A huge bright royal palace could be seen which seemed very busy. A handmaiden ascended the stairs and knocked on the princess's room door and entered after being permitted.
"Rajkumari Mayavati, ye lijiye aap ki vivaah ka jora bhi tayaar hai."
M~hmm, lekin karengay kya hum is joray ka? Ye jora toh pasand aa jaye ga lekin humare dulhay ka kya? Hum ne unhein pasand kiya, unhone humein pasand nahi kiya Rupali, shayad hum he mein koi kami ho gi
Ru~aisi baat nahi hai rajkumari, aap mein koi kami nahi, aap bas un ka dil jeetne ki koshish karti rahiye, aap toh patharo'n ko tak pighla dein, us rajkumar Vaibhav ka kya hai, ek din un ka dil bhi aap ke liye moam ka ho jaaye ga aur aap ke liye pighal jaaye ga
M~ek baat bataiye Rupali, hum ne aap se ye sab baatein kahi ke rajkumar Vaibhav humein pasand nahi kartay, sakht mizaaj ke hain, ye baatein bas aap ke aur humare beech he rahi hain na? Humare bhai sa ya bhabhi sa tak toh nahi pohnchi na? Nahi, wo bas hum nahi chahte un ko fikr ho jaaye, aakhir maa baba ke jaane ke baad aur hai he kaun humara un ke siwa
Ru~wo saari baatein bas hum dono ke beech he rahi hain rajkumari, hum ne rana Sushant ya rani Indumati se kuchh nahi kaha lekin ek baar aap ko un se bhi ye baat kehni chahiye, kya pata wo koi upaaye bataein
M~nahi Rupali, bhabhi sa pregnant hain, garbhvati hain, hum nahi chahte humari in baato'n se un par ya un ke bachay par koi tanaav aaye, us nanhee si jaan ko le kar hum kuchh risk nahi le saktay
Rupali nodded and went from there. Mayavati looked at her engagement ring sadly.
M~socha tha ke jaise wo humein pasand aye, theek usi tarah hum bhi unhein pasand ayengay, jis tarah hum un ko dekhte hain, wo bhi humein dekhengay, jaise humara lehja meetha hai waise un ka lehja bhi meetha he ho ga lekin... (she closed her eyes and tears fell) hum toh unhein bilkul pasand nahi, humein wo pyaar se nahi dekhte, un ka lehja bhi humein maar daalta hai. Bhai sa aur bhabhi sa se zid kar ke ye rishta tay karwa liya, lekin humein kahan maloom tha ke is rishte ke kaaran bas humari zindagi mein har taraf ghanna andhera chha jaaye ga, ke humari khushiyo'n ko aag lag jaaye gi, ke ye honth muskurana he bhool jayengay aur aankhein aansuo'n se bhar jayengi. Hum toh bata dena chahte hain bhai sa aur bhabhi sa ko, lekin nahi chahte ke humare kaaran wo dono stress mein aa jaein, pareshaan ho jaaein aur un ke bachay ko kuchh ho jaaye
She cried bitterly. There was a knock at the door, she quickly wiped her tears and a couple entered inside.
M~aray bhai sa, bhabhi sa aap log
She said faking a smile.
Su~Jee haan humari pyaari rajkumari, aap ke is rajya mein aakhri ke din chal rahay hain, phir toh aap vida ho jaaein gi, isliye hum humari behen ke saath ziada se ziada samay bitana chahte hain
M~hum bhi bhai sa, hum bhi, lekin aap bas sirf is nanhee si jaan ki fikr kijiye, ye har function ke joray select karne ki takleef uthaane ki kya zaroorat thi?
YOU ARE READING
Prem Ratan Dhan Payo (Completed)
FanfictionPadmakant, who looks like Prince Yuvraj Vaibhav Singh, replaces him just before his half-brother is set to be crowned as the king. Although Princess Mayavati is engaged to Vaibhav, she falls in love with Padmakant.