It's been two hours when they came home, and it's been two hours that Anubhav has locked himself in the study.
All were seated in the tensed state in the living area.
Haseena: Aakhir ye Anurag hai kon?
Jise dekh ke Achanak Anubhav ko itna ghussa aa gaya?Vishal: Anurag...vo ek lauta insaan hai jis se Anubhav itni nafrat karta hai ki uska bas chale toh vo uski hazaron baar jaan le le.
Haseena Karishma and Aarmaan trio went confused.
Haseena: matalab?
Vishal looked them.
Vishal: tumne ye kahavat suni hai? Villains are never born, they are made.
Kuch yahi hua Anubhav ke saath bhi aur humare saath bhi.Taran: Haseena, humari Family Mafia's ki humesha se thi par shayad papa ki generation vo last generation hoti jo iss buisness mein hoti. Kyu ki na Anubhav, na Vishal aur na he mai kabhi bhi iss buisness ko aage badhana chahate the.
Karishma: phir aisa kya ho gaya ki App log mafia ban gaye?
"Aaradhna didi!", all turned and found Anubhav standing their without any expression.
Haseena: Aaradhna Didi?
Anubhav noded.
Anubhav : Humsab bhaiyon ki ek lauti behen.
Karishma: Par Jab se hum yaha aye hai humne ek bhi baar Aaradhna didi ka naam nahi suna.
Mr.Singh: vo isiliye kyu ki hum mein se koi jaan bujh kar uska naam leta nahi hai.
Aaradhna, meri badi beti thi, iss ghar ki jaan thi, apne bhaiyon ki dhaal thi meri bacchi, inn teeno keliye vo puri duniya se ladne keliye tayaar thi aur vo inn teeno keliye kuch bhi kar sakti thiAnubhav: apni zindagi tak daav pe laga sakti thi meri Di humare liye.
Vishal: jab ki unhone lagaiee bhi thi apni zindagi dav pe humare liye.
Haseena: matalab?
Anubhav: matalab...Meri Family ka rule hai yaa toh ladkiyo ko shaadi karni hoti hai yaa toh unhe Maafia buisness join karna hota hai. Par humare ghar mein papa ne iss rule ko compulsory nahi mana. Unhone di ko puri aazadi di huee thi ki vo jo chahe kar sakti hai.
Mr.Singh: lekin ye baat mere bade bhai Vinay Singh ko pasand nahi aiee.
Maa: Jeth ji iske sakt khilaf the par inhone Aradhana ke dil ki suni. Par iss sab mein Jeth ji naraz ho gaye.
Taran: jab maa aur papa unhe manane gaye toh Chacha ji ne unke aage ek shart rakhi ki agar vo Di ki shaadi Anurag Kashyap ke saath kara denge toh vo unhe Maaf kar denge kyu ki iss se Singhs aur Kashyaps ke beech friendly relationship ban jayege.
Maa: Anurag ne humesha humari izzat he ki thi aur isiliye humne Anuradha iss baremein baat ki aur jab usne haa ki toh he humne Iss shadi keliye hami bhari thi.
Vishal : lekin Shadi ke din hume pata chala ki Dee ne Ha sirf Papa aur Chacha ke relationship accha ho isiliye ki thi. Actually vo kisi aur se pyaar karti thi.
Aur ussi waqt humne decide kiya ki Dee ye shaadi nahi karengi, unki shaadi vahi hogi jaha vo chahti hai.
Par jab ye baat humne Anurag se ki toh vo ghusse se aag babula ho gaya aur zabbardasti, di ko mandap mein kheech ke le gaya.Anubhav: Aur uss Di ko bachane keliye maine peheli baar papa ki gun ko haath lagaya.
Uss Anurag se dee ka peecha chhudane keliye maine ussi ke nazron ke samne uski family apna bandhi banaya.Taran: par vo psyco nahi mana, toh nahi mana.
Yaha tak ki ek macchar na marne wale Anubhav ne uss pe goli tak chala di par vo phir bhi peeche nahi hata.
Isliye hume majburan usse Behosh kar ke Di ko vaha se bhagana pada.Vishal: Jab Uss Anurag ko hosh aya toh vo paagal ho gaya.
Usne kasam kha li, Ki agar meri di uski na ho saki toh vo usse humari bhi nahi rehene dega.Karishma: matalab?
Vishal: matlab... uske do mahine baad. Humne di ki shaadi unke maan pasand ladke se Kara di, sab kuch sahi chal raha tha, di bhi bohot khush thi, hum sab ko laga tha ki Anurag bhi apni zidd bhula chuka hai.
Par aisa nahi tha.
Vo shaant tha, vaise he jaise tufaan ke pehele ki shaanti hoti hai.Anubhav: ek din achanak hume call aya didi ka par nahi vo di ka call nahi tha kisi Beherupiye ka call tha, usne kaha ki Jija ji ne didi ko maara Peeta, aur bohot torture kiya.
Taran: ye sun ke humara khoon kahul gaya aur hum chale gaye didi ke Ghar unhe sabak sikhane.
Jab hum di ke ghar pohoche toh dekha ki Di ke saar se khoon beh raha hai aur Jija ji ke haathon pe ek rod hai jispe khoon laga hua hai.
Aur haa vo humla jija ji ne he kiya tha di pe par vo humla jija ji kar na chahate the.Haseena: toh phir unhone vo humla kiya kyu?
Anubhav: kyu ki jija ji uss samay ke special type ke chemical ke influence mein the, aur ye baat hume pata nahi thi.
Vishal: jab humne dekha ki Humare vaha maujood hone par bhi Jija ji didi ko darnidon jaise Peet rahe hai toh humse raha nahi gaya.
Hum teeno bhaiyon ne unhe maarna shuru kar diya, tab tak jab tak unki Jaan...Anubhav immediately closed his eyes and fresh tears came out of his eyes.
Taran: didi iss sadme se nikli nahi the ki (in anger) Vaha aya Anurag aa gaya aur usne bataya ki ye sab Jiju ne sirf ek chemical ke influence mein kiya.
Anubhav: Unke Pati ke kaatil anjaane mein he sahi, par unke pati ke kaatil unke apne bhai the, ye baat di se sehen nahi huee aur...
Anubhav couldn't speak further.
Vishal: aur di ne vahi humare aakhon ke saamne khud ko goli maar di.
That heart-wrenching vision appeared before their eyes again.
Where Anubhav was completely shattered by the death of his sister, where Vishal had became completely silent and Taran felt as if the ground had slipped beneath his feet.
They, who were always supposed to be the reason for their sister's happiness, became the reason for her death.And that's when Anurag came to Anubhav and Whispered evilly in his ears.
"Kaha tha n, Agar Anuradha meri na ho saki, toh mai usse kisi ka nahi rehene duga. Dekh Maine usse Tera bhi kaha rehene diya.
Tujhe he Teri behen ka khooni bana diya".And...he started laughing evilly.
Anubhav: Aaj bhi uss...Hasi ki gunj mere Kano mein hoti hai aur mere he maan mein mere liye Zeher ghol ke chali jaati hai.
Everyone's eyes had tears.
The old wounds of Singh Family went Green again, with the multiplication of pain and the rest once felt their heart broken too.__________________________________
Precap: Mending his heart
__________________________________Sorry I won't be able to reply on previous comments