haseen mulakaat 🥰🥰

13 0 0
                                    

Ek black kawasaki ninja age ki taraf badi tezi se raste ko cheerte huye nikal rahi thi aur just uske piche ek bmw bhi ati h magr use parwah kis cheez ki thi woh toh sab cheezon se beniyaz tha black halmat sir par lagaye black hi jacket pehne niche black boots pehne har cheez se beniyaz bas age ki taraf nikal raha tha aur uske piche ati BMW uska jaise picha kar rahi thi halake ke use is cheez ki fikar nhi thi aur dekhte hi dekhte us BMW ke paas se ek aur bolut black and grey colour ki guzar kar us kawasaki ke barabar m huyi thi us kawasaki m betha sakhs apni halki si gardan ghuma kar us grey bulot wale ko dekha hai aur phir dekhte hi dekhte 100 ki speed m apni kawasaki le kar ek tyer par ghooma kr woh BMW ke paas round karke us car ke paas ruk chuka tha aur woh grey bulot bhi uski itteba karte huye uske piche akr khada ho gya tha woh BMW bhi do baar jhtka de kar ruk gyi thi jaise woh is aftad ke liye tayyar nhi thi
.............................

Roz ki tarha aaj bhi shah haveli main awaze buland thi har ek ki zubaan m sirf ek hi ka naam tha 'aana-e-dil ' 🥰🥰
Aur woh preshan haal si kabhi yaha jati toh kabhi waha jati q ke agr woh kisi ki bhi baat sun na saki toh phir uski shamat hai joh ke woh nhi chahti thi ke kam as kam aaj ke din woh kisi ki baate sune ya koi use mare aaj ke hi toh din use muqa milta tha sab se chup kar unse milne jane ki air woh unse mil kar hi khush ho jati thi aur unhe apne sare gum takleef allah ke baad batati thi woh chahti thi ke kaise bhi magr jald hi raat ajaye aur woh unse milne jaye magr lagta hai jaise kaam aaj ke din aur badh gya hai woh yahi suchti age ki taraf nikal rahi thi ke shaista behum ne karkhat awaz se use pukara toh uske kitchen ki taraf jate huye pair kitchen ki dehleez ke paas hi ruk gaye the woh dhire se piche palti thi q use maloom tha shaista begum use jab bhi bulati thi use zaroor uski koi na maloom galti pr saza dene ke liye hi bulati thi aur woh darte darte chute chute kadam uthati unke paas jakar ruki thi aur apni haseen badi badi ankhu ki jhalar ko jhuka kar khadi ho gyi thi jaise ek gulam apne aaqa ke samne khada hota hai halake woh is layek toh na thi magr woh bhi majboor thi uska sab hone ke bawajood woh sab cheezon se gafil thi usne ahasta se apne haseen chehre ko uper uthaya tha aur kaha tha ji mumani uska yeh kehna tha ki unka para aur badh gya tha unhone unke haseen aur nazuk gaal par apne haton ke nichaan chuee the chaat... si awaaz aye thi aur woh jaise aadi ho gyi thi yeh sab ki tum battamiz begerat teri itni auqat ke tu mujhe mumani kehegi tujhse rishta judna mere liye meri tuheen ka bayes h samjhi medam bol mujhe unhone uske nazuk bazun ko badi sakhti se jhunjhuda tha aur woh nazuk si gudiya jaise tadap uthi thi woh toh sirf unke gusse main ajane se hi kanpne lagi thi woh dant peeste huye use keh rahi thi ke bol mujhe medum aur woh sakit ankhon se unhe dekh rahi thi ke woh aur zor se cheekh uthi sali behaya dheeton ki tarha ankhe dikhati hai aur woh toh bekusoor ho kar bhi kusoor war ho gyi thi yeh toh roz ka tha ba toh use adat ho jani chahiye thi magr shayad use adat nhi huyi thi ek aas thi ke shayad woh log usse narmi barte shayad unke dil uske mamle main naram ho jaye magr joh log zameen main khud ko firun samajhne lagte h unhe kaha hosh hota hai shaista begum ki awaaz sun kar sab ghar wale jama ho gye the yeh toh roz ka mamul tha phir bhi jab shaista begum usko saza deti toh sab ko jaise maza ajata tha sab maze se usko marte aur dant khate dekh rahe the koi aisa na tha joh uski madad karta shaista begum ne awaaz lagai thi ek bakshu la woh chamde ka patta aaj main is ko aiski auqaat batati ho aur jaise bakshu bechara majboor ho kar chala gya tha karta bhi toh kya majboor joh tha warna us ka bas chalta toh woh kabhi na aisa karta woh shaista begum ke kadmo main bethi gidgidane lagi nhi madam mujhe nhi mare main ab se aap ko madam hi kahugi aur kabhi nazre uthake nhi dekhugi plzz mujhe nhi mare woh ro rahi thi magr yeh sakh dilon main kaha narmi ani thi shaista bugum ne apna pair jhadka tha hat pare napak wajood mujhe chu nhi aur bakshu ke patta lane par use aise mar rahi thi jaise koi kisi janwar ko bhi aise nhi marta jaise woh use mar rahi thi pore haveli main uski awaaze buland thi aur uski cheekhe uski dard aur taklif bayan kar rahi thi magr har koi ko jaise ek entertainment mil gya tha subhah subhah jab shaista begum marte marte thak gyi toh patta wagi phaik kar andar chali gyi aur woh waha tadapte tadapte ankhe band karli yeh toh har mahine ka jaise mamul ho gya tha uske haseena aur nazuk wajood taklif se hila bhi nhi jaraha tha bakshu baba hi sab ke andar jane ke baad use utha kar le kar uske kamre main gye the kamra kya kehna isse acche haal main toh yaha ke mulazim the rokm main sirf ek kabad tha aur niche jagah jagah phati chatai wahi use bichati thi aur zyada thand hoti toh use khud par audh leti thi aise hi thandi zameen main so jati thi use bakshu baba leta kar fastet box lekar aye the aur uske marham main dawa lagane lage the q ke unke alawa koi na tha ki unke zakhm main marham lagate magr woh kya karti joh dil main zakhm tha use woh kaise khatam karti unke bahar jate hi woh hichkiyon se rone lagi thi magr woh such li thi ki raat hote hi kaise bhi unse milne jayegi
.........................
Woh jungle main kisi ke piche bhag raha tha aur use awaze laga raha tha ki ruk jau magr uski awaze pore jungle main gunj rahi thi woh kisi ko rukne ki koshish kar rah tha magr jaisse woh suni un suni kar chuka kon tha woh wajood aur dekhte hi dekhte woh wajood kisi khai ke paas ruk gya tha woh bhi hanpte aur phoolti sans ke sath uske qareeb ruka tha aur kehne laga tha ruk jau plz meri baat suno kon ho tum plz batao unka pallo pakda tha dupatte ka ajr jaise hi woh girne lagi thi furan uski ankh khul gyi thi woh paseene se sharabor phulti sans se uthke beth gya tha aur phir use hosh aya tha woh toh apne mehal numa room main tha aur pani peekar khidki ke paar thandi hawa ko mehsoos karne ke liye apne luwer ke jaib se sigrait nikal kar jala kar apne anabi labon se lagaya tha aur khidki khil kar waha khada ho kar thandi hawa ko mehsoos karne laga aur apne ander ki ghutan ko dur kar raha tha
.....................

Gehraiyan 🖤🖤Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang