Heelu guys hope you are fit n fine So let's start
It's just an imagination so don't get offended if you don't like something🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼
So let's startMpt
In evening
Karishma was working silently on her desk and suddenly Karishma's phone ringsKs:hello patidev
Vs:hello karu kaisi ho
Ks: hum ekdum chokks aap btaiye aagyi humari yaad itne dinon baad
Vs:sorry na kaam mein busy the
Ks:achha thike kab aarahe ho
Vs:abhi to kuch pata nahi hai
Ks:kya patidev kab aayenge aap aapko yaad bhi hai 11 mahine hogye aapko gaye hue kab aayenge
Vs:hume nahi pata na karu lekin itna keh sakte hain ke jaldi aane wale hain
Ks:chalo thik hai aaiye aap khana khaya aapne
Vs:haan abhi khaya thodi der pehle aur tumne
Ks:humne to kab ka khaya hai
Vs:aur kya kar kar rahi ho
Ks:files complete kar rahe hain
Vs:ohh tumhara aur tumhari incomplete files ka humse bhi achha relationship hai humesha sath hote hain
Ks:kuch bhi
Vs:mazaak
Ks:sachhi mein aapka sense of humor ekdum bakwaas hai
Vs:lekin sense of romance badhiya hai humara
Ks:us sense ke liye paas rehna padta hai jo ki aap hote nahi to kya karein uska achaar dalein
Vs:kisiko to humari kuch jyada hi yaad aarahi hai
Ks:haan ab aarahi hai to kya karein
Vs:don't worry aajaunga thode din mein
Ks:haan aaiye jaldi
Ps:Karishma madam humare lalla ka phone hai
Ks:ji unhi ka hai
Ps:hume baat karni thi thodi si
Ks:vo kya haina pushpa ji abhi hum na aapke lalla se lad rahe hain to aapko wait karna padega
Ps:bas do minute
Ks:ye lijiye kijiye aap nonihaal lalla se baat hum zehar pine ja rahein hain
Pushpa ji takes the phone
Vs:amma vo zehar pine ja rahi hai rokiye usse
Ps:chai pine gayi hai badnaam ki chai ko zehar kehti hai vo
Vs:ohh
Ps:ohhh ke bachhe kab aarahe ho haan 11 mahine hogye kitne dinon se laad sahab phone bhi nahii utha rahe kahin ke pardhan mantri(prime minister) ho tum jo itna busy rehte ho ke amma ko phone bhi nahi kr sakte chalo humari chodo kam se kam tumhari biwi ki to socho woh kitna yaad karti hai tumhe pata bhi hai kitne din se tumhara phone nahi aaya to kaise borayi borayi ghum rahi hain dimaag mein bas ek hi khyaal ke patidev ka phone nahi aaya
Kyun bhai pyaar vyaar raha nhi kya uske liye ke tum ek phone bhi nahi kar sakte pata hai kitne bure bure khyaal aate hain usse aur vo maharani bhi aisi hain ke kisiko bhi apne dil ka haal nahi btati tumhare siwa aur tumhara phone bhi nahi lagta to kaise chalega lalla kaise
Aise chlaoge apna grihast jivan bolo
Ek grihast jivan sirf chlana sirf ek ki hi zimmedari nahi hoti dono taraf ki sanjh jaruri hoti hai main jaanti hoon ke tumhara kaam aisa hai ke tumhe desh se baahr rehna padta hai aur Karishma ka bhi aisa hi hai lekin lalla vo apni duty aur ghar ko kaise sambhal rahi hai vo hi jaanti hai sabkuch bhul jaegi lekin hume dawai jarur yaad dilvaegi
Tumhe pata hai vo Lucknow ke best lady officers mein se sabse upar vale sthan pe aati hai saara din bhag daud karne ke baad usse kiski jarurat hoti hai sirf aaram ki aur ek saathi ki jisse vo btae ke uska din kaisa gya aur vo tum ho jisse vo apne dil ki har baat btati hai lekin agar tum bhi aise karoge to kaise chalega lalla
Saara din bahut kaam karti hai voh duty ke sath sath ghar bhi sambhalti hai usse nahi dhyaan rehta to tum usse phone kar liya karo ek din vo tumhe kare ek din tum karo
Aise hi to ek haapy married life chalti hai
(She takes a pause)
![](https://img.wattpad.com/cover/358012030-288-k158866.jpg)
YOU ARE READING
KARISHMA SINGH- One Shots
Fanfictionheelu guys it's me your loving writer in this stoory it will. contains one shotts on our lovely show MADDAM SIR