Shubharambh

18 1 2
                                    

To kahani shuru hoti hai 23rd August se

Is din thi mere mama ki birthday thi
ham sab hamesha ki tarah unlimited pizza khane 'easy pizza' me gaye the. Maze se ham pizza kha rahe the. Me (Kiara) aur meri choti behen Ishita, meri cousin sister Anissa, mera cousin brother mishaal ham charo hamesha ki tarah apna alag table lekar masti kar rahe the

Hamari puri family alag and ham bchha party alag masti kar to rahe the par mujhe kya pata tha ki meri family meri hi shaadi ke liye kisi ladke ke baare main baat kar rahe the jiske baare main mujhe kuch pata nahi tha !

Meri mummy ne apna phone nikal kar ek ladke ki photos family me dikhai aur ese dikhai ki ham bachha party me se kisi ko bhi pata na chale

Party enjoy karne ke baad ham sab ghar pohche... Mene apne ornaments nikal kar tv ke tabel pe rakhe aur hamesha ki tarah apne jule pe beth gai jo tv ki exact saamne hi hai

Mere mummy pappa meri choti behen Ishita ke andar jaane ka wait kar rahe the kyuki vo jo baat karne wale the us bare main ishita ko nahi batana chahiye
kyuki vo bas abhi 13 saal ki thi

Ishu andar gai aur fresh ho kar turant so gai

Bas uske sone ke baad mummy papa mere pass chair le kar bethe aur kaha

"beta tere liye ek ladke ki baat aayi hai !" mummy slowly mujh se kaha

"kya ladke ki baat, sach main ! Naam kya hai uska?" mene jalbazi main kaha par phir me turant chup bhi ho gai kyuki mere dimag me ajeeb gareeb soch haine lagi U know overthinking

"haa sach main aur hame uski photos bhi mili hai" yeh keh kar papa phone on kar hi rahe the ki-

"Nahi me unki photos abhi nahi dekhungi . jab hamre yaha ladke wale pehli baar dekhne aayenge main unhe tabhi dekhungi" mene papa ki baat katte hue kaha

"esa mat karo kyuki us time tumhare pass unhe thik se dekhne ka bhi time nahi hoga" mummy ne mujhe samjakar kaha

"thike par aap dono ko vo ladka kessa lagta hai" mene pucha

"Achha hai, uski family bhi bohot achhi hai, ghar main vo bada beta hai, uska ek chota bhai bhi hai, aur dekhne me bhi kaphi aacha hai" mummy ne shati se uske baare me saari baate kahi

Phir papa ne mujhe photos dekhai mene pehla apni aakhe hi nahi kholi par phir mene use dekha

Phir papa ne mujhe photos dekhai mene pehla apni aakhe hi nahi kholi par phir mene use dekha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aur jese hi dekha vese hi meri pehli nazar uske beards pe gai

"nahi ! Mujhe nahi pasand " mene turant hi phone jhoole pe side me rakh diya

"kya? par kyu ? Vo dikhne mai to achha hai !" mummy ne turant mujhe phone khol ke photo open kar ke pucha

Mene phir se uski photo dekhi par mujhe vo bilkul pasand nahi aya

Kyu ?

Kyuki kiara ko beards wale ladko se sakht nafrat jo thi

Mummy papa ne kaha ki ladke ka nature achha hai aur family bhi.

"Tum jo decision lo bas shati se lo ham koi force nahi kar rahe hai" esa keh kar papa andar room me chale gaye aur me bas sochti hi reh gai ki kya me is rishte ko Accept karu yaa life patner ke liye thoda wait aur karu?

Ek minute ke liye mujhe to yakeen hi nahi hua ki yeh time itni jaldi aa jayega ! Meri engage ki baat itni jaldi shuru ho jayegi...itni jaldi kab badi ho hai pata hi nahi chala...par haa mummy papa pe mujhe aakh bandh kar ke bharosa tha ki vo mere liye best hi sochenge !

So mummy papa ka answer mera answer ! haa khyal to kai aate the par phir aakhir me mene haa kar hi di

rat guzri aur subha meri mummy ki friend Anita masi ka call aata hai

Note- yeh rista Anita masi ki family member through aya tha
- Anita maasi meri Mom ki childhood Friend hai

Anita masi ne kaha ki us ladke ki exam aane wali hai to isliye vo 1 month ke baad ladki ko dekh ne ghar aayenge !

Yani mujhe dekhne .....

Anita masi ne yeh bhi kaha tha ki us ladke ke kaphi nakhre hai ! Uski bohot sari girlfriends bhi hai

Par mummy ne masi ko kaha ki aaj kal sabki girlfriends hoti hai !!! aaj ka culture hi esa hai...

Anita masi ko pata tha ki mera koi boyfriend nahi hai
Infact meri to koi Girl me bhi friends nahi hai
Ha bas 3 friedn hai par sirf naam ke

Mummy ne mujhe subha ko Anita maasi ki saari baat batai

Yeh saari baat sunke mujhe shock bilkul nahi laga ki unki girlfriends thi
Kyuki mujhe pata tha ki is genration me pure love milna to impossible hai
Bcz yahi to aaj ka western culture hai

Log to esa kehte hai ki vo to bas friend hai par agar samne wale person ke dil me koi feeling aa gai to use kitna hurt hoga

Isliye me to manti hoon ki ek ladka aur ladki kabhi bhi sirf dost nahi ho sakte

Friendship se kab love ho jata hai pata hi nahi chalta

Par koi is baat ko nahi samjh sakta

Me proudly keh sakti hoin ki mene kabhi kisi ladke se friendship nahi ki
Haa try to bohot lag karte the par NO MEANS NO

aur bas intizar kiya ..... Us saksh ka jiske sath vo pure love ki feeling pehli bar aur akhir tak apne paas rakh saku

Mera first friend bhi mera life patner hi ho esa soch ke intizar pe intizar kiya to sahi par kya yeh intizar ka phal mitha tha ya nahi ?

Yeh to samay hi batayega ....

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Aug 15, 2024 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Ajab Prem Ki Gajab Kahani Where stories live. Discover now