Part 2

189 9 11
                                    

Next Morning,
Scene starts in the hall,

"Krishn....Hare Krishn.....Krishn Krishn...
Devaki nandan tumko vandan rakhte sabki laaj......
Sabke Swami antar yami poran ki jai kaaj..
Devaki Nandan tumko vandan rakhte sabki laaj.....
Sabke Swami antar yami Poran ki jai-kaaj....

Mann mandir mein saje Bihari......
Mann Mohan teri chaviyati pyaari.....
Mann mandir mein saje Bihari....
Mann Mohan teri chaviyati pyaari...
Bansi bajaiya.....ras rachaiya.....
Taran haar mere...tum hi Kewaiyaan.....
Tumse bada kaha kaun Kanhaiya.......

Shri Krishn Govinda Hare Murare....
He Nath Narayana Vasu Deva.....
Shri Krishn Govinda Hare Murare....
He Nath Narayana Vasu Deva.....

Devaki nandan tumko vandan....
Rakhte sabki laaj.....
Sabke swami antar yami...
Pooran ki jai kaaj......"

Leela aprampar teri...
Tu Makhanchor kahave.....
Bhavaasagar se sabki naiyaa tu hee paar lagave......
Bhakton ka sahara tu bansuri waala.....
Mathura ke basaiya o nand ke lala......
Teri bhakti mein naache sab ta-ta thaiyaa.....

Shri Krishn Govind.....
Shri Krishn Govinda Hare Murare....
He Nath Narayan Vasudeva.....
He Nath Narayan Vasudeva......
Devaki nandan tumko Vandan rakhte sabki laaj.......
Sabke swami antaryami Poran ki jai  kaaj....
Devaki nandan tumko Vandan rakhte sabki laaj.....
Sabke swami antaryami Poran ki jai kaaj...."

Kartik and Sameer bowed to Shri Krishn after Kartik finished doing the pooja.

They both turned around only to find everyone in the Oberoi family standing there...glaring at them.

Kartik came to Neelam with a smile and....
Kartik: Prasad le lijiye madam.....
Neelam: Shayad tum bhool rahe ho ki tumhe aur tumhare iss bhai ko kinn sharton par yaha rakha gaya tha.
Sonia: Let me remind you......

Flashback,
Ayush: Nikal jaa yaha se......aur kabhi mud ke mat aana.
Sameer: Hum nahi jaaenge....kyunki iss ghar mein rehne ka haq jitna aap sabka hain utna hi hum dono ka hain.
Sonia: You.....
Ayush(without any expressions): Theek hain......tum dono ko yaha rehna hain toh kuch shartein maan ni parengi.....
Sameer: Lekin....
Kartik: Humein manzoor hain aapki shartein.....
Ayush: Theek hain....main tumhe shartein bata deta hoon......pehli shart....tum dono ko ek hi room mein rehna parega jo ki tum dono khud saaf karoge. Dusri shart.....apna khaana khud banaoge.....aur koi servant tumhari koi maddat nahi karega. Teesri shart.....tum dono ko room ka rent dena hoga Rs.10,000 per month. Chauthi shart....harr raat 9 baje tak ghar ke andar aa jaana parega.....9 baj kar agar 1 min bhi der hui toh iss ghar ke darwaze tum dono ke liye band ho jaaega uss poori raat ke liye. Aur paanchvi shart.....tum hum mein se kisi se koi rishta nahi banaoge....aur na hi kabhi humein 'Papa', 'dadi' , etc keh kar bulaoge.
Kartik: Mujhe manzoor hain......
Ayush: Kya tumhare iss bhai ko bhi...
Kartik: Haan...use bhi manzoor hain..p....sir.....
Ayush: Good then....Mukesh...inhe inka kamra dikha do.....
Kartik: Ek aur baat.....jab tak mujhe job nahi mil jaati....kya main iss ghar mein servant ka kaam kar sakta hoon?
Neil: Haan...haan....kar lo.....
Karishma glared at Neil but Neil didn't cared.
Ayush left without saying anything.
Flashback ends.

Kartik: Humein yaad hain madam.....par sir ne yeh toh nahi kaha tha ki hum Kanha jii ki pooja nahi kar sakte. Aur waise bhi...Kanha jii ki pooja karne se kisi ko kya pareshaani ho sakti hain?
Ishqi: Neend kharab hoti hain yeh pareshaani hain.....dad aap kuch kehte kyun nahi hain?
Ayush came to Kartik and.....
Ayush: Ainda se.....agar kisi bhi family member ko koi bhi pareshaani hogi.....toh uske liye fine bharna parega.....1000 rupees each.
Sameer: Yeh kya zabardasti hain?
Ayush: Main bigde hue logon se baat nahi karta......
Sameer(smirking): Accha? Toh fir toh shayad aapko kabhi apni beti se bhi baat nahi karni chahiye......s i r......
Sonia: Don't you dare speak to us like that.....
Sameer: Shuruwaat kisne ki?
Sonia: You bloody......
Ayush showed his palm telling Sonia not to speak more. He was about to speak when Kartik took out his wallet and gave the last amount of money, 500 notes in his wallet to Ayush.
Kartik(joining his hands): Maaf kar dijiyega ki humne aap sabko pareshaan kiya.
Ayush took the money and left without any words.
Virendra was not at all happy with all the happenings in the house so he followed Ayush to his room.

Every Second❤️Where stories live. Discover now