🌸 Chapter 8 🌸

50 4 0
                                    

Kuch din bade haule haule se hi nikal gaye the. . . . . Aur abhi raat ke 2 baj rahe the y/n ke ghar mein toh kya usske mohalle mein bhi saare soye hue the zahir si baat hai y/n bhi soyi hi hui thi par achanak usska phone bajne lagta hai aur usski neend khul jaati hai aur woh caller id dekhe bina hi phone utha leti hai

Otp

Y/n- (in sleepy tone) Hello.

??- (chukle) Number dekha bhi hai ya aise hi phone utha liya hai.

Aur uss shakhs ki awaz sunke y/n ki neend poori poori khul jaati hai

Y/n- Abeer? Itni raat ko aapne kyun phone kiya?

Abeer- Darwaza kholo apni balcony ka thand lag rahi hai mujhe.

Y/n- Hain?

Abeer- Haan.

Y/n jaldi se apne bed se uthti hai aur balcony ka darwaza kholne jaati hai aur wahan abeer ko dekhti hai

Y/n- Haawww itni raat ko aap yahan kya kar rahe hain?

Abeer- Pehle darwaza toh kholo.

Y/n jaldi se darwaza kholti hai aur usse room ke ander karti

Y/n- Ab bataiye kya kar rahe hain aap yahan.

Abeer- Kuch nahi bas dekhne aaya tha tumhe.

Woh y/n ke bed pe baithte hue kehta hai

Y/n- Baith kyun rahe hain jaaiye yahan se.

Abeer- Heyyy yeh bohot rude ho gaya (pout) main pehli baar tumhare ghar aaya hoon kahan tum mujhe acche se baithaogi kuch khane ko puchogi par tum toh mujhe bhaga rahi ho.

Y/n- Abeer please baat ko samajhiye koi aa gaya na toh bohot badi gadbad ho jaayegi.

Abeer bed uthta hai aur y/n ko usske waist se pakadke apne paas kheenchta hai

Abeer- Toh aane do darta hoon kya main (in deep tone). 

(Hayeee 😍)

Usski awaz sunke hi y/n ko goosebumps aa jaate hain woh aage kya hi bole

Abeer- (chukle) Bhukh lagi hai kya karun? Tumhe kha lun?

Y/n- Main koi halwa thodi hi hoon jo aap mujhe kha loge.

Abeer- Halwe se zyada ho tum, waise main mazak kar raha tha aur mujhe itni raat ko khane ki aadat bhi nahi hai.

Y/n- Haan? Bhukh lage toh bhi nahi?

Abeer- Nahi.

On other side

Naman- Kya re itni raat ho gayi abeer abhi tak aaya nahi?

Jeetu- B-bhai hoga kisi baadi mein ya phir bar mein.

Naman- Baadi? Aur abeer? Pee rakkhi hai tune shayad.

Jeetu- Bilkul bhi nahi bhai.

Naman- Toh phir ulte ulte baat kyun kar raha hai, abeer jo ki auraton se dur rehta hai woh jaayega baadi??

Jeetu- O-oh maine baadi bol diya? Sorry hehe.

Naman- Hmm main chala.

Aur naman chala gaya sone

Jeetu- Haash bach gaya pata nahi iss majnu ke chalte aur kya kya karna padega apun ko, pata hai mujhe woh zaroor apni laila se hi milne gaya hoga.

On other side

Y/n- Abeer ab aapko jaana chahiye bohot der ho gayi hai aapke gharwale pareshan ho rahe honge.

Abeer- Jab koi hai hi nahi toh intezar kaun karega.

Y/n- Matlab?

Abeer- Matlab iss duniya mein mera koi nahi hai.

Yeh sunke y/n ko kaafi bura lagta hai

Y/n- Kisne kaha aapka koi nahi hai? Main hoon na.

Abeer- (chukle) Pata hai.

Y/n- (pout) Toh phir kaha kyun........

Abeer kehne jaata uss se pehle hi y/n ke room ka darwaza bahar se afla knock karti hai

Afla- Y/n tu abhi bhi soyi nahi hai kya?

Afla ki awaz sunke y/n ki aankhein phat jaati hai

Y/n- D-di? A-abeer a-aap jaaiye yahan se.

Abeer- Magar-

Y/n- Ager magar kuch nahi aap jaaiye yahan se.

Aur abeer jaise aaya tha balcony se wahin se phir wapas chala jaata hai aur y/n jaake darwaza kholti hai

Afla- Kya re tu abhi tak soyi nahi?

Y/n- W-woh di m-main padh rahi thi.

Afla- Padh rahi thi.

Y/n- Haan.

Afla- Itni raat ko?

Y/n- H-haan samne exam hai na iss liye  a-aap jao main so jaunga aap jao.

Aur y/n afla ko samjha ke usske room mein bhej deti hai aur khud bhi so jaati hai

On other side

Abeer chawl mein wapas aata hai toh dekhta hai jeetu bat haath mein leke khada hua hai

Abeer- Kya be itni raat ko cricket kiske sath khelne jaa raha hai?

Jeetu- Tere sath.

Abeer- Mere sath? Nahi bhai main abhi bohot thaka hua hoon phir kabhi khelenge.

Jeetu- Abe ayy tune mujhe apni aashiqui mashooqui ke beech kyun ghusa liye hai haan!! Naman bhai puch rahe the ke tu kahan gaya pata hai kitni mushkil se maine unko handle kiya!!

Abeer- Arre yaar tu bhi kya mamu hai itna nahi kar sakta mere liye tu mera bhai nahi hai kya.

Jeetu- Ayy dekh maska polish bandh kar apni.

Abeer- Abe gusse ko thukh de aur chal apan chhat pe chalke ek ek peg lagte hain.

Jeetu- Ab....itna jab keh raha hai toh thik hai chal.

Aur woh dono ek doosre ke kandhe mein haath dalke chale gaye

To be continue

Sorryyyyy for short chapter 😅 but promise agla chapter zaroor bada hoga

Bye bye 💜😊❤️

Main daag hoon tu chaand saWhere stories live. Discover now