really sorry us time tumse Bina kuch bole rista todne ke liye.

Shiv- aise sorry se kaam nahi chalega

Nim- toh tu mujhe maaf nahi karega?

Shiv- ek hi shart pe maaf karunga

Nim- kaise shart?

Shiv- mai tumhe sirf ek kiss Dene par maaf kar sakta hu.

Nim- ohh bachu kuch jyada hi demand nahi kar raha tu.

Saying this she kisses on his cheeks

Shiv- yeh kafi nahi tha but koi nahi hum is se kaam chala lenge

Shivrit s journey Where stories live. Discover now