10.

3.8K 210 18
                                    

Sorry for the delay in update.

---------------------------------------------

Some days passed away peacefully.

Rohit was in his cabin when armaan entered.

Rohit : arey bhaiya mujhe bula liya hota.

Armaan : rohit ek bohot hi crucial high profile case aaya hai woh henry smith uske against.

Rohit : haa bhaiya I know bohot hi dangerous hai woh, fufa sa aur dadi sa ko batana hai?

Armaan : nahi bilkul nahi dekho yeh case jitna aasan dikh raha hai utna hai nahi bohot hi khatarnak hai yeh case, shayad hum par nazar bhi rakhi jaaye. DGP se baat hui thi meri unhe intelligence se information mili hai ki iss baar humare shehar ki baari hai.

Rohit : toh ab kya karna hai?

Armaan : humare sources se pata chala hai ki ki uska main thikana London mein hai, wahi se uske saare illegal businesses operate hote hai, usme smuggling, especially ladkiyon ki, drugs, murders aisa kya hai ko jo yeh nahi karta isse expose karna hoga, sources se pata chala hai ki iss baar uska target udaipur hai yaha se woh ladkiya London bhejne wala hai.

Rohit : toh kya kare bhaiya?

Armaan : woh ek NRI hai uska hum yaha kuch nahi bigad sakte, DGP se baat hui thi meri uske khilaf saboot hume London mein hi milenge aur wahi hum usse arrest bhi karwa sakte hai aur unn ladkiyo ko rescue bhi woh chahte hai ki hum waha jaaye kyuki agar woh jayenge toh kahi na kahi se henry smith tak yeh khabar pohoch hi jayegi.

Rohit : par bhaiya isme risk ho sakta hai henry Smith koi aam gali ka gunda nahi hai usse ab tak toh pata bhi chal gaya hoga ki hum uske peeche hai hum par nazar bhi rakh raha hoga.

Armaan : isiliye maine ek plan banaya hai.

Rohit : kya?

Armaan : humari shaadi ko teen mahine ho gaye hai aur hum honeymoon par nahi gaye.

Rohit : bhaiya aapko iss situation mein honeymoon sujh raha hai.

Armaan : rohit henry smith ko pakadne ka ek bohot hi accha plan banaya hai maine usse hum par shaq bhi nahi hoga aur hum London mein honge. Hum abhira aur ruhi ko London le jayenge honeymoon ke liye lekin directly nahi jayenge yaha se hum paris ke liye board karenge taaki kisi ko hum par shaq na ho aur connecting flight se London.

Rohit : matlab henry smith ke liye hum paris mein honge but actual mein hum London mein honge.

Armaan : exactly, iss plan ko maine DGP ke sath discuss bhi kiya hai, kuch undercover officers bhi honge humare sath par aise ki kisi ko pata na chale woh humare saath hai unki details hume de di jayegi.

Rohit : par bhaiya iske liye hume sabse jhuth bolna hoga especially abhira aur ruhi se, yeh unki feelings ke sath khelna hoga, honeymoon matlab couples ke liye sabse yaadgar pal hota hai aur hum aise.

Armaan : I know rohit hum galat kar rahe hai par hamare pass koi aur option nahi hai, unn ladkiyo ki jaan ka sawal hai, henry smith jaise rakshas ko pakadna bohot zaruri hai.

Rohit : unhe batana hai iss baare mein.

Armaan : nahi jab tak ho sake unhe iss problem se durr rakhte hai ho sakta hai ki woh log enjoy kar le aur humara kaam bhi ho jaaye.

He nodded.

-------------------------------------------------

At night,

Everyone was having dinner,

Armaan : dadi sa kuch baat karni thi aapse.

She nodded.

Armaan : main aur Rohit abhira aur ruhi ko London le jaana chahte hai bohot time ho gaya hum sab kahi gaye hi nahi aur aaj kal humare pass koi case bhi nahi hai.

All : oh ho bhaiya honeymoon...!!!

The Cousin gang teased them making abhira and ruhi blush, while armaan and rohit were neutral.

Dadi sa : kitne dino ke liye jaana hai?

Rohit : do hafto ke liye dadi sa, parso ki flight hai, phir jaldi aa sakte hai na.

Dadi sa : thik hai.

-------------------------------------------------

In ruhit's room,

Rohit was standing near the window feeling guilty for lying to his family especially Ruhi.

Two arms wrapped around him from behind.

Rohit : ruhi.

He pulled her in front.

Rohit : kya hua?

Ruhi : thank you main kabse soch rahi thi ki hum kahi bahar chale.

Rohit : tum khush ho?

Ruhi : bohot.

She hugged him tightly.

He felt guilty hiding from her seeing her excitement.

----------------------------------------------

In abhimaan's room,

Armaan was handling the excited abhira who was dancing around him.

Armaan : bass karo abhira.

Abhira : kya khadusmaan khud ne trip plan kiya aur ab bilkul bhi excitement nahi dikha rahe.

Armaan : apni excitement London ke liye bacha kar rakho aur abhi so jao bohot late ho gaya hai.

Abhira : sona chodo yeh batao London mein kya kya hoga.

Armaan : abhira abhi main thak gaya hu kal tumhare saare sawalo ka jawab dunga abhi so jao.

Abhira : sorry.

She said looking down, he immediately realised that he shouldn't have shouted at her, she is right at her place.

He took her in his embrace.

Armaan : sorry abhira I am really sorry.

Abhira : it's okay.

Armaan : accha suno London mein bohot kuch hai tum waha chalogi toh khud dekh lena abhi smile karo apne khadusmaan ke liye.

She smiled and held him tightly.

Abhira : thank you.

He was feeling guilty.

Abhimaan : Eternal love Where stories live. Discover now