Gangster in love 26

21 1 0
                                    

Write by :-Aisha

Ig. Aisha chouhan.

Ignore mistakes

Part 26

Story continue from part 25..

Zara apni soteli maa ruqaiya ke pass gai...

Aur boli

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aur boli...

To bataiye apko kya saza di jaye maar diya jaye ya chhod diya jaye....

Ruqaiya zara ke pairo mein bethi daya ki bheekh mang rhi thi...

Zara boli...

Mujhpe in sab baato ka apke rone ka koi asar nhi hoga....

Ruqaiya boli beta mein maa hu teri meine tujhe pala hai....

Zara boli maa ho aisi konsi maa hoti hai jo apni aolad mein farak krti hai ohhh sorry aap to meri soteli maa ho mujhe to amjad bhai ne pala hai....

Apki beti Sara hai zara ne ek ek lafz ache se samjhaya..

Zara ne ruqaiya ko piche kiya aur ab apne chacha arham ki taraf gai....

Zara mein himmat nhi bachi thi ke wo aur lade lekin use marna manzur tha jhukna nhi...

Zara arham ke pass gai aur boli...

Arham zunaid ali khan  apne to girgit ko bhi piche chhod diya...

Aap sab kaise insaan ho yr property ke liye kya kuch kr jaate ho...

Zara ne haya ki taraf ungli krte huye kaha...

Apne haya ko mere khilaaf kiya mein chup rhi...

apne uske dil mein humare liye zeher bhara mein chup rhi...

Aap logo ne uski shaadi sohail sirf isiliye karwai kyu ki us ghar mein meri shaadi ho rhi thi aap logo ne meri nhi haya ki zindagi nark ki mein tab bhi chup rahi

Aap logo ne mujhe todne ke liye mere shohar ko maar diya mein tab bhi kuch na boli....

Aap logo ne haya ko use kiya taaki mera aur sohail ka rishta tut jaye....

Aur jab aap sabka sach bahar aya to aap logo ne akhil ke haathon mujhe goli marwai mein marte marte bachi....

Tab bhi mein chup rahi...

Ab aap log mere shohar ko gher kar usse lad rhe the Ab Nahi awaaz bahot tez hui zara ki...

Ab ek ek ka ache se hisaab hoga aur kisi ki bhi saza maaf nhi hogi....

Aur na hi kisi par rehem khaugi....

Ab naa to kisi mein bolne ki himmat thi na zara se ankh milane ki...

Zara boli...

Aap logo ne to haya ko apne Matlab ke liye istemaal kiya... Laanat hai aise parivaar par...

Gangster in loveWhere stories live. Discover now