Pramod - inspector sahab mughe complaint likhani hai.
Inspector - kaisi complaint?
Pramod - meri biwi ghar chhod kar chali gayi.
Inspector - kyo?
Pramod - vo hamara jhagda ho gaya tha.
Inspector - hm... Kis baat pe hua tha jhagda?
Pramod - vo mera gussa tez tha.. To vo shayad naraz hokar chali gayi...
Inspector - Accha.... Naam batao biwi ka?
Pramod - Susheela...
Inspector - poora naam.
Pramod - Susheela Chautala.
Inspector - umar kya hai ?
Pramod - taees saal (23)
Inspector - kab aur kaha se gayab Hui biwi.
Pramod -do din pehle aur vo apne maike se.... Hathibazar..Gandhi road.
Inspector - apna phone no ke sath ek application likh kar de do.... Pata chala to bata denge...
Pramod-please use jaldi dhund dijiye. Do din ho gaye.
He wrote an application and submitted it.
After he left.
The inspector dialed a phone no.
Inspector - hello, solanki sahab... Ji... Mughe ye batana tha vo aya tha madam ki missing complaint likhne... Maine complain to register kar li... Magar jaise aapne kaha mai koi action nahi lunga... Ji... Madam aapke sath safe hai ye mai janta hu... Ji aap jaise chahte hai vaisa Hi hoga.
........
Pramod was in the bedroom. He was checking Susheela's cupboard. If he could get any proof.
He found her clothes .
He was checking the drawers when he got a diary. He opened that diary find some written pages.
He sat on the bed reading it.
Mere papa ne meri shaadi ek aise ghar me kar di jaha koi mughe nahi samajhta... Mere pati mughe par hath uthate hai... Meri saans har wakt mugh par taane maarti hai.... Ye sochte hue meri ruh kaap jati hai ki mere pati mughe kabhi Pyaar nahi kar sakte.. Unhone mughe is kadar chhod diya hai... Jaise maine unke liye kabhi kuch nahi kiya... Meri padhai rok di gayi... Jiska man aata hai mera fayda uthata hai.... Jaise mai koi khilona hu............
He turned the next page.
Mai apni sari feelings is choti dairy me likhti hu kyoki yaha koi aisa nahi jis se mai apne dil ki baat keh sakti hu.....Kehne ko pati patni ke Sabse kareeb hota hai.... Magar mere sath aisa nahi... Mai apne pati ke samne apni zuban bhi nahi kholti... Kyoki darr lagta hai mughe ki kahi unhe gussa zyada aa gaya to vo Mugh par apna gussa na utar de......... Mai apne pati ko kuch nahi bata paati.... Itna bhi nahi.... Ki unki gair maujoodgi me unke dost ghar me aakar mere sath kitni darindgi karte hai.... Jo haq mere pati ka Hai... Vo mugh par vahi haq kaise jata te hai.........
He was shocked to know what his friends use to do on his back. He quickly turned the next page...
Vo mera hath pakadte hai, mere kapde utarne ki koshish karte hai... Mere badan par jaha man karta hai hath lagate hai.... Sirf ye bol kar ki mere pati ko meri ahemiyat nahi pata..... Kabhi kabhi mughe mar jane ka man karta hai..... Par kya karo... Mere marne aur jeene ka haq bhi mere hatho me nahi hai....
He ended up reading it with tears.
Vote - 25
Thankyou 🙂
![](https://img.wattpad.com/cover/351916535-288-k255241.jpg)
YOU ARE READING
The Three Sides Of Love (Completed)
FanfictionShe was never meant to be hated.. The story of a love triangle between three people. Susheela Ruhail Pramod Chautala &Madhav Solanki. Let's see who will get the chance to love this sincere beauty. Who will stole her heart till the end...? I hav...