Part -8

595 25 10
                                    

My little world

Part -8

Pasha house

Pasha saab was  missing umeed..Though they never shared a cordial relationship but he always loved her in his heart..her chaotic nature and innocence made his house of bricks a Home to live in

His eyes gets moist and he removed his spects and wiped his tears
Aghujaan came and sat besides him

Aghujaan- kya hua kamaal pasha
Beti ki yaad mei aansoo baha rahe ho?

Pasha saab- aisa nahi hai aghujaan

Aghujaan- arey mai tumhari maa hun
Toh tum mujhse kuch na hi chupao toh behtar hai

Pasha- sahi kaha aapne
Umeed na jaane kitni himaakatein karti thi
Mere manaa karne ke bawajood jo mujhe na pasand tha woh kaam kiya karti thi
Meri daant ka koi asar nahi hota tha uspe
Daftar se lautkar ghar aata tha toh uski ek jhalak se meri saari thakaan door hojati thi
Jab ghar mei nahi hoti toh mujhe bahot parwa hoti thi uski
Ab toh uske jaane ke baadh ye ghar bahot sunsaan hogaya hai aghujaan

Aghujaan wipes her tears and said

Aghujaan- tabhi toh mai tumse kaha karti thi kamaal pasha
uspe zyaada sakhti na kiya karo
Kabhi pyaar bhare lehze mei ussey baat  karliya karo
Mai kehti thi na uske jaane ke baadh sabse zyaada tumhe hi takleef hogi

Pasha saab nods and wiped his tears

Pasha- khair aghujaan
Meri nasamaj beti ko sulja hua samajdaar ladka mila hai
Ye baat ki bahot tassali hoti hai mujhe

Aghujaan- haan baat toh tumne sahi kahi hai
Shehzaada hai bahot pyaara aur samajdaar
Aur mera dil kehta hai ke woh hamari gudiya ko apne saraankho pe rakhega
Bahot mohabbat karega usey

Pasha saab smiles and said

Pasha saab- aur umeed pata nahi kya karegi
Zara usey samjaaye ke ab woh bacchi nahi rahi
Usey ek acchi biwi aur acchi bahu banne ki salaiyat sikhaye
Agar uski maa hoti toh mujhe itni parwah nahi hoti
par aap usey samjaye ke usey apne shauhar aur saas ki zimmedaari leni padegi
Ghar basana koi baccho ka khel nahi hai

Aghujaan- haan bhai samja dungi
Mai baat karlungi gudiya se

Bahadur house

Niggo ji mimi and umeed were chitchatting sitting in the hall

Niggo- umeed mujhe farjaad ki call aayi thi
Usne bataya ke aaj shaam mujhe aur usey ek business party attend karni hai
Tum chalogi hamare saath??

Umeed eyes gets widened hearing about business party

Umeed- business party???
Aur mai??
Nahi mama aap dono ho aaein
Mujhe ye parties bahot boring lagti hai
Mai mimi ke saath ghar pe rahungi

Mimi- haan maa umeed bilkul theek kehrahi hai
Aap aur bhai jaein
Mai umeed ghar par rahenge aur bahot enjoy karenge
Hai na umeed

Umeed smiles and niggo said

Niggo- theek hai

Mimi- infact mere pass ek idea hai
Umeed kyu na hum haya ko bhi bulalein???
Girl's movie night hojaye??

Umeed- mimi ye idea toh bahot accha hai
Tum mai aur haya
Kitna mazaa aayega na

Niggo- chalo you girls enjoy tonight

She winks at them and mimi and umeed smiles while hi fying each other

Umeed comes in her bedroom and sat on the bed while dialling a number on her mobile

My Little WorldWhere stories live. Discover now