Everyone left except Monu and Manjeet
Manjeete: Monu ye sab purani baatein hain
Monu: aapke liye hogi mere liye nahi mujhe inke baare main kuch pata hee nahi aapko pata hain mujhe Shergill's ke baare main kya yaad hain yahi ki jab bhi chutti ati thi main mumma aur aap yaha Chandigarh jaate thea aap aur mumma bohot khush thea mumma meri bari behen se milne ke liye excited hoti thi jaise hee pahoch ge waha aap aur papa ki hasne ki awaaz mumma aur Laxmi aunty aap logo ke baare main bolenge phir woh aake mujhe hug karenge phir main khelne jaungi lekin mujhe kya pata tha ki woh chutti last chutti hogi jab hum khush honge phir uske baad jaana band aur phir mumma ki death
Manjeete: main aur teri mom army camp main mile thea
Monami: Army camp
Manjeete: sorry main Suraj, Ganju, teri mumma, Laxmi, Gargi, Raju aur Neha hum sab ek hee camp main cadets the aur teri mumma Suraj(Karan and Arjun's Dad) ko pehle se jaanti thi ek hee area main rehte the dono army officers ke bete hain aur unke hee nakshe kadam main chalenge Raju(Niyati's Dad) aur Suraj ek hee gaon ke the aur Raju toh paiso ke chakar main acedamy join kari main aur Ganju(Sid's Dad) ek dusre ko jaante thea pehle se mere bauji ka sapna tha ki main army main as a Dr. rahoon aur Ganju toh aise hee muh utha kar aa gaya ekdum Sid ki tarah aur Laxmi(Karan's and Arjun's Mom) apne ghar se lar ke ayaha ayi thi aur Gargi(Niyati's Mom) ke parents ne usse zabardasti bheja tha baat rahi Neha(Sid's Mom) ka joh mangetor tha usne uss samey usko maara tha aur sagai tor di thi toh usse change of environment chaiye tha main aur uss Acedmy main hum sab dost banne aur hi waale nahi pakke dost Raju ne Juhi ko behen maana tha isliye woh Niyati ki bui hain main Ganju aur Suraj bhai jaise thea hum sab ke bich main koi na koi rishta jarur ban gaya Acedmy main rehte rehte Juhi(Monami's Mom) aur mujhe ek dusre se bohot pyaar hogaya aur yahi nahi tumhare parakram Acedamy main Suraj aur Laxmi, Gargi aur Raju, Neha aur Ganju ki love story bani sabse pehle Suraj aur Laxmi ne wiya karliya phir Raju aur Gargi ne phir Ganju aur Neha meri aur Juhi ki shaadi sabse aakhir main hui thi humari shaadi ke baad Juhi apne battalion ki subudar Maj. thi main special force main tha joh larai woh sarat main karti thi wahi cheez main ladke nahi yaha undercover rehke karta tha aur sath main aur Ganju aur Neha bhi meri team main thea shaadi ke 2 saal baad tuh peda hoagyi teri mom aur maine sabse last shaadi kari thi aur phir bhi Ganju ke Sid se pehle tuh hogayi teri mom ne break liya tha army se lekin kaam nahi chor paayi toh as Dr. mere bauji ke hospital main kaam karne lagi tuh shayad 4 saali ki thi jab usne rejoin karaa aur jab bhi chutti hoti thi toh hum log Chandigarh chaley jaate thea tuh 5 saali ki hogi jab hum log akhri baar gaye thea uske baad teri maa jab gayi toh wapas hee nahi ayi na uski body (with tears in his eyes) main maane ko tyaar hee nahi tha ki meri Juhi mujhe chor kar chaley gayi thi phir jab uski body nahi mili ek saal ke liye tabh bhi naa chahte hue bhi mujhe mana para aur tuh jo puchti hain ki humne aana kyu band kardiya tha kyuki ye log mujhe mana rahe thea ki meri Juhi iss duniyan main nahi hain aur ye baat sunne ko main ready nahi tha aur tum bhi Juhi ke liye bohot roti thi tumhe sambhalna bhi mushkil ho raha tha lekin ab sochta hoon toh lagta hain ki agar yaha aata toh shayad khush rehti par anyway Juhi ki death ke baad main task force main nahi reh saka toh dad ke hospital ko takeover karliya lekin apne task force ki din maine kum dushman nahi banaye hain aur tumhara jo haal hua tha Juhi ke jaane ke baad koi bhi baap apne bacho ke waise nahi dekhna chahta toh mujhe laga ki kisi din main nahi raha tujhe sambhalne waale toh bohot thea lekin woh halat nahi chahta tha main toh maine apne aap ko tujhse door karliya ki kabhi kuch hojaye toh tera pehle waala haal na ho toh main walnut uncle ban gaya aur tujhe Shergill's se bhi dur rakha ki tujhe koi Juhi ki yaad na dilaye aur khudko bhi unse dur karna chaha lekin Juhi aur ek wadaa chor ke gayi thi Niyu uska bhi dhyaan rakhna tha Shergill's usko bohot khush rakh rahe thea toh usse milne jataa aur baap ki baapta kahi toh dikhi ti toh sab Niyu ke upar lekin phir guilt bhi ataa tha toh uss guilt ko dur karne ke liye tere andar khaamiyaan nikal ne laga aur main nahi chahta tha ki tuh army join karey kyuki main Juhi ko kho chuka hoon par uski loti nishani ko kaise kho doon lekin teri zid bhi him dono par gayi hain chali ayi lekin maine kayi saalo main nahi socha tha ki jin logo ko tusse dur rakhna tha wahi tere itne paas aa jayenge jaise woh girgit aur ab dekh tuh Shergill's ki bahu ban rahi hain ho sake toh mujhe maaph karde beta
Monu didn't say anything for 5 minutes
Manjeete: Monu
Monu: aapka justification ekdum sahi hain lekin aapke dar ek wajeh se maine apna bachpan dar main jiya hain ki papa mujhse pyaar nahi karte ki I am never enough for you aur feeling kaisi hoti hain woh main explain bhi nahi kar sakti toh aapne mujhe sach bataya I am happy lekin maph nahi kar paungi itni jaldi toh bilkul nahi aapke dar ke wajeh se mera bachpan bhi Niyu di jaisa ho sakta tha main ye nahi bol rahi ki unhone dard nahi sehe hain ya kisi aur Shergill ne nahi sahe hain lekin they always had each other aur shayad mumma ki kami Laxmi aunty ya Niyu di hee khatam kar deti kamse kam kabhi ye toh feel nahi hota ki I am not loved or I am not enough toh sorry dad par main aapko abhi maph nahi kar sakti
Monu goes upstairs and goes straight to Karan's room
Manjeete crying in the sofa
Suraj: oye roh mat Juhi hain ye kardegi maaph lekin uska gussa ekdum jayas hain
Manjeete: maine kab bola nahi hain lekin bohot bari galti kardi main Suraj aur ab meri beti kalse meri nahi rahegi tum logo ki hojayegi kehne ko toh woh hamesha meri rahegi lekin tumhari ban ke reh jayegi Niyati ko toh tabh bhi maine pyaar diya lekin Monu Niyati ke kanya daan ke samay itna guilt nahi tha lekin Monu pata nahi uske wakt kar bhi payunga ya nahi
Suraj: thora time de usse koi bhi bacha apne maa-baap main jyada din gussa nahi rehta
Manjeete: bhagwaan karey aisa hee ho aur Ganju meri halat dekh raha haina batade Sid ko sach agar Sid ki Monu se bhi jyada buri halat hui thi toh
Ganju: tab ki tab dekhenge tuh Monu ke upar dhyaan de
Suraj: lekin Ganju ye bolto sahi raha hain
Ganju: Sid ko dekhlenge abhi Monu ke upar dhyaan do
Manjeete: hmm
Suraj: Niyu aur Aru ko call milayo
Manjeete: arey bache kitne dino ke baad sath main ghumne gaye hain kyu unko tension de raha hain aur Karan unko baad main bata dega unko enjoy karne de chal hum kaam toh complete karde
Suraj: par thik haina pakka
Manjeete: itni care mat dikha mujhe galat phemi ho jayegi ki tujhe mujhse pyaa ho gaya hain
Suraj: aa gaya wapas apne form main
Both of them laugh and start working on the finishing touches
YOU ARE READING
SHERGILL FAMILY
FanfictionKaran and Monami have still not confessed their love to one another but what will happen when the other Shergill's arrive with secrets of their own and past which is heart wrenching. Mission which are even more difficult than the training itself. Wi...