Sayah raat apni manzilo se safar karti, subah ki jamni se mizaj mei dakhil ho Rahi thi. Raat aur subah ka gehra neela rang sarii kainat ko apne sehar mei Liye hue tha. Khirkiyo se chan kar aati Roshni uski aankho par pari toh usne jazbazaz hokar aankhein kholne ki koshish ki. Woh apni aankhein malne lagi. Or phir khudko darwaze ka Saath Laga zameen-bos paya. Uski aankho mei raat ka manzar chahne Laga. Woh apna sar pichei devar se lagati apni aankhei minch gayi.
Uske kamre mei dastak hui. Usne aankhein kholi. uski aankhein sujii hui thi. woh khari hoti thakei thakei qadam uthati darwaze ka pass phonchti or kholti toh samne peeley rang ka jorei mei ek aurat khari hoti."amairah beta tum puri rat jagi rahi thi kya?" unki aankho mei beyhadh fikar thi
"nhi maa, mei soo gayi thi" usne unki janib dekh kr muskura kar kaha aur aenei ka samne aa khari hui phir apne lambe baalo ka jura bananei lagi
"acha chtoh phir aankhein kyu suji hui hai tumhari itni" amairah ka jurei banatei hath lamhe ko rukei usne aenei mei apni aankho ko dekha.
"woh maa shayad thakan ki wajah se sujh rahi hai, mei dair raat tak jagei hue thi nah toh shayad is wajah se nind puri nhi hui hai" usne bat ko talne jese andaz mei jhut kehdia. woh amairah siddiqui thi, apni taqleefe apne tak hi mehdud rakhti thi. woh apne dukho ka roona kisi ka samne nhi rooya karti thi chahey woh uski maa hi kyu nah ho. rabia siddiqui ko apni beti ki har bat par beyhadh naaz tha. unki beti waqai bhot sabar or himmat wali thi. woh janti thi amairah unse jhut keh rahi hai aur kyu keh rhi hai woh yeh bhi janti thi. isi liye woh khamosh hogayi. woh apni beti ka zakham nhi khuraidna chahti thi.
"acha chalo ab jaldi fresh hokar aajao breakfast tayar hai" unhonei kaha aur phir kamre se chali gayi aur amairah bhi baalo ka jura bana kar washroom bandh hogayi.
chand lamho bad woh bilkul fresh sa tayar hue dining room mei aayi or apni ami ka sath beith kar nashta karne lagi. nashte ka doran dono ki halki phulki batei hui phir rabiya ko kuch yad aaya toh unhone kaha
"amairah shaam mei jaldi ghar aajana nazli ki call aayi thi keh rahi thi ka aj aaygi woh"
"KYAAAA??? NAZLIII AUNTYY AA RAHI HAI AJ" amairah ko jese apne kaano par yakin nhi hua tha woh heirat aur sadme se chilla kar boli
rabia has di "han... ab jaldi aajana"
"ok mei aajau gi ap parishan nah hona aur ab mujhe ijazat dei wese bhi bhot late hogaya hai aj" kehti uth gayi or allah hafiz karti bahir nikal gayi. uske chehre par ab kahi bhi raat ki thakan ka ehsas nhi hota tha. woh ab waqai bhot fresh mehsoos kar rahi thi. woh apni gari ka darwaza kholti beith gayi aur apne aj ka din ka safar ka agaz kiya.
______________________________________
"mama please mama uth jai" ek nanne bache ki awaz uski samato se takrai
"baba dekhe nah mama bhi nahi uth rahi hai or ap bhi nhi uth rahe" us bachei ki aankho mei aansuo ka tailab tha
"dadu mama papa kyu nhi uth rahe" woh nanna sa baccha ab apne dada se mukhatib tha. jinhonei us nanni si jaan ko apni bheegi aankho se dekha. aur phir usko apni goud mei utha liya. woh bacha hichkiyo ka sath roone laga unhone us bache ka chehra saaf kiya phir mathe par girei baal pichei kiye "nah bache roona nhi hai, apke mama papa bhot khubsurat jagah gai hai aur woh wahan se apko dekh rahe ha"
"dadu woh dono mujhe chor kar chale gai" us nanni si jaan ka seene mei dard sa mehsoos honei laga
uski aankho ka pardo mei ab khoon se lat pat hue do wajud nazar aanei lagei
phir woh dono wajud safaid rang ka kafan pehne nazar aay
phir unka janaza uthta nazar aaya
woh nanna bacha ab tak roo raha tha.
YOU ARE READING
ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)
Romance"Ishq Ka Rang" is not just a tale of romance; it's a testament to the enduring power of love and friendship. Join us as we embark on a journey of love, friendship, and redemption, where the colors of passion paint the canvas of destiny, and the echo...