Part 6

155 10 6
                                    

Scene starts in Kartik and Sameer's room,

Kartik opened the diary that they found in the locker.

First page,
Hello,
Main hoon Shalu Bajwa.....mujhe diary likhne ki addat hain lekin yeh diary main ek khaas maqsad se likh rahi hoon. Ho sakta hain ki jab tak yeh diary aap sabko mile tab tak main gayab ho jaaun par....iss diary ke zariye.....aap sab mujh tak aur mujhse jude sach tak pohoch sakte hain.

2nd Page,

Iss kahani ki shuruwaat hui thi Darjeeling mein hue ek medical camp mein. Main ek school teacher hoon aur lag bhag 20 saalon se padha rahi hoon. Uss school ke saath...unn baccho ke saath mera ek alag hi connection tha. Hum sabki zindagi bohot hasi khushi beet rahi thi lekin.....ek din.....waha par ek medical camp hua. Dekhte hi dekhte...anjaane mein hum sab bhi uss camp ka hissa bann gaye. Vo medical camp jagah jagah jaa kar baccho ko dengue ke vaccine lagata tha. Humare school ke sabhi baccho ko bhi yeh vaccine lagyenge aisa kaha tha unhone par......

3rd Page,

24 September, 2023 ke din......mujhe yeh vaccine kuch sahi nahi laga kyunki uss vaccine ko lagane ke baad....bacche beemar pad rahe the. Jis doctor ne vo vaccines lagayi thi.....maine unse poocha tha inn sabke baare mein lekin....unhone yeh keh kar baat ko taal diya ki yeh common hain. Mere mann ko tasalli toh nahi hui lekin maine baat maan li. Fir dheere dheere maine dekha ki school mein aane waali female students kam hone lagi.

4th Page,

30th September 2023 ko meri ek school student ki mummy Kritika bhabi mere paas daurte hue aayi aur kaha ki unki beti Pratima ki tabiyat bohot kharab hain aur unke paas uske ilaj ke liye paise nahi the. Maine socha ki main Pratima ko hospital le kar jaati hoon lekin waha pohoch kar jo maine dekha....vo dekh kar toh mere hosh hi udd gaye.

5th Page,

Pratima ke poore body par red spots aa gaye the.......aur uska poora body bukhaar se tap raha tha. Main use turant hospital le kar gayi aur dekhte hi dekhte....kuch hi minutes mein....usne meri aankho ke saamne apna dum tod diya. Doctors bhi iss baat ka pata nahi laga paaye ki aakhir hua kya tha.  Pratima ko shraddhanjali dete wakt maine yeh taer kiya tha ki main iski jad tak pohoch kar rahungi isiliye main pohoch gayi seedha uss doctor ke paas jisne saare bacchon ko vaccine lagaya tha. Vo yahi tha....Mumbai mein. Uska naam tha Dr.David D'Souza.

6th page,

Uss doctor ne mujhe jo bataya uss baat ko sunn kar mere paeron tale zameen khisak gayi. Uss doctor ko pata tha ki bacche marne waale hain. Maine unse poocha ki jab unhe pata tha toh unhone kuch kiya kyun nahi toh unhone kaha ki agar vo complain karte toh unki jaan chali jaati. Fir unhone mujhe bataya ki yeh ek bohot hi lambi planning thi. Ek company hain foreign ki...."Atlantis" vo medicine banane waali company hain. Unke office mein research karne waale kuch scientists ko experiment karte wakt ek aise medicine ka origin mila jisse insaan ki umar badhai jaa sake.......like agar kisi ki age hain 80..toh uss vaccine ko lene se uski age toh same rahegi......par uss insaan ke body ke andar ki jo furti hain...jo takat hain.....vo ek 40 saal ke umar ke insaan ke jaise ho jaaegi. Mostly aise vaccines ke experiments janwaron par kiye jaate the kyunki government kabhi bhi.......

7th page,

Inn vaccines ko insaano par test karne nahi deti because they can be poisonous. However......aisi badi badi foreign companies aise vaccines ki testing NGO, trusts and charity ke naam par....developing countries mein jaa kar karte hain gareeb baccho par aur isi sab ka asar hua hain mere school ki bacchiyon par. Agar yeh experiments kamiyab ho jaate toh fir bade bade companies ko yeh company raat o raat band karwa dete. Agar kisi ne bhi inke khilaaf bolne ki kosish ki toh vo unhe maar daalte hain aisa doctor ne mujhse kaha lekin.....main peeche nahi hatungi. Main yaha Mumbai aa toh gayi hoon aur ab main inn sabka parda fash karke hi jaaungi yaha se. Yeh mera waada hain khud se aur unn masoom baccho se jinki jaan inn haiwano ne paise kamane ke chakkar mein le li.

Every Second❤️Where stories live. Discover now