chapter 10

49 4 0
                                    


Leyla Mirza receptionist se Apne kamre ki chabiya lekar ayi toh aliyah ki gair mojudgi usey thori khatki ka woh achanak Kahan Chali gayi.
Leyla ne amairah ko room ki chabiya di aur usi ka sath apne floor pr agai or dono hi apne apne kamre mei chale gaye.
Leyla ne Apne kamre ka darwaza khola, andar dakhil hote darwaza band kia phir Apne saman ko ek jagah Rakh dia. Hath mei latkai handbag se usne apna mobile nikalte hue Sath rakhe coffee table pr bag rakha aur chal kar bed tak aayi sath me mobile unlock krte aliyah ka number dial kiya lekin koi jawab Mosul nahi hua.
Usey aliyah ki shaksiyet bhot purasrar lagti thi jese Kuch tha Jo woh chupati hai Lekin kya tha yeh woh samjhne se kasir thi.
Aaliyah inki bhot achi dost thi Lekin mazi ka hadsat ne inki dosti par bhi gehra asar dala tha, jisey agar Leyla nah sambhalti toh aj sab alag hojatei. Woh leyla hi thi jisne Apne dosto ko sath rakhne ki Koshish ki thi jisme woh kamiyab bhi Rahi thi.
Chand lamho bad uske darwaze par dastakhat hui usey Laga Aaliyah hogi.
Woh khari hote darwaze ka pass aayi.
Darwaza khola.
Samne khara wajud dekh Leyla ka rang safaid parne Laga.
Usne ek jhatke se samne khare wajud ko andar ki janib khincha aur darwaza band kia.
______________________________________

Azan subah hi Lahore phonch gaya tha Lekin kisi ko bhi uska aata pata nhi tha usne bas Zain aur Ali ko msg krdia tha ka shaam se pehle lahore phonch jana. Phir woh Kahan tha Kya kar Raha tha kisi ko koi ilam nhi tha. Seh-peir jab woh hotel aaya toh uski nazar receptionist se bat karti hui Leyla par gayi. Chehre pe thakan ka asrat saf wazeh the.
"Oh toh phonch gayi mohtarma" woh abhi usi ka pass jaa raha tha ka uski Nazar Aaliyah par gayi.
Aaliyah kisi se call par bat karti kahin jaa rahi thi.
Uske chehre par parishani wazeh thi.
Azan ki chahti hifz ne paigam diya ka kuch toh garbar hai.
Azan khamosh qadmo se aaliyah ka picha karne laga.
Phr achanak se Aaliyah ruk gayi toh Azan bhi ruk gaya aur wahin bane khambe ka pichei jaa chupa.
Azan ne dekha Aaliyah ka Sath ab koi sayah rang ka hoodie pehne hue aur chehre par mask lagaya hua mard khara usse kuch Keh raha hai.
Aaliyah ne Apne kandhe par dala handbag khola aur usme se ek halke bhurei rang ka envelope nikala aur us admi ko thama dia.
Woh admi ab sar ko kham karta Jane ka lie mur gaya.
Aaliyah ne apni roki saans bahal ki.
Azan ab khamosh qadmo se aliyah ki janib Jane laga.
"Kesi ho Aaliyah" uske pichei khare hote kaha.
Aaliyah ki saans phir se ruk gayi.
Aaliyah palti toh woh aankho mei sawal aur laboo par muskurahat sajai khara usey hi dekh Raha tha.
"Tum Yahan kese" ba-mushqil khudko normal karte hue kaha.
"Yeh mere sawal ka jawab Nhi hai Aaliyah" azan ne usey toka tha "acha chalo Tumhe itni mushqil horhi hai jawab dene mei toh koi bat nhi mei sawal change kardeta hun tumhare lie"
"Han?" Aaliyah ne na-samjhi se usey dekha Jo ab seene par hath bandhe keh Raha tha "Woh admi Kon tha?"
Aur aaliyah ko Laga jese kisi ne uska gala jakar Liya hun. Uske muh se kehne ka lie alfaz bhi nhi nikal sake
"K...ko...konnn...tum.. kis...kiski bat kar Rahe ho azan" nazre chura kar ba-mushqil kuch keh saki
"Wohi jo abhi yahan khara tumse kuch keh raha tha aur phir tumne Apne purse se ek envelope Nikal kar usey thamaya tha" mazbut lehje mei kaha
"Ohh wohh... Wo... Wohh toh.. papa ka lie meine usey hire kia tha. Papa ko Kuch paiso ki zarurat thi toh wohi Lene Aya tha... Tum jante toh ho mere papa ko kese hai woh...." Mathe par aaya pasina saff karte hue, nazre churatei hue kaha, lehje mei hichkichahat bhi thi Jo Azan se chup nah saki. Lekin uske dimgh mei bhot se sawalat the par usne mazeed sawalat nah karne mei hi behtri jani.
"Chalo Sahi hai Tum kehti ho toh man leta hun" kehta woh hotel ka andar Jane ka lie palat gaya aur Aaliyah ne apni nidhal saans khinchi....
______________________________________

"Tum yahan es time kya kar Rahe ho Azan" Leyla Azan par dhari thi
"Relax sweetheart itna ghussa kyu hoti ho" Azan saada se lehje mei kehta bed ka oper gir gaya to Leyla ne uske pas jake usey khinch kar uthane lagi "Utho tum Yahan se"
"Acha nah uth raha hun Thora piyar se keh dogi toh kuch ho nhi jaiga" kehta hua uth khara hua
"Tumhara dimgh kharab hai Azan amairah aaliyah dono yahin isi floor par hai koi tmhe dekh leta toh" leyla ko shadeed ghussa aarha tha
"For your kind information leyla G apka majnu itna bhi gair zimedar nhi hai... Sari jankari lekar aaya hun Apke pass... Amairah kamre mei hai aur Aaliyah" woh kehte kehte yakdam ruka "yaar mujhe yeh Aaliyah bhot ajeeb lagne lagi hai Matlab pichle 5 saal se meine usey kabhi pehle ki Tarah normal nhi paya"
Azan ne itne achanak yeh bat kahi ka Leyla ko apna ghussa bhool gay aur woh aankho mei nasamjhi aur heirat lie azan ko dekhne lagi phir lehje ko dheema karte pucha "Tum usse milei ho abhi"
"Han... Aur woh bhot ajeeb behave kar rahi thi jese Kisi ne uski chori pakar li ho. Chehre par pasina, Lehje ki hichkichahat, ungliyo ko lagatar marorna sab bhot ajeeb tha. Woh khud psychologist hai, dimagh parhne mei mahir hai lekin uska yeh ravaiyya... Jese woh apni chori chupana chah rahi ho lekin chupane ka lie alfaz nah ho, phir in lafzo ko Tor Tor kar kehna, unhe bar bar tartib dena... Mujhe kuch thik nhi laga" woh kandhe uchka kar kehta hua dai taraf rakhe sofei ki janib barh gaya toh Leyla bhi usi ka pichei chal di
"Azan" kuch sochte hue usne usey pukara
"Hum Aaliyah par shak kar Rahe hai" azan ki aankho mei dekha "hum usko Kal parso se nhi balke saalo se jante hai" waqfa Liya "hum uspe shak kr ka koi galti toh nhi kar rahe hai" Aankho mei sawal o fikar lie Azan ko dekha Jo ab thora aagei ho jhuka
Leyla ka hath Apne hatho mei lekar mazbuti se thama aur aankho mei dekh kar kaha
"Nhi Leyla. Hum koi galti nhi kar Rahe" lamhe bhar ko ruka "meine Aaliyah ka sath kisi admi ko dekha tha" uske  yakdam kehne par leyla ko pal bhar yakin nhi hua. Uske lab "Kya" mei hilei
"Usne chehre par mask pehna tha, aaliyah ne usey ek brown envelope thamaya tha. Phir mei gaya uske pass usse pucha us admi ka bare mei toh usne kaha ka uske papa ka lie usey hire kia ha aur unhe paiso ki zarurat thi toh wahi Lene aaya tha" azan ne kaha aur Leyla ko dekha jiske lab Kuch kehne ka lie khulei aur phir band hogai.
Leyla apni jagah se khari hote dai se bai aur bai se dai janib theilne lagi.
Azan khamosh nazro se usey dekhte Raha.
Woh bhi samjhta tha ka Leyla bhi uski tarah kuch samjhne se kasir hai.
Chand lamhe bad Leyla Jo idhar udhar theilti gehri soch mei mubtila thi uskey qadam yakdam ruk gai.
Woh Azan ki Janib aayi.
"Azan Tumhe yeh kuch bhot ziyada ajeeb nhi lag Raha ka hum subah nikle the phir kuch dair pehle hi yahan phonche hai, aur phir achanak Aaliyah ka papa ko paise ki zarurat. Matlab itna toh hum bhi usey jante hai ka aliyah gair zimedar nhi hai woh sab kar ka aayi hogi Lekin chalo farz karlia uncle ko paise chahiye the toh aliyah online bhi transfer kar sakti thi, Yun cash Dena... Aur phr aj ka hi din... I don't know yeh sab bhot confusing horaha hai" akhiri jumle pe Leyla sar pakarti sofei par girne se Andaz mei beith gayi.
Azan ghutno ka bal Zameen par beitha. Leyla ka hath thama "tum fikar mat karo leyla. Jald hi such humare samne hoga"  leyla han mei sar hilati kuch kehne hi lagi thi ka uske kamre ki bell bajii.
Dono hawas bakhta hogai.
Dono ne ek dusre ko dekha
"Agar amairah hui toh?" Azan ne kaha
"Toh sheela ki jawani par dance karna tum thik hai" go-ke leyla ne tanz kia dia tha
"Han?"
"Jaa ke chupo ullu" leyla ne dabe dabe ghusse mei kaha toh Azan ko hosh aaya aur woh khara hua "Kahan chupu" masoomana shaqal bana kar Leyla se sawal kia.
Leyla ne apne sar par hath mara phir usko washroom ki janib lekar gayi.
Room ki bell phir se baji.
Leyla azan ko washroom mei band kar ka darwaze ka pass ayi.
Gehri saans lia.
Khudko normal kia.
Aur
Darwaza khola.
"Aaliyah tum" leyla ne kaha
"Ahooo.... Amairah ne batay ka room ki keys tmhare pass hai wohi Lene ayi hun" Aaliyah ne bina koi tasir lie kaha
"Ohh .. ha...hann andar aoo tum" leyla ne usey andar aane ka Rasta dete hue kaha aur uski keys lene Apne bag ki janib brh gayi
"Azan se mulaqat hui thi Meri" aaliyah ne itne achanak Azan k naam Liya ka Leyla ka chabi dhundte hath pal bhar ka lie apni jagah tham se gai...
Aaliyah ne gehri nazro se Leyla ko dekha jiski pusht aaliyah ki janib thi "Kya tumse milne aaya hai woh"
"Nhiii toh... Mujhse Kyu Milne aayga woh" leyla ne halke phulke lehje mei Aaliyah ki janib aate hue kaha aur hath mei pakri chabi Aaliyah ki taraf pheinki jisei Aaliyah ne ba-khubi catch kar lia "kitni woh ho nah tum leyla.... Tmhara mangetar hai woh tmse nhi milega toh kisse milega"
"Woh toh uski Marzi hai nah jisse bhi milei ... Mei bhala kon hoti hun usey rokne tokne wali huh" akhiri jumla kandhe uchka kar kaha
"Lagta hai phir kisi ki larai hui hai" aaliyah ne lehje mei shararat lie Leyla ko cheirna chaha
"Lagta hai kisi ko azan-nama Karne ka ilawa or koi kam nhi hai" Leyla tap gayi
"Han toh... Nhi hai... Ab jiske pass itnei achei jija g ho ... Usey bhala or kya kam hosakta hai" kandhe uchka kar barey maze se kaha gaya
Jabke bathroom ka andar khara Azan Ahmed muskura kar reh gaya
"Aaliyah Rehman.... Dafa hojaiye isse pehle Kal ki headlines mei apki tasweerei chapi ho" leyla ne pass para cushion uthaya or puri quwat se Aaliyah ka janib phenka
"Acha acha jaa rahi Hun" kehte aaliyah darwaze ki janib lapki
Woh abhi kamre se bahir nikalti ka pichei palti Leyla ko dekha Jo usey hi ghur Rahi thi or phr kaha "jiju g aay toh unhe Aaliyah ka Salam zarur kehna Leyla Mirza"
Isse pehle ka Leyla is dafa waqai usey kuch utha kar mar deti Aaliyah kamre ka darwaza band karte Hue bhag gayi....
Leyla ne gehri sans li
Azan bathroom se Nikal aaya
Azan ki aankho mei na-samjhi saf jhalak rahi thi magar woh khamosh Raha
"Tum aram kro.... Sham mei miltei hai phir" kehte woh bhi kamre se bahir nikal gaya
Aur Leyla bhi fresh hoke aram Karne Lago
__________________

ishq ka rang (ROMAN URDU/HINDI)Where stories live. Discover now