🌸 Chapter 1 🌸

133 6 6
                                    

Apni cuteeeee si y/n soyi hui thi aur apne hi tarha pyare pyare sapne dekh rahi thi aur window se aati hui kirane seedha usske face par padh rahi thi jo ki usske chehre ko aur chhanka rahi thi phir room mein Afla aati hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Apni cuteeeee si y/n soyi hui thi aur apne hi tarha pyare pyare sapne dekh rahi thi aur window se aati hui kirane seedha usske face par padh rahi thi jo ki usske chehre ko aur chhanka rahi thi phir room mein Afla aati hai

Afla- Ab uth bhi jaa.......

Y/n blanket ke ander ghuste hue kehti hai

Y/n- (sleepy tone) Hmmm sone do na di.....

Afla usske upar se blanket kheenchte hue kehti hai

Afla- Aur kitna soyegi....? Uth bhi jaa ab college nahi jaana kya?!

Y/n- Baad mein...

Afla- Baad mein kab?!! Jab 9 baj jaayenge tab?!!

Y/n- Tch kitne baj rahe hain?

Woh apni aankhein thodi si kholte hue kehti hai

Afla- 08:30!!

Y/n- Accha 08:30- KYA!! 08:30 BAJ GAYE AUR AAP MUJHE AB UTHA RAHE HO!!

Afla- Ohh itni der se toh shayad papa tujhe utha rahe the na?

Y/n- Dada toh 8 baje hi office chale jaate hain toh itni der se woh mujhe kaise uthayenge??

Afla- 🤦🏻‍♀️ Arre......chal chhod tu jaldi se taiyar hoke aa main nashta laga deti hoon tera phir mujhe bhi toh nikalna hai hmm.

Y/n- Hmm.

Y/n gayi bathroom mein aur afla kitchen mein thodi der baad y/n taiyar hoke aati hai

Y/n's look

(Zyada toh nahi ho gaya na? 😕)

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


(Zyada toh nahi ho gaya na? 😕)

Phir afla aur y/n dono hi nashta karne ke liye baith jaati hain aur nashta karne ke baad dono ghar se nikal jaati hain

Time skip
At college

Lecture khatam hone ke baad saare students pet pooja ke liye cafeteria jaate hain aur waise bhi lunch time ho raha tha y/n bhi hall se nikalne wali hoti hai ke professor Mr dubey usse rokte hain

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Lecture khatam hone ke baad saare students pet pooja ke liye cafeteria jaate hain aur waise bhi lunch time ho raha tha y/n bhi hall se nikalne wali hoti hai ke professor Mr dubey usse rokte hain

Mr dubey- Y/n...

Y/n- Ji sir?

Mr dubey- Dekho y/n iss poore college mein main sabse zyada tum pe hi bharosa karta hoon toh baat yeh hai aaj saare professors ki meeting hai par mujhe meri beti ko bhi pick karne jaana tha usske school mein toh kya meri jagah tum chali jaogi? Tumhari toh abhi aur koi class bhi nahi hai.

Y/n- Umm of course sir main chali jaungi aap tension mat lo mujhe bas school ka naam bata do.

Mr dubey- Thank you beta.

Phir woh usse school ka address dete hain aur thodi hi der mein y/n nikal jaati hai

Next scene

Ruhi (dubey ki beti)- Hi didi.

Y/n- Hello.... Kaisi ho?

Ruhi- Bilkul thik aap?

Y/n- Bindassss 😉 hmm sooooo tumhare papa ko kuch kaam hai toh tumhe pick karne aaj main aayi hoon so let's go.

Ruhi- Ohh ok let's go.... Hehe.

Y/n phir rikshaw dhoondhne lagti hai par usse ek bhi nahi milti cause yeh toh ussne kiya hi nahi hai 😂

Y/n- Kya kare rikshaw toh mil hi nahi rahi hai (pout) ek kaam karte hain thodi dur paidal chalte hain phir shayad mil jaaye? Ok?

Ruhi- Ok.

Woh dono phir chalne lagti hain ruhi ka school y/n ke college aur ghar dono se hi kaafi dur bhi tha aur yeh school thode kum chehel pehel wali jagah mein tha woh dono akeli hi chal rahi thi par thodi hi dur mein hi usse koi dikhta hai jo ki bench pe baitha hua tha aur usski halat bhi thik nahi lag rahi thi

Y/n- Hey ruhi tum yahin khadi rehna thik hai main abhi aati hoon dekho kahin jaana mat ok?

Ruhi- Ok par aap jaa kahan rahe ho.

Y/n- Bas do minute mein aati hoon kuch kaam hai.

Phir woh ruhi ko khada karke usse insaan ke paas jaati jab woh usske paas jaati hai toh dekhti hai woh apna sar jhukake baitha hua tha

Y/n- A-are you okay-

Y/n ki awaz sunke jab woh insaan apna sar uthata hai toh y/n ki side se dekho toh woh ghabra jaati hai kyun uss insaan ke sar pe kaafi chont lagi hui thi aur usske haath pe jo chont thi uss se bhi khoon aa raha tha aur uss insaan ki side se dekho toh y/n ko dekhke woh kho hi gaya tha (yeh mujhe funny kyun lag raha hai 😂)

Y/n- Aapko kaafi chont lagi hai aapko toh doctor ke paas jaana chahiye aap yahan kya kar rahe hain koi na main aapko hospital leke chalti hoon ok?

??- Nahi....mera friend aa raha hai.

Y/n- Par tab tak toh khoon aur bhi beh jaayega aur aise khoon bahana accha nahi hota maan lijiye aapko kuch ho gaya toh aapke gharwalon ko kaise pata chalega hmm?

??- Ager main kahun mera koi nahi hai toh?

Y/n kuch kehne jaa hi rahi thi ke wahan ek ladka aata hai bike pe aur utarke aata hai

??- Abeer tu thik hai na? Kaha tha bhai ne ke akele mat jaa par tu-

Y/n- Aap inhe daantna bandh kijiye aur jaldi hospital leke jaaiye.

??- Tum kaun??

Y/n- Uh ab main y/n just inko help chahiye ke nahi yeh jaan ne aayi thi.

Phir abeer uthta hai aur dono jaane wale hote hain ke

Y/n- Ek minute!!

Y/n ki awaz sunke dono rukte hain y/n abeer ke paas jaati hai aur apne bag se apna scarf nikalke abeer ke haath pe baandh deti hai khoon ko bandh karne ke liye

Y/n- Hmm ab thik hai bye.....

Aur y/n chali jaati hai abeer usske disappearing figure ko dekh raha tha aur phir apne haath ko dekhta hai achanak hi usske chehre pe smile aa jaati hai aur yeh sab tamasha jeetu chup chap khada hoke dekh raha tha

Jeetu- Kya hai bhai?

Abeer jeetu ko dekhta hai aur kehta hai

Abeer- Teri bhabhi mil gayi re jeetu.

Jeetu- Bhabhi- Ohhhhh 😏 (smile).

Abeer- (smile).

Aur woh phir se apna haath dekhta hai

To be continue

Haan main zinda hoon 🙂 mari nahi marti bhi kaise abhi bohot kaam baaki hain duniya mein 😂 well jokes aside haan toh maine jaisa ki kaha tha ke main hospital mein admit thi par Allah ke karam se aur aap sabke pyar se main abhi Masha Allah bilkul thik hoon aur haan sorry itna wait karwane ke liye now enjoy~ aur comment mein bataiyo kaisa laga aur vote bhi kar hi diyo 😁

Bye bye ☺️💜💜

Main daag hoon tu chaand saWhere stories live. Discover now