Elvish mission

247 22 4
                                    

Katariya manisha ko  ek  bade se ghar m le jata hai like hostel wahan bahut se bacche hote hai jo khel rahe hai kuch padai kar rahe hote hai
Ka-dekhiye yeh koi anath bacche nahi yeh woh bacche jinki kidney bechi gayi hai aur inko inke parivaar se dur kiya gya inko paida hote hi kidnap kiya gya tha aur inki kidney nikal  li gayi aur bahut se bacchon ke toh heart bhi nikal liye gye aur woh ab is duniya m nahi h  inko bhi maar dete agar elvish bhai ne inhe nahi bachaya hota  aaiye aur bhi kuch dikhata hu
Phir woh Manisha ko kuch ladkiyon ko dikhata hai  
Kat- in ladkiyon ko zabardasti becha gya inke saath rape kiya gaya yahan tak ki inki kidney eyes  nikal becha gya aur inhone apne aap ko bachane ki koshish ki toh kisi ke haath kisi pair tod diye gye bhai ne aise hi kitne logon ko bachaya main kya unko khud nahi pata aur itna sab hone ke baad in ke gharwalon ne inhe apanane se inkaar kar diya
tears  start flowing from Manisha eyes
Kat-aur jise aap gunda bata rahi hai na
He is  undercover agent elvish Yadav hai wohi elvish na Jane desh ke kitne dushman saza dilayi kitne ko maut ke ghat utara aur kitne gair kanooni dhandhe band karwaye kitne hi bacchon aur budhon ko jinke parivar ne unse mujh mod liya unko ghar dilaya rehne ki jagah di khane ki khana aur pehne ke liye kapade
Manisha yeh sunkar shocked ho jati hai
Ma-agar itna hi accha tha toh mere kidnap kyun kiya mujhse jabardashti shaadi kyun ki
Kat-waise toh elvish bhai ne mujhse batane ke liye mana kiya tha lekin main aur nahi reh sakta unhone aap ko kidnap kiya tha uska reason sunna chahogi aap toh suniye  aap  ke father us giroh ka hissa the jo ladkiyon ki smuggling karta hai
Manisha shocked hote hue katariya ko dekhti hai
Kat-aur unhone shaadi bhi  isliye ki kyunki woh aapki shaadi  abhishek jaise deshadrohi ke saath nahi hone dena chahte
Mere papa itna ghatiya kaam nahi kar sakte
Ma-jhut bol rahe ho tum mere papa aisa nahi kar sakte
Kat-thik h main jhut bol raha hun aap khud apne pitaji se puch lena
Kat-aur bhi bahut kuch hai batane ko per is waqt mere paas time kam hai mujhe elvish bhai ko last time dekhna hai phir pata nahi unse kabhi wapas mil paun ya nahi
Manisha shocked hokar
Ma-kya matlab h tumhara aakhiri baar milne se kahan hai elvish kya hone wala hai usko bolo
Manisha katariya per shout karte hue puchti hai
Ma-batate kyun nahi kahan h mera elvish 
Kat-ja raha hai woh apne aap ko maut ke hawale karne us jagah jahan shayad hi koi bach ke aa paya bade se bade desh ke log bhi wahan jane se darte hai  wahan ka tanashahi sabko maut ke ghat utaar deta wahan ke log bhi saans uski marzi se lete hai woh India ko tabaah karne ke liye ek aisa neutron bomb taiyar kar rahe jo ek hi baar m India jaise kai deshon ko tabaah kar dega jisne bhi unke khilaaf jane ki koshish ki woh wahin mara gaya  jahan sabne apne haath khade kar diye us neutron bomb ko apne desh m lane ko aur tamam desh ko bachane ka theka liya h elvish bhai ne  phir chahe woh zinda rahe ya na rahe  manisha niche zameen per gir kar baith jati hai aur zor zor se rone lagti hai
mujhe milna h usse please mujhe le chalo uske paas
Woh katariya ke aage haath jodne lagti hai please  isse pehle ki bahut der ho jaye
Katariya bhi uski aisi halat dekh kar use apne saath le jata hai aur woh dono airport ki taraf nikalte hai thodi der baad woh wahan pahunch jate hai
Manisha bina ruke airport ki taraf bhagti hai aur pure airport per elvish ko dhundhti Hai bahut dhundhne ke baad jab woh thak jati hai toh phir woh zor se chikhti hai
Ma-elvishhhhh elvishhhh  uski aawaz se sab log uski taraf dekhte hai woh pagalon ki tarah elvish elvish bolkar chillati hai
Tabhi uski nazar elvish per jati hai jo  uski taraf  interrogative nazar se dekhta hai
Manisha use dekhakar kar  wohi pillar ke sahare khadi ho jati use elvish ko dekhakar tasalli hoti hai  phir woh apne aanshu poch kar elvish ke paas jati hai aur uske haath jodti hai
Ma-please mujhe chodkar mat jao main nahi reh paungi tumhare bina main jaanti hu main tumhari maafi ke layak nahi hu per apni jaan khatre m daal kar mujhe itni badi saza mat do maine aapko bina soche samajh bahut kuch bola
Elvish manisha ko aise dekh kar shocked ho jata hai use samajh nahi aata ki achanak manisha aisa behave kyun kar rahi hai phir uski nazar katariya pe jati hai woh use sar hila kar ishara karta hai ki manisha ko sab pata chal gya hai
Elvish bina kuch bole wahan se jane lagta hai
Manisha elvish ka haath pakad leti h
Manisha elvish ke aage pleading karte hue bolti aap ko jo bhi saza dene h mujhe dijiye mujhe aapki har saza manzoor hai lekin mujhe dur mat jaiye main nahi reh paungi aapke bina elvish manisha ko uthata hai
El-tum se mujhe koi shikayat nahi hai aur nahi tum kisi maafi ki haqdar ho lekin mujhe jana hoga kyunki elvish kabhi bhi apne kisi mission ke aage jhuka nahi hai aur nahi kabhi jhukega agar zindagi ne mauka diya toh zaroor lautunga
Chalta hu  jai Hind 
Take care
Elvish wahan se chala jata hai
Tear start flowing manisha eyes aur woh elvish ko jaate hue dekhti dekhe dekhte elvish visible ho jata manisha statue ki tarah khadi reh jati hai hai
Kat-bhabhi bhai jaa chuka hai chaliye main aapko ghar chod  deta hu
Manisha apne aanshu pochti hai aur katariya ke saath wapas ghar aa jati hai
In car
Kat- bhabhi ghar aa gya
Manisha ghar ki taraf dekhti h phir car se neeche utarti hai lekin uski ghar jane ki himmat hi nahi hoti
Ma-pov-kaise jau is ghar m jahan aap hai hi nahin kaise  akele rahungi m yahan aapke bina
Aur yeh sochte sochte woh ghar  m jati ki achanak ghar ki light chali jati hai

Dangerous ishqWhere stories live. Discover now