Elvish apni dai maa ke paas aata hai
El- dai maa aap so rahe ho
DM- nahi beta tu wahan kyun khada hai andar aa jaa main tera hi intezaar kar rahi thi mujhe pata ki agar tu yahan hota hai toh chahe kuch bhi ho jaye mere paas aaye bina nahi sota
Elvish unke pass jata hai apna sar unki god m rakhkar let jata hai
Phir Dai maa uske sar pe haath pherti hai
DM-beta tujhe is waqt manisha ke pass hona chahiye
El-Hmm
DM-elvish main tumse yeh nahi puchungi ki tumne yeh shaadi aise kyun ki Koi na koi wajah hogi mujhe tum per pura bharosa hai lekin phir bhi yeh shaadi jaise bhi hui ho tumhe uska pura dhyaan rakhna
El-ji dai maa
Yeh kehkar elvish wahan se jane lagta hai
DM-elvish chahe jaise bhi hui ho jis halat m lekin ab woh tumhari zimmedari hai mujhe pata hai mera beta apni zimmedariyon ko puri tarah nibhata hai ab jao
El-good night dai maa
DM-good night beta
Uske baad elvish apne room m aata hai woh manisha ko dekhne aata hai elvish Manisha ko sota hua dekhakar jane lagta hai ki uske pair side table se takrata hai aur wahan rakha hua water jug gir jata hai isse manisha ki aankhen khul jati hai aur woh ek dum se uth kar baith jati hai
Elvish Manisha ko ghabrata dekh kar jane lagta hai
Ma-ruko
Elvish Manisha ki aawaz sunkar ruk jata hai
Ma-mujhe pata h tum yahan kyun aaye ho
Elvish Manisha ki taraf dekhta hai
Manisha bed se uth kar elvish ke samne khadi ho jati hai
Ma- jis kaam se aaye the woh toh kiya hi nahi
El -Kon sa kaam
Ma- ooh what innocent men you are ruko mai. Tumhari help kar de deti hu phir woh apne seene se dupatta remove karti hai yeh lo kar lo jo karna hai
El- what rubbish yeh kya bakwas kar rahi ho tum
Ma-kyun tum jo chahte the main wohi toh kar rahi hu tumhare zabardasti shaadi ka yehi reason tha na kyun ki iske alawa mere paas kuch bhi aisa nahi hai jiski wajah se tumne mujhse shaadi ki hai toh common aage badhon kar lo apni khwaahish puri
Elvish chup chap khada rehta hai use Manisha ki baaton ka bahut hurt hota h lekin woh already itna sab kuch kar chuka hota hai manisha ko kuch nahi bolta
Ma- kya hua common ooh acha tum toh mujh jaisi ladki ko chuna bhi pasand nahi karte phir kyun kiya mere saath yeh sab kya kasoor tha mera pehle mera kidnap kiya aur phir mujhe hi hatkadi laga di haan yeh sindoor yeh mangalsutra hathakadi h mere liye jisse dekh kar m pal pal mar rahi hu
Elvish yeh sab bardaasht nahi kar pata aur room se bahar aa jata hai aur uska ek dark room jismein punching bag hota wahan punching karta hai use manisha ki har ek baat yaad aati hai
El-kitna gira hua hu main uski nazron kitni nafrat karti h mujhse lekin maine kiya bhi toh uske saath galat hai yeh soch kar woh punch karta hai woh itna punch karta ki uske haath se blood aane lagta hai aur phir thodi der baad wohi zameen per so jata hai
Idhar manisha elvish ke jaane ke baad apne aap ko mirror m dekhti hai apna sindoor ko mitati hai jo elvish ne bhara hota hai apni saari jewellery jo usne pehni hoti hai sab tod deti hai hai phir neeche gir kar zor zor se rone lagti hai aur Ro Ro kar wohi so jaati hai
Next day - manisha ka gate knock hota hai ek house worker wahan aati hai woh manisha ke liye kapde lati hai
HW-good morning mam yeh badi mam ne aapke k liye kapde diye hai aur aapko neeche bulaya hai
Lekin manisha kuch jawab nahi deti
Phir woh wahan se chali jaati hai bahut der manisha aise hi baithe rehti hai lekin in sab m woh yeh bhul jati h ki use apne papa se milne jana hai woh jaldi se fresh hokar kapde change kartiManisha saree pehn kar neeche aati
DM-aao beta yahan aao mere paas
Manisha unke paas aa chali jati phir woh manisha ke sar per haath pherti hai aur bolti hai bahut pyaari lag rahi ho bilkul kisi pari jaisi beta Elvish nahi utha abhi tak per manisha ke paas koi ans nahi hota
El- Dai maa
DM- arey elvish tum itni subah kahan se aa rahe ho
Elvish Manisha ko dekhta hai jo already use dekh rahi hoti hai
El - woh main walk k liye gya tha
DM-lekin beta aaj itni jaldi uthne ki kya zarurat thi ek minute apna chehra dikha mujhe yeh teri aankh itni Laal kyu hai
Elvish unse nazren churata hua
El-Kya dai maa aap bhi chaliye breakfast karte haan
DM-arey manisha wahan kyun khadi ho aao hamare saath breakfast karo
Ma-ji nahi mujhe bhukh nahi hai
DM-arey aise kaise yahan baitho mere paas kuch toh kha lo ya phir main tumhare liye kuch aur banwa de deti hu
Ma-nahi m thik hu
Aur dai maa ki zid ki wajah se bas chai le leti hai
Breakfast karke elvish Jane lagta hai
DM-arey elvish kahan ja rahe ho
El-woh maine bataya tha na ki iske papa hospital m hai bas wahin ja raha tha
Yeh sunkar manisha khadi ho jati h aur kehti hai mujhe bhi jana h papa se milne
DM-haan haan beta manisha ko saath le jao uske pita hai usko bhi dekhna hoga
El-ok chalo
DM- ruko beta
Yeh sunkar manisha ruk jati hai
DM- beta agar tum bura na maano toh ek baat bolu
Ma-ji
DM- tumhari shaadi ka pehla din hai aur tumhari maang m na sindoor h nahi gale m mangalsutra
Elvish yeh notice karta hai aur manisha ko dekhta hai
El- ooh common Dai maa yeh sab sab old fashion h aaj kal koi nahi manta
DM-m janti hu aajkal ke bacche yeh nahi mante lekin beta yeh hamari Sanskriti hai yeh hamari shaadi ki pehchaan hai main nahi bol rahi hu ki tum roj roj yeh sab karo bas abhi nayi nayi shaadi hui h tumhari kuch dinon ki baat h bas phir tumhari marzi main tumse kuch nahi bolungi
Elvish samajh jata h ki kahin na kahin manisha ko accha nahi lagega phir woh Dai maa ko rokta hai tabhi
Ma-main do minute m aayi kehkar room m jati h
Phir woh apna mangalsutra pehenti hai maang m sindoor dalti hain aur phir neeche aa jati hai
DM- dekho kitni pyaari lag rahi hai chahe koi kuch bhi bole lekin ladkiyon ka asli gehnamangalsutra hota hai aur manisha ka maatha chumti hai
Yeh sab dekhakar pehli baar elvish ko khushi hoti hai lekin woh manisha ko nahi dikhata
El-accha Dai maa hum chalte hai
Dm-thik h beta acche se jana
Elvisha hospital pahuchte hai