khamoshiyan 🥰🤫

19 0 0
                                    

Jaise hi raat ka andhera hsr so apne par phila chuka toh woh jane ke liye ready ho chuki thi woh janti thi aaj ke din sab ghar wale bahar gaye hoge zahir hai jate bhi q na aaj ka.din tha hi unke liye khaas usse utha nhi ja raha tha magr phir bhi himmat jama karke woh uth rahi thi aur ahesta ahesta uth kar woh mirror ke samne khadi huyi thi khud ko dekhne ke liye apni halat dekh kar use phir se ek baar rone ana laha tha magr woh rona nhi chahti thi wob nhi chahti thi ke woh itni kamzor bane usne khud par badi si chadar se dhanp liya tha q ki janti thi agr shamroz lala ko maloom hua ki woh us waqt khar se bahar gyi h aur woh bhi begar parde ke age usse sucha bhi nhi  gaya q ke woh janti thi uska kya haal hoga aisa nhi tha ke woh parda nhi karti thi use toh ab begar parde ke ghar ke mardo ke samne bhi nikal nhi pasand tha .
......................
Woh car ka dar waza khul kar ek 40 ya 45 saal ke umar ka admi bahar nikla tha aur bade gurur aur akad ke bahar nikla tha jaise use yaqeen ho ki yeh log mera kuch nhi bigad sakte un maise kawasaki wala apna halmat utar kar uski ankhu main dekh kam ghoor zyada raha tha use halmat utare toh waise hi uske silky siyah baal mathe main bikhar gaye the use ek hath main halmait aur dusre hath se apne baalon ko piche karne ki ek zara si koshish ki thi aur thuda se age ho kar us shaks ke shart ke giriban ko pakda tha aut uske chehre ko nagawari se dekhte huye kehne laga tha tumhe kya lagta hai main tumhe yunhi jane dunga tumhe itni khush fehmiya q lahak hai us shaks ne apne gireban ko usse chudane ki ek nakam si koshish ki thi q ki uski pakad itni bhi halki na thi ke us jaisa kamzor shaks chuda le uske sath joh dusra shaks tha usne kaha tha DAVID chud do ise is ki kya auqaat ke yeh hame haraye ise toh hum batayege is ki auqaat aur woh shaks jise david kaha gaya tha usne uska gireban chud kar piche hata tha aur apni ungli ko utha kar kaha tha yeh meri akhri warning samajh lo dawood sahab is ke baad main aap ko khaas warning dene nhi auga aur waise bhi age aap samajhdar hain mujhe ummi d hai aap meri baat samajh gaye huge david ne unka gaal thapak kar apni kawasaki main betha tha aur us bullet wale ko kaha tha rehan chalu ab hame nhi lagta hame phir ane ki zaroorat hain yaha par aur phir us ne dekhte hi dekhte apni bike agr badhayi thi aur rehan ne bhi apni bike ko uske piche badhaya .
.......................
  Jab use laga ki uski ghufan aise nhi kam hogi toh woh palat kar side druwar se apni wallet aur apni THAR ki key ko le kar niche utra tha aise hi black T-shart aur black hi lower main aur apni jeep main beth kar gate ko paar karre bahar nikal gaya tha use maloom tha ki uski ghutan is se kam nhi hogi magr nakam  si koshish ki thi aur ek jagah apni jeep ko ruk diya tha jungle ke paas jahan khamoshi ka raaz tha use waha bethna sukoon bakhsh raha tha woh lambe lambe sans lene laga jab use kuch mehsoos hua toh us ne andar ki taraf kadam badha diye .
..........................

Woh sab se bach bacha ke akhir kabrastan puhuch gayi thi buhat din baad woh ayi thu use yaha akr apne baba se baat karke accha mehsoos hota tha woh dhire se kadam andar ki taraf badha diye the aur ek qabar ke paas akr ruk gayi jis par bade bade harfon main likha tha zubair shah woh us alfaz ko padh kar tez tez rone lagi thi aur rote rote beth gayi thi jab kisi aur ke bhi hone ka ahsas hua tha toh palti thi ke koi kutte ka baccha zakhmi waha ro rah tha woh use utha kar seh lane lagi thi tabhi kisi ka saya nazar ane par woh kutte ko rakh kar idhar udhar dekhne lagi thi phir jab laga koi nhi h toh phir se kabar ke karib beth akr rone lagi aur kehne lagi baba aap mujhe iase logon ke darmiya. Q chud gaye jin ke nazdik meri koi ahmiyat nhi hai tabhi kisi ke kadmo ki awaz ne use piche palatne par majboor kiya tha jab palti toh dekha koi shaks khada hai furan se apne chehre ko chupaya tha aur woh shaks bhi shaki nazron se use dekh raha tha
.........................

Jab use aisa laga koi ro raha h toh andar kabrastan ke kareeb gaya toh kisi niswani magr madhur si awaaz uske kano par sunai dene lagi thi aisa laga jaise uske kadam khud bakhud us kabrastan ki taraf jarahe the woh is cheez se begana bas chale jarah tha jaise kisi cheez ka ahsaas hi na ho sirf is ke yeh awaaz toh aise hi h jaisi is ne khawab main suni thi wahi surili awaaz jab us ne dekha ke ek kabar ke paas koi ladki chadar main khud ko chupaye ro rahi h toh use laga jaise uski bechainiyon main mazee azafa ho gaya ho usne us se kaha ki kon ho tum us ne apna chehra chupaya hua tha sirf uski badi badi kali ankhe nazar arahi thi joh rone bayes suj gayi rhia aur palke ansoo se tar the use laga ki ek martaba sirf woh apna chehra dikhaye ki jitni uski ankhe khubsoorat h kya woh bhi itni hi haseen h usne lhir wahi sawal kiya kon ho tum uske hath kanpe the woh kanp rahi thi ska aaj tak jitni ladkiyon se samna hua h sab bold aur confident rehti aaj yeh kaisi ladki thi joh uske bas sawal karne par kanp rahi thi jaise hi is ne jawab dene ko mun khula usi waqt ek bhediye ki chikghadti awaaz use sunayi di woh darr kar us se lipat gayi aur bas woh lamha tha jab uska chadar chehre se hatha tha aur woh us shaks ke chode seene se ja lagi thi aur woh toh jaise koi aur hi duniya main puhuch gya tha itna haseen chehra raat ki khamosh gehri andhere main tez tez hawa ke jhuke uske chedar ko udha rahe the aur us nikle awara late uske haseen chehro ko bosa le rahe the badi badi gehri siyah ankhe kanch si jaise kitne hi gum taklifain bayan ho rahee the choti khadi naak joh thandi ki shiddat se surkh ho rahi thi khubsoorat tarashe huye anabi hont aur usko char chand lagane ke liye hont ke niche siyah til uske haseen chehre ki jaise nazar bad se hifazat ke liye khuda ne banaya tha choti peshani par bal liye   jaise hi hosh ki duniya main ayi thi fir se apne chehre par chadar se dhanp liya tha aur woh toh jaise uske momi chehre ke hi tilassam main giraftar tha jab uski khubsoorat awaaz uske kaan main padhi thi woh bhi thodi door ja kar khadi ho gyi thi aur nazre jhuka kar kehne lagi mujhe maaf kar dijiye woh mujhe andhere se khauf ata hai phir aap bhi achanak agaye toh main darr gayi jab usne apni baat mukkamal ki toh dekha ke woh use hi dekh raha h usne bbi jaldi se apne aap ko kampoz kiya tha aur thoda age ki taraf ho kar kaha tha jab aap ko khauf ata hai toh itni raat ko yaha kya kar rahi thi us ke is sawal par jaise aana-e-dil toh aur darr gayi thi ke kya jawab de jab koi jawab na ban paya toh furan se keh di aap ko is se kya main kahi bhi jau aap kon hote hai puchne wale uske andar itni himmat kaha se paida huyi thi woh bhi nhi janti thi uske aise jawab par woh toh hakka bakka reh gaya tha ke joh ladki abhi tak mujhe sirf dekh kar kanp rahi thi woh jawab bhi deti hai woh bhi is qism ke aana-e-dil bhi jawab dene ke baad darr gayi thi ke woh kuch kahe na magr jhatka toh use tab laga jab uske jawab ke bawajood us shaks ne kaha auo main tumhe tumhare ghar chud du hairan toh woh bhi ho gya tha ki achanak usne yeh offer q dediya woh kya suchegi aana-e-dil ne kaha jhijhakte huye nhi aap Chale jaye main chali jaugi uske is jawab par use buhut gussa aya toy bhi uski kalai ko sakhti se   dabuch kar halke awaz main sakti se kehne laga mujhe bardasht nhi mere gao ki koi ladki yun raat ke waqt ghoomte fire samjhe uske aisa karne par woh sisak gayi thi q ke din main diya gaya zakhm abhi taza tha uske aisa karne par jab usne apna hath hataya aur kalai ko dekha toh use jhatka laga hath main itna bhayanak zakhm jaise kisi ne belt se mara ho use kya maloom q taklif huyi thi uski taklif dekh kar aur woh bikhteyar puch betha yeh kisne kiya aana-e-dil ne ahasta awaz main kya hamesha hota hai taqatwar kamzor ko taklif dete hai uske is sawal par usne apne hont apas main pewast kar liye the usne bhi kaha tha sry mera kehne ka yeh matlb nhi tha chalu main tumhe chod du koi bhi jungle janwar ajayega uske aisa kehne par woh raza mand ho gayi thi uske sath Jane par jab woh THAR ke paas puhchi toh woh shaks joh khud ke liye bhi car ka darwaza nhi khulta uske liye khul raha tha aur woh bhi khushi khushi uske bethne ke baad khud bhi driving seat sambhal kar woh beth gaya aur THAR start ki jab raste main THAR dudne lagi phir jab aana-e-dil ka ghar ya tha usne gate se kuch door pehle hi car ruk wali aur kaha bas yahi utar dijiye aur niche utarne lagi ke usne sawal kiya bikhteyar tumhara name kya hai aana-e-dil palti use 1 min dekha aur buhut ahasta awaz main kaha aana-e-dil aur furan palat kar ghar main chali gayi aur woh shaks zahir lab uske name ko phir se duhraya aana-e-dil aur abubakar shibli 🥰🥰 aur yeh keh kar harkat sa muskura diya
....................
Plz comment kare ke main kaisa likh rahi ho aur vote kare 🙏🙏🙏

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 09 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Gehraiyan 🖤🖤Where stories live. Discover now