GAON MEI REHNE KE VO DIN

15 0 0
                                    


Yaad hai mujhe vo gaon me rehne ke vo din
Subha ko jaldi uth jate the sab
Chidiyo ki chid-chidahat se dil hota tha khush
Suraj ki vo kirno se aagan jata tha bhar
Vo thandi hawa mere baalo ko chuti
Subha ki vo garam chai thi bohot kaamal
Usi se din hamara hota tha shuru
Kheto mai lehrati vo fasaal
Rastoo se vo bhigi mitee ki sugandh
Hare bhari vadiyo me basta tha mera gaon
Yaad hai mujhe dadi ji ke hathoo ka achar
Aur ma ke hath ka banna khana
Yaad hai mujhe  vo dosto ke sath ghumne
Aur phir der Sam ko vapas aana
Aaj bhi yaad hai vo madiro mei ghanti bajne ki aavas
Kya din the majhe ke
Raato ko khane ke baad hoti thi parivaar ke sath hassi majak
Aur der raat ko sote the taroo ke niche
Yaad hai mujhe vo chandni raato ki thandak
Kya sukoon ki nind aati thi
Aaj kaha vo baat rahi shahroo mei
Yaad aate hai mujhe gaon mei rehne ke vo din

Special Poems (Hindi/ Gujarati/English)Where stories live. Discover now